February 5, 2017

Zakhm-E-Jaan K Naam



Us Zakhm-E-Jaan K Naam, Jo Ab Tak Nahi Bhara
Us Zinda Dil K Naam, Jo Ab Tak Nahi Mara

Us Zindagi K Naam, Guzara Nahi Jise
Us Qarz-E-Funn K Naam, Utara Nahi Jise

Ehal-E-Nazar K Naam, Jo Johar Shanaas Hain
Ehal-E-Wafa K Naam, Jo Funn Ki Aas Hain

Un Doston K Naam, Jo Gosha Nasheen Hain
Un Be-Hisson K Naam, Jo Baar-E-Zameen Hain

Un Ehal-E-Dil K Naam, Jo Raahon Ki Dhool Hain
Un Hoslon K Naam, Jinhe Dukh Qabool Hain

Us Shol Rukh K Naam, K Roshan Hai Jis Se Raat
Hai Zoofishaan Andhere Main, Har Nuqta-E-Qainaat

Aur Husn-E-Bakamaal Ki, Ra'naiyon K Naam
Aur Apne Zehen-O-Qalb Ki, Tanhaiyon K Naam..

Aankhon Se Pilaya



Kal Jo Jaam Aankhon Se Pilaya Kisi Ne
Mad-Hosh Para Raha Na Uthaya Kisi Ne

Mujhe Bhi Kuch Ziada Shoq Tha Peeny Ka
Peeny K Bad Jo Hua Na Bataya Kisi Ne

Kabhi Masjid, Kabhi Mandir Main Ghoomta Raha Rat Bhar
Kabhi Musalman, Kabhi Hindu Banaya Kisi Ne

Aadi Bana K May-Kadah Cheen Lia Gaya Mujh Se
Kuch Is Tarha Mujhe Staya Kisi Ne

Qasm Uski Jawab Main Saghar Choo Ho To
Usi Ka Naam Le Kar May-Kady Main Bulaya Kisi Ne...