May 31, 2016

haar jaata hai



Shareef insaan aakhir kyon election haar jaata hai,
kitaabon mein toh ye likha tha raavan haar jaata hai.

Judi hain iss se tehzeeben sabhi tasleem karte hain,
numaaish mein magar mitti ka bartan haar jaata hai.

Mujhe maloom hai tumne bahut barsaaten dekhi hain,
magar meri inhin aankhon se saawan haar jaata hai.

Abhi maujood hai iss gaaon ki mitti mein khuddari,
abhi bewaa ki ghairat se mahaajan haar jaata hai.

Agar ek keemti bazaar ki soorat hai yeh duniya,
to phir kyon kaanch ki chudi se kangan haar jata hai.

ghar banati hai



Khand’har se dil mein phir koi tamanna ghar banaati hai,
mere kamre mein ek nanhi si chidiya ghar banaati hai.

Muqaddar ke likhe ko ladkiyan bilkul nahin padhti,
woh dekho rett par baithi woh gudiya ghar banaati hai.

Kisi ki be’ghari manzoor hoti toh mehak hota,
udhar dekho mere chhappar mein chidiya ghar banaati hai.

Nigal leti hai ladkon ko bade shehron ki rangeeni,
na jaane kis tamanna mein ye budhiya ghar banaati hai.

Jala kar raakh kar deti hai ek lamhe mein shehron ko,
siyaasat bastiyon ko roz kuda’ghar banaati hai.

Chalo imdaad karna seekh lein hum bhi huqoomat se,
ye pakka ghar gira deti hai kaccha ghar banaate hain.

Nahin sunta hai meri toh mere bachchon ki hi sun le,
ye woh mausam hai jab chidiya bhi apna ghar banaati hai.

May 30, 2016

toofaan se kaho



Kam kam kaho sambhal ke kaho shaan se kaho,
roodaad-e-shouq zabt ke unwaan se kaho.

Iss mein kuchh apne pyaar ki izzat ka hai sawaal,
aa jaaye raah par dil-e-naadaan se kaho.

Tark-e wafa jahan mein koi jurm toh nahin,
kya tum wafa shuaar ho? imaan se kaho.

Uss dar pe ehl-e-dil ko nahin poochhta koi,
tum ek raees-e-shehar ho! darbaan se kaho.

Kyon le rahe ho hazrat-e-naaseh ka imtehaan,
jo dil ki baat hai kisi insaan se kaho.

Hum ne bana liya hai naya phir se aashiyaan,
jaao ye baat phir kisi toofaan se kaho.

Kis munh se ab ‘qateel pe dharte ho tohmaten,
ye sab hikaayaten kisi anjaan se kaho.

tera naam tha



Jis ki jhankaar mein dil ka aaraam tha woh tera naam tha,
mere honthon pe raqsaan jo ek naam tha woh teraa naam tha

Mujh se mansoob thi daastaanen kayi ek se ek nayi,
khubsoorat magar jo ek ilzaam tha woh tera naam tha.

Kaise karta kisi aur ki guftagu yaad tha sirf tu,
mujh ko mere junoon ka jo inaam tha woh tera naam tha.

Subh se shaam tak jo mere paas thi woh teri aas thi,
shaam tak jo kuchh lab-e-baam woh tera naam tha.

Dost jitne the na-aashna ban gaye paarsa ban gaye,
jo mere saath ruswa sar-e-aam tha woh tera naam tha.

Ghum ne taarikiyon mein uchhaala mujhe maar daala mujhe,
ek nayi chaandni ka jo paigham tha woh tera naam tha.

Tere hi dum se hai ye ‘qateel aaj bhi shairy ka wali,
uss ki ghazlon mein kal bhi jo ilhaam tha woh tera naam tha...

May 28, 2016

mehsus karta hun

#maahyraja

Nigahon mein chamak dil mein khushi mehsus karta hun,
ki tere bas mein apni zindagi mehsoos karta hun.

Thaka deti hain jab kaunain ki pahnaaiyaan mujh ko,
tere dar par pahunch kar taazgi mehsoos karta hun.

Ba-majboori muqaddar ke uffaaq se jhaankne waale,
teri aankhon mein sharmindagi mehsoos karta hun.

Jawaani ko sazaa-e-lazzat-e-ehsaas de dena,
main iss had par khuda ko aadmi mehsoos karta hun.

Shab-e-aakhir falak par timtima kar doobte taare ,
main apne saath tera dard bhi mehsoos karta hun.

'Qateel’ ehbaab ko deta hun tere sulooq ki zehmat,
main apne dard mein jab bhi kami mehsoos karta hun.

kahaan kahaan



Aayi hai kuchh na poochh qayamat kahan kahan,
uff le gayi mujh ko mohabbat kahan kahan.

Betaabi-o-sukoon ki hui manzilen tamaam,
behlaayen tujh se chhut ke tabiyat kahan kahan.

Raah-e-talab mein chhod diya dil ka saath bhi,
phirte liye hue ye museebat kahan kahan.

Begaan'gi par uss ki zamaane se Aetraaz,
dar-parda uss adaa ki shikaayat kahan kahan.

Farq aa gaya tha daur-e-hayaat-o-mamaat mein,
aayi hai aaj yaad woh soorat kahan kahan.

Hosh-o-junoon bhi ab toh bas ek baat hain ‘firaq'
hoti hai uss nazar ki sharaarat kahan kahan....

May 27, 2016

kiya jaaye



Aao koi tafreeh ka samaan kiya jaaye,
phir se kisi waaiz ko pareshaan kiya jaaye.

Be-larzish-e-pa-mast hon un aankhon se pee kar,
yun mohtasib-e-shehar ko hairaan kiya jaaye?.

Har shayy se muqaddas hai khyaalat ka rishta?,
kyon musalihaton par isey qurbaan kiya jaaye?.

Muflis ke badan ko bhi hai chaadar ki zaroorat,
ab khul ke mazaaron pe ye ailaan kiya jaaye?.

Woh shakhs jo deewaanon ki izzat nahin krta,
uss shakhs ka bhi chaak girebaan kiya jaaye.

Pehle bhi ‘qateel’ aankhon ne khaaye kayi dhokhe,
ab aur na binaai ka nuksaan kiya jaaye...............

apna liya har rang



Ab khushi hai na koi dard rulaane wala,
hum ne apnaa liya har rang zamaane wala.

Ek be-chehra si ummeed hai chehra chehra,
jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala.

Uss ko rukhsat to kiya tha muje maloom na tha,
sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala.

Door ke chaand ko dhoondo na kisi aanchal mein,
ye ujaala nahin aangan mein samaane wala.

Ek musaafir ke safar jaisi hai sab ki duniya,
koi jaldi mein aur koi der se jaane wala....

May 26, 2016

mera intzar krna



Ghum-e-hijr se na dil ko kabhi hum-kinaar karna,
main phir aaunga palat kar mera intezaar karna.

Mujhe dar hai mere aansoo teri aankh se na jhalken,
zara soch kar samajh kar mujhe sogwaar karna.

Usey dhoond sab se pehle jo mila nahin hai tujh ko,
ye sitaare aasmaan ke kabhi phir shumaar karna.

Mere shehar ki fiza mein koi zehar bhar gaya hai,
tere husn par hai laazim usey khushgawaar karna.

Main uthaaungaa na ehsaan tere baad na-khuda ka,
mujhe tu ne hi duboya mujhe tu hi paar karna.

Mere badnaseeb saathi teri zindagi hi kya hai,
na kisi se dil lagaana na kisi se pyaar karna.

Kabhi iqtidaar bakhshe jo khuda ‘qateel tujh ko,
jo rawish hai qaatilon ki woh na ikhtiyaar karna....

Kya ishq tha



Kya ishq tha jo baais-e-ruswaayi ban gaya,
yaaro tamaam shehar tamaashaayi ban gaya.

Bin maange mil gaye meri aankhon ko ratjage,
main jab se ek chaand ka shaidaayi ban gaya.

Dekha jo uss ka dast-e-hinaai qareeb se,
ehsaas goonjti hui shehnaayi ban gaya.

Barham hua tha meri kisi baat par koi,
woh haadsa hi wajah-e-shanasaai ban gaya.

Paaya na jab kisi mein bhi aawaargi ka shauq,
sehra simat ke gosha-e-tanhaai ban gaya.

Tha be-qaraar woh mere aane se pesh-tar,
dekha mujhe toh paikar-e-daanaai ban gaya.

Karta reha jo roz mujhe uss se bad-gumaan,
woh shakhs bhi ab uss ka tamanaai ban gaya.

Woh teri bhi toh pehli mohabbat na thi ‘qateel
phir kya hua agar koi harjaai ban gaya.........

in dinon

Its Me.... AJAZ RAJA


Dil ko ghum-e-hayaat gawara hai in dinon,
pehle jo dard tha wahi chaara hai in dinon.

Har sail-e-ashk saahil-e-taskeen hai aaj-kal,
dariya ki mauj mauj kinaara hai in dinon.

Ye dil zara sa dil teri yaadon mein kho gaya,
zarre ko aandhiyon ka sahara hai in dinon.

Shamaaon mein ab nahin hai woh pehli si roshni,
kya waaqai woh anjuman-aara hai in dinon.

Tum aa sako toh shab ko badha do kuchh aur bhi,
apne kahe mein subh ka taara hai in dinon.....

May 24, 2016

Daastan Baaki Hai



Abhi Zameer Mein Thodi Si Jaan Baaki Hai, 
Abhi Hamara Koyi Imtehaan Baaki Hai. 

Hamare Ghar Ko To Ujde Huye Zamana Hua, 
Magar Suna Hai Abhi Woh Makan Baaki Hai. 

Hamari Unse Jo Thi Baat Woh Khatam Huyi, 
Magar Khamosh Sa Kuchh Darmiyan Baaki Hai. 

Hamare Jahan Ki Basti Mein Aag Aisi Lagi, 
Ki Jo Tha Khaak Hua Ik Dukaan Baaki Hai. 

Wo Zakhm Bhare Hue Arsa Hua Magr Ab Tak, 
Zaraa Sa Dard Zaraa Sa Nishaan Baaki Hai, 

Zaraa Si Baat Jo Phaili Toh Dastaan Ban Gayi, 
Woh Baat Khatm Huyi Daastan Baaki Hai.

Hila Deta Hai


Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai,
Mujh Ko Mere Hi Khayaalon Mein Sadaa Deta Hai,

Wo Mera Kaun Hai Maloom Nahi Hai Lekin,
Jub Bhi Milta Hai To Pehlu Mein Jagaha Deta Hai,

Mein Jo Andar Se Kabhi Toot Ke Bikhrun,
Wo Mujh Ko Thaamne Ke Liye Haath Bada Deta Hai,

Main Jo Tanha Kabhi Chupke Se Bhi Rona Chaahun,
To Dil Ke Darwaaze Ki Zanjeer Hila Deta Hai

Uss Ki Qurbat Mein Hai Kya Baat Na Jaane Mohsin,
Ek Lamhe Ke Liye Sadiyon Ko Bhula Deta Hai....

May 23, 2016

mera sar b lga do



Aaye ho toh ek mohar-e-gadagar bhi laga do,
iss chaand se maathe pe ye jhumar bhi laga do.

Ajdaad ki khushboo mujhe jeene nahin degi,
iss ped ke neeche mera bistar bhi laga do.

Mumkin hai mere baad ki naslen mujhe dhundhen,
buniyaad mein ek naam ka patthar bhi laga do.

Iss jung mein haare hue kehlaaoge tum hi,
chaaho toh numaaish mein mera sar bhi laga do.

Ab sirf jahaazon mein safar karti hai pagli,
bachpan mein jo kehti thi mere par bhi laga do.

Ye baazi toh main haath se jaane nahin dunga,
tum daao pe iss baar muqaddar bhi laga do....

ujaalon ki tarah



Patthar tha magar barf ke golon ki tarah tha,
ek shakhs andheron mein ujaalon ki tarah tha.

Khwaabon ki tarah tha na khyaalon ki tarah tha,
woh ilm-e riyaazi ke sawaalon ki tarah tha.

Uljha hua aisa ki kabhi hall ho na paaya,
suljha hua aisa ki misaalon ki tarah tha.

Woh mil toh gaya tha magar apna hi muqaddar,
shatranj ki uljhi hui chaalon ki tarah tha.

Wo rooh mein khushbu ki tarah ho gaya tahleel,
jo door bahut chaand ke haalon ki tarah tha.....

May 22, 2016

dil tod diya



Kuchh toh duniya ki inaayat ne dil tod diya,
aur kuchh talkhi-e haalaat ne dil tod diya.

Hum to samjhe the k barsat mein barsegi shrab,
aayi barsaat toh barsaat ne dil tod diya.

Dil toh rota rahe aur aankh se aansoo na bahe,
ishq ki aisi rawaayat ne dil tod diya.

Wo mere hain, mujhe mil jayenge, aa jayenge..
aise bekaar khyaalaat ne dil tod diya.

Aap ko pyaar hai mujh se ki nahin hai mujh se,
jaane kyon aise sawaalaat ne dil tod diya...

May 21, 2016

khuda hoga



Tujhi se ibtida hai tu hi ek din inteha hoga,
sadaa-e-saaz hogi aur na saaz-e-be-sadaa hoga.

Humein maloom hai hum se suno mahshar mein kya hoga,
sab uss ko dekhte honge woh hum ko dekhta hoga.

Sar-e-mahshar hum aise aasiyon ka aur kya hoga,
dar-e-jannat na vaa hoga dar-e-rahmat to vaa hoga.

Jahannum ho ki jannat jo bhi hoga faisla hoga,
ye kya kam hai humara aur uss ka saamna hoga.

Azal ho ya abad donon aseer-e-zulf-e-hazrat hain,
jidhar nazren uthaaoge yahi ek silsila hoga.

Ye nisbat ishq ki berang laaye reh nahin sakti,
jo mehboob khuda ka hai woh mehboob-e-khuda hoga.

Ussi umeed par hum taalibaan-e-dard jeete hain,
khosa dard de ki tera aur dard-e-la-dawaa hoga.

Nigaah-e-qahar par bhi jaan-o-dil sab khoye baitha hai,
nigaah-e-mehar aashiq par agar hogi toh kya hoga.

Siyaana bhej dega hum ko mahshar se jahannum mein,
magar jo dil pe guzregi woh dil hi jaanta hoga.

Samajhta kya hai tu deewanagaan-e-ishq ko zaahid,
ye ho jaayenge jis jaanib ussi jaanib khuda hoga.

Jigar’ ka haath hoga hashr mein aur daaman-e-hazrat,
shikaayat ho ki shikwa jo bhi hoga barmala hoga....

#Jigar_Moradabadi

payaam se



Mujhe de rahen hain tasalliyaan woh har ek taaza payaam se,
kabhi aa ke manzar-e-aam par, kabhi hat ke manzar-e-aam se.

Na gharaz kisi se na wasta, mujhe kaam apne hi kaam se
tere zikr se, teri fikr se, teri yaad se, tere naam se.

Mere saaqiya, mere saaqiya, tujhe marhaba, tujhe marhaba
tu pilaaye ja, tu pilaaye ja, issi chashm-e-jaam-ba-jaam se.

Teri subah-o-aish hai kya bala, tujhe aye falak jo ho hausla
kabhi kar le aa ke muqaabla ghum-e-hijr-e-yaar ki shaam se.

May 19, 2016

khaar nahin hun



Duniya mein hun, duniya ka talabgaar nahin hun
bazaar se guzra hun, kharidaar nahin hun.

Zinda hun magar zeest ki lazzat nahi baaqi
har-chand ki hun hosh mein, hoshiyar nahin hun.

Iss khana-e hasti se guzar jaaunga be-laus
saaya hun faqat naqsh-ba-deewar nahin hun.

Afasurda hun ibaarat se dawaa ki nahin haajat
ghum ka mujhe ye zauf hai beemaar nahin hun.

Woh gul hun khizan ne jise barbaad kiya hai
uljhun kisi daaman se main woh khaar nahin hun.

Ya rabb mujhe mahfooz rakh uss buut ke sitam se
main uss ki inaayat ka talabgaar nahin hun.

Go daava-e taqwaa nahin dargaah-e khuda mein
buut jis se hon khush aisa gunahgaar nahin hun.

Afsurdagi-o zauf ki kuchh had nahin ‘akbar
kaafir ke muqaabil mein bhi deen-daar nahin hun. !!


#Akbar_Allahabadi

ikhtiyaar mein




Kaash kabhi hota ye mere ikhtiyaar mein,
main rang deta tujhe apne pyaar mein..


Main itna pyaar deta tujhe jaan-e aarzoo,
tum khud ko bhula dete mere aitbaar mein..



Tum jo mujhe bulaate mulaqaat ke liye,
bechain ho ke phirte mere intezaar mein..


Main der se jo aata naraaz ho ke tum,
har baat ka jawaab dete inkaar mein..


Tum jo rooth jaate mujh se kisi baat pe,
main tumhen manaata bade pyaar se..


Maan kar tum mujh se sirf ye kehte,
nahin hai koi kami jaan tere pyaar mein …

Maar Daalegi



Tumhe shaayad ye lagta hai..
mohabbat khubsoorat hai,
tumhara ghar sanwaaregi,
tumhe yun hi nihaaregi,
tumhe apna bana legi,

Tumhe shaayad ye lagta hai..
mohabbat Rabb ki soorat hai,
tumhe dukh se nikalegi,
tumhara dard samjhegi,
tumhare ghum sambhalegi,

Mujhe maloom hai itna…..
mohabbat shab ki surat hai,
ujaalon ko ye khaa legi,

Mohabbat maar deti hai,
mohabbat maar daalegi …

jee nahin lagta



Nazar hairaan, dil veeraan, mera jee nahin lagta
bichhad kar tum se meri jaan.. mera jee nahin lagta.

Koi bhi toh nahin hai jo pukaare raah mein mujh ko
hun main benaam ek insaan.. mera jee nahi lagta.

Jahan milte the hum – tum, aur jahan mil kar bichhadte the
na woh dar hai na woh dalaan.. mera jee nahin lagta.

Kahin sar hai kahin sauda, kahin wehshat kahin sehra
kahin main hun, kahin samaan.. mera jee nahi lagta.

Mere hi shehar mein, mere muhalle mein, mere ghar mein
bula lo tum mujhe mehmaan.. mera jee nahi lagta.

Main tum ko bhool jaaun, bhoolne ka dukh na bhulunga
nahin hai khel ye aasaan.. mera jee nahi lagta....

Yun Sataati hai






Main jab uss se kehta hun,
mujhe tum se mohabbat hai..

Nafi mein sar hilaati hai,
nigaahon ko jhukaati hai..

Hatheli saamne rakh kar,
kisi ka naam likhti hai..

Mutthi band karti hai,
aankhon se lagaati hai..

Phir uss ko choom leti hai,
achanak bol uth’ti hai..

Mujhe iss se muhobbat hai,
yehi toh mera sab kuchh hai..

Ye sab kuchh saamne pa kar,
main bahut bezaar hota hun..

Mujhe bezaar paati hai,
toh khud bhi reh nahin paati..

Mutthi khol deti hai,
jo mutthi khol deti hai..

Mera hi naam hota hai !
Mujhe woh yun sataati hai

Adhoore Khawab

Adhoore Khawab K Andar Kabhi Palkain Bichana Matt,
Adhoore Khawab Aankhon Ko Bohat Takleef Dete Hain...

ادھورے خواب کے اندر کبھی پلکیں بچھانا مت
ادھورے خواب آنکھوں کو بہت تکلیف دیتے ہیں

May 17, 2016

A Tribute to MOTHERS

Usey tanha sisakta chhod jab aaya mera bhai,
main beti hun, main apni Maa ko apne saath le aayi.

Woh boodhi ho gayi toh ab usey ek bojh lagti hai,
jawaani apne bacchon ke liye, thi jis ne jhulsaayi.

Hai bas apni hi biwi aur bacchon se usey matlab,
ussi ko bhool baitha hai, jo duniya mein usey laayi.

Badi gaadi, bada bangla, bada ohda, sabhi kuchh hai
magar maa – baap maangein, toh nahin jebon mein ek paayi.

Woh kutta paal sakta hai, magar maa bojh lagti hai
usey kutte ne kya kuchh bhi wafadaari na sikhlaayi ?

Khulega jab khuda ke bank mein khaata tera ek din,
tere sar par bada qarza chadha hoga mere bhai.

Jo mannat maangte the, bas humein beta ho beta ho..
unhein beti ki qeemat ab budhaape mein samajh aayi. 


Usey tanha sisakta chhod jab aaya mera bhai
main beti hun, main apni maa ko apne saath le aayi ..

aankhen bheeg jaati

Samundar mein utarta hun toh aankhen bheeg jaati hain,
teri aankhon ko padhta hun toh aankhen bheeg jaati hai.

Tumhara naam likhne ki ijaazat chhin gayi jab se,
koi bhi lafz likhta hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Teri yaadon ki khushbu khidkiyon mein raqs karti hai,
tere ghum mein sulagta hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Na jaane ho gaya hun iss qadar hasaas main kab se,
kisi se baat karta hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Main sara din bahut masroof rehta hun magar jyon hi,
qadam chaukhat pe rakhta hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Har ek muflis ke maathe par alam ki daastaanen hain,
koi chehra bhi padhta hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Bade logon ke oonche badnuma aur sard-mehlon ko,
gareeb aankhon se taktaa hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Tere kooche se ab mera taalluq waajibi sa hai,
magar jab bhi guzarta hun toh aankhen bheeg jaati hain. 


Hazaaron mausamon ki hukmaraani hai mere dil par,
wasi’ main jab bhi hansta hun toh aankhen bheeg jaati hain. 


#Wasi

yaad aaunga

Tum meri aankh ke tewar na bhula paaoge,
ankahi baat ko samjhoge toh yaad aaunga.

Hum ne khushiyon ki tarah dukh bhi ikatthe dekhe,
safha-e zeest ko paltoge toh yaad aaunga.

Iss judaai mein tum andar se bikhar jaaoge,
kisi mazoor ko dekhoge toh yaad aaunga.

Issi andaaz mein hote the mukhaatib mujh se,
khat kisi aur ko likhoge toh yaad aaunga.

Meri khushbu tumhen kholegi gulaabon ki tarah,
tum agar khud se na bologe toh yaad aaunga.

Aaj toh mehfil-e yaaraan pe ho maghroor bahut,
jab kabhi toot ke bikhroge toh yaad aaunga...


#Wasi_Shah

May 15, 2016

toh ro diye

Poochha kisi ne haal kisi ka toh ro diye,
paani mein aqs chaand ka dekha toh ro diye.

Naghma kisi ne saaz pe chheda toh ro diye,
ghuncha kisi ne shaakh se toda toh ro diye.

Udta hua ghubaar sar-e-raah dekh kar,
anjaam hum ne ishq ka socha toh ro diye.

Baadal fiza mein aap ki tasweer ban gaye,
saaya koi khyaal se guzra toh ro diye.

Rang-e-shafaq se aag shagufon mein lag gayi,
saghar’ humare haath se chhalka toh ro diye.

pilaaya hoga

Shor yunhi na parindon ne machaaya hoga,
koi jungle ki taraf shehar se aaya hoga.

Ped ke kaatne walon ko ye maloom toh tha,
jism jal jaayenge jab sar pe na saaya hoga.

Baani-e-jashn-e-bahaaran ne ye socha bhi nahin,
kis ne kaanton ko lahoo apna pilaaya hoga.

Bijli ke taar pe baitha hua hansta panchhi,
sochta hai ki woh jungle toh paraaya hoga.

Apne jungle se jo ghabra ke ude the pyaase,
har saraab un ko samundar nazar aaya hoga...

hairat rehti hai

Aainon mein aks na hon toh hairat rehti hai,
jaise khaali aankhon mein bhi wehshat rehti hai.

Har dum duniya ke hungaame ghere rakhte the,
jab se tere dhyaan lage hain fursat rehti hai.

Karni hai toh khul ke karo inkaar-e-wafa ki baat,
baat adhoori reh jaaye toh hasrat rehti hai.

Shehar-e sukhan mein aisa kuchh kar izzat ban jaaye,
sab kuchh mitti ho jaata hai izzat rehti hai.

Bante bante dheh jaati hai dil ki har taameer,
khwaahish ke behroop mein shayad qismat rehti hai.

Saaye larazte rehte hain shehron ki galyion mein,
rehte the insaan jahan ab dehshat rehti hai.

Mausam koi khushboo le kar aate jaate hain,
kya kaya hum ko raat gaye tak wehshat rehti hai.

Dhyaan mein mela sa lagta hai beeti yaadon ka,
aksar uss ke ghum se dil ki sohbat rehti hai.

Phoolon ki takhti par jaise rangon ki tehreer,
lauh-e-sukhan par aise ‘amjad’ shohrat rehti hai...

May 14, 2016

qaafile bahaaron k

Iss taraf se guzre the qaafile bahaaron ke,
aaj tak sulagte hain zakhm rahguzaaron ke.

Khalwaton ke shaidaai khalwaton mein khulte hain,
hum se poochh kar dekho raaz parda-daaron ke.

Gesuon ki chhanv mein dil-nawaaz chehre hain,
ya haseen dhundalkon mein phool hain bahaaron ke.

Pehle hans ke milte hain phir nazar churaate hain,
aashna-sifat hain log ajnabi dayaaron ke.

Tum ne sirf chaha hai hum ne chhoo ke dekhe hain,
pairahan ghataaon ke jism barq-paaron ke.

Shughl-e-mayy-parasti go jashn-e-namuraadi tha,
yun bhi kat gaye kuchh din tere sogwaaron ke. !!

#Sahir_Ludhianvi

dushwaar tha...

Masjidon ke sehan tak jana bahut dushwaar tha,
der se nikla toh mere raaste mein daar tha.

Dekhte hi dekhte shehron ki raunaq ban gaya,
kal yahi chehra humare aainon par baar tha.

Apni qismat mein likhi thi dhoop ki naraazgi,
saaya-e-deewar tha lekin pas-e-deewar tha.

Sab ke dukh sukh uss ke chehre par likhe paaye gaye,
aadmi kya tha humare shehar ka akhbaar tha.

Ab mohalle bhar ke darwaazon pe dastak hai naseeb,
ek zamana tha ki jab main bhi bahut khuddar tha....

#Rahat_Indori

zulfen hata dijiye

Ya toh miT jaaiye ya miTa dijiye,
kijiye jab bhi sauda khara kijiye.

Ab jafa kijiye ya wafa kijiye,
aakhari waqt hai bas dua kijiye.

Apne chehre se zulfen hata dijiye,
aur phir chaand ka saamana kijiye.

Har taraf phool hi phool khil jayenge,
aap aise hee hanste rahaa kijiye.

Aap ki ye hansi jaise ghoongharu baje
aur qayaamat hai kya ye bata dijiye.

#Wajida_Tabassum

zara aur..

Ho jaayegi jab tum se shanasaai zara aur,
badh jaayegi shayad meri tanhaai zara aur.

Kyon khul gaye logon pe meri zaat ke asraar,
aey kaash ki hoti meri gehraai zara aur.

Phir haath pe zakhmon ke nishaan gin na sakoge,
ye uljhi hui dor jo suljhaai zara aur.

Tardeed toh kar sakta tha phailegi magar baat,
iss taur bhi hogi teri ruswaai zara aur.

Kyon tark-e-taalluq bhi kiya laut bhi aaya?
achchha tha ki hota jo woh harjaai zara aur.

Hai deep teri yaad ka raushan abhi dil mein,
ye khauf hai lekin jo hawa aayi zara aur.

Ladna wahin dushman se jahan gher sako tum,
jeetoge tabhi hogi jo paspaai zara aur.

Badh jaayenge kuchh aur lahoo bechne waale,
ho jaaye agar shehar mein mehngaai zara aur.

Ek doobti dhadkan ki sadaa log na sun lein,
kuchh der ko bajne do ye shehnaai zara aur...

Shabnam ke aansu

Shabnam ke aansoo phool par ye toh wahi qissa hua,
aankhen meri bheegi hui chehra tera utra hua.


Ab in dinon meri ghazal khushboo ki ek tasveer hai,
har lafz ghunche ki tarah khil kar tera chehra hua.

Shayad usey bhi le gaye achchhe dinon ke qaafile,
is bagh mein ek phool tha teri tarah hansta hua.

Har cheez hai bazaar mein is haath de us haath le,
izzat gayi, shohrat gayi, rushwa hue, charcha hua.

Mandir gaye, masjid gaye, peeron faqeeron se mile,
ek us ko paane ke liye kya kya kiya, kya kya hua.

Anmol moti pyar ke duniya chura kar le gayi,
dil ki haveli mein koi darwaza tha toota hua.

Barsaat mein deewar-o-dar ki saari tahreeren mitin,
dhoya bahut mita nahin taqdeer ka likha hua...

May 12, 2016

kaha karo

Yun hi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sacchi kitaab hai, usey chupke chupke padha karo.

Koi haath bhi na milaayega jo gale miloge tapaak se,
ye naye mizaaj ka shehar hai zara faasle se mila karo.

Abhi raah mein kayi mod hain, koi aayega koi jaayega
tumhen jis ne dil se bhula diya, usey bhoolne ki dua karo.

Mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaaniyan,
jo kaha nahin woh suna karo, jo suna nahin woh kaha karo.

Kabhi husn-e pardanashin bhi ho zara aashiqana libaas mein,
jo main ban sanwar ke kahin chalun, mere saath tum bhi chala karo.

Ye khizan ki zard si shaal mein, jo udaas pedd ke paas hai
ye tumhaare ghar ki bahaar hai, isey aansuon se hara karo.

safar mein hai

Bichhda kahan hai bhai humara safar mein hai,
Ojhal nahin hua hai abhi tak nazar mein hai.

Ek haadse ne chheen liya hai usey magar,
Tasweer uski phir bhi meri chashm-e tarr mein hai.

Woh toh likha ke laayi hai kismat mein jaagna,
Maa kaise so sakegi ki beta safar mein hai.

Khud shaakh-e gul ko toot’te dekha hai aankh se,
Kis darza hausla abhi boorhe shajar mein hai.

Tanha mujhe kabhi na samjhna mere hareef,
Ek bhai mar gaya hai magar ek ghar mein hai.

Duniya se aakhirat ka safar bhi ajeeb hai,
Woh ghar pahunch gaya hai badan raahguzar mein hai.

Sab ordh lenge mitti ki chaaddar ko ek din,
Duniya ka har charaagh hawa ki nazar mein hai..

May 10, 2016

Aflaak se aata hai

Aflaak se aata hai naalon ka jawaab aakhir,
karte hain khitaab aakhir uthte hain hijab aakhir.

Ahwsal-e-mohabbat mein kuchh farq nahin aisa,
soz-o-tab-o-taab awwal soz-o-tab-o-taab aakhir.

Main tujh ko batata hun taqdeer-e-umam kya hai,
shamsheer-o-sanaa awwal taaoos-o-rabaab aakhir.

Maikhana-e-europe ke dastoor niraale hain,
laate hain suroor awwal dete hain sharaab akhir.

Kya dabdaba-e-naadir kya shaukat-e-taimoori,
ho jaate hain sab daftar gharq-e-mayy-e-naab aakhir.

Khalwat ki ghadi guzri jalwat ki ghadi aayi,
chhutne ko hai bijli se aagosh-e-sahaab aakhir.

Tha zabt bahut mushkil iss sail-e-maani ka,
keh daale qalandar ne asraar-e-kitaab aakhir. !

#Allama_Iqbal

dil na ban jaaye

Pareshaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaaye,
jo mushkil ab hai yaa rab phir wahi mushkil na ban jaaye.

Na kar dein mujh ko majboor-e-nawa firdaus mein hooren,
mera soz-e-daroon phir garmi-e-mehfil na ban jaaye.

Kabhi chhodi hui manzil bhi yaad aati hai raahi ko,
khatak si hai jo seene mein ghum-e-manzil na ban jaaye.

Banaaya ishq ne dariya-e-naa-paida-karaan mujh ko,
ye meri khud-nigah-daari mera saahil na ban jaaye.

Kahin iss aalam-e-be-rang-o-boo mein bhi talab meri,
wahi afsaana-e-dumbaala-e-mehmil na ban jaaye.

Urooj-e-aadam-e-khaaki se anjum sehme jaate hain,
ki ye toota hua taara mah-e-kaamil na ban jaaye.

#Allama_Iqbal

Woh Khaak ki hi hai

Fitrat ne na bakhsha mujhe andesha-e-chaalaak,
rakhti hai magar taaqat-e-parwaaz meri khaak.

Woh khaak ki hai jis ka junoon saiqal-e-idraak,
woh khaak ki jibreel ki hai jis se qabaa chaak.

Woh khaak ki parwaa-e-nasheman nahin rakhti,
chunti nahin pehna-e-chaman se khaas-o-khaashaak.

Iss khaak ko allaah ne bakhshe hain woh aansoo,
karti hai chamak jin ki sitaaron ko araq-naak.

Aalam hi aur tha

Aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha,
jo deep tha nigaah ki parchhaaiyon mein tha.

Woh be-panaah khauf jo tanhaiyon mein tha,
dil ki tamaam anjuman-aaraaiyon mein tha.

Ek lamha-e fusun ne jalaaya tha jo diya,
phir umar bhar khayaal ki raanaaiyon mein tha.

Ek khwaab-guun si dhoop thi zakhmon ki aanch mein,
ek saaebaan sa dard ki purwaaiyon mein tha.

Dil ko bhi ek jaraahat-e dil ne ataa kiya,
ye hausla ki apne tamaashaaiyon mein tha.

kaTta kahan taweel tha raaton ka silsila,
sooraj meri nigaah ki sachchaaiyon mein tha.

Apni gali mein kyon na kisi ko woh mil saka,
jo etimaad baadiya-paimaaiyon mein tha.

Is ahd-e-khud-sipaas ka puchho ho maajra,
masroof aap apni paziraaiyon mein tha.

Us ke huzoor shukr bhi aasaan nahin ada,
woh jo qareeb-e jaan meri tanhaaiyon mein tha. !!

Zaat Aurat ki

Woh aksar mujh se kehti thi..
Wafa hai zaat aurat ki !

Magar jo mard hote hain,
Bahut bedard hote hain..

Kisi bhanwre ki soorat,
Gul ki khushbu loot jaate hain,
Suno, tum ko kasam meri..
Riwaayat tod dena tum !
Na tanha chhod ke jana,
Na ye dil tod ke jana..


Magar phir yun hua ek din,
Mujhe anjaan raaste par,

Akela chhod kar uss ne,
Mera dil tod kar uss ne,
Mohabbat chhod di uss ne!
Wafaa hai zaat aurat ki,
Riwaayat tod di uss ne,
Mohabbat Chhod di usne...

Zaraa aur...

Ho jaayegi jab tum se shanasaai zara aur,
badh jaayegi shayad meri tanhaai zara aur.

Kyon khul gaye logon pe meri zaat ke asraar,
aey kaash ki hoti meri gehraai zara aur.

Phir haath pe zakhmon ke nishaan gin na sakoge,
ye uljhi hui dor jo suljhaai zara aur.

Tardeed toh kar sakta tha phailegi magar baat,
iss taur bhi hogi teri ruswaai zara aur.

Kyon tark-e-taalluq bhi kiya laut bhi aaya?
achchha tha ki hota jo woh harjaai zara aur.

Hai deep teri yaad ka raushan abhi dil mein,
ye khauf hai lekin jo hawa aayi zara aur.

Ladna wahin dushman se jahan gher sako tum,
jeetoge tabhi hogi jo paspaai zara aur.

Badh jaayenge kuchh aur lahoo bechne waale,
ho jaaye agar shehar mein mehngaai zara aur.

Ek doobti dhadkan ki sadaa log na sun lein,
kuchh der ko bajne do ye shehnaai zara aur....

May 9, 2016

To kya bhula dete

Dayar-e-ghair mein kaise tujhe sada dete,
tu mil bhi jata toh tujhe ganwaa dete.

Tumhin ne hum ko sunaya na apna dukh warna,
dua woh karte ki hum aasmaan hila dete.

Humein ye zom raha ab ke woh pukaarenge,
unhen ye zidd thi ki har baar hum sada dete.

Woh tera ghum tha ki taseer mere lehje ki,
ki jis ko haal sunaate usey rulaa dete.

Tumhen bhulna hi awwal toh dastaras mein nahin,
jo ikhtiyaar bhi hota toh kya bhula dete.

Hum apne bacchon se kaise kahen ki ye gudiya,
humare bas mein jo hoti toh hum dila dete.

Tumhari yaad ne koi jawaab hi na diya,
mere khyaal ke aansoo rahe sada dete.

Samton ko main ta-umar kosta ‘WASI'
woh kuchh na kehte magar honth toh hila dete...


#Wasi_Shah

Taali Nahin Jaati

Aankhon se mere iss liye laali nahin jaati,
yaadon se koi raat jo khaali nahin jaati.

Ab umar, na mausam, na woh raaste ki wo palte
iss dil ki magar kham khyali nahin jaati.

Maange tu agar jaan bhi hans ke tujhe de dein,
teri toh koi baat bhi taali nahin jaati.

Aaye koi aa kar tere dard sambhaale,
hum se toh ye jageer sambhaali nahin jaati.

Maloom humhein bhi hain bahut se tere qissey,
par baat teri hum se uchhaali nahin jaati.

Humraah tere phool khilte the jo dil mein,
ab shaam wohi dard se khaali nahin jaati.

Hum jaan se jaayege tab hi baat banegi,
tum se toh koi raah nikaali nahin jaati. !!

 #Wasi_Shah

Jalaa Gya Chup Chap...

Wafa ke waade woh saare bhula gaya chup chaap,
Wo mere dil ki deewaarein hila gaya chup chaap.

Ghum-e hayat ke taptey hue biyabaan mein,
Humein chhod ke woh tanha chala gaya chup chaap.

Na jaane kaun sa woh badnaseeb lamha tha,
Jo ghum ki aag mein mujh ko jala gaya chup chaap.

Main jis ko chhooti hun woh zakhm deta hai,
Woh phool aise chaman mein khila gaya chup chaap…


#Noshi_Gilani

May 8, 2016

Dekha toh ro diye

Poochha kisi ne haal kisi ka toh ro diye,
paani mein aqs chaand ka dekha toh ro diye.

Naghma kisi ne saaz pe chheda toh ro diye,
ghuncha kisi ne shaakh se toda toh ro diye.

Udta hua ghubaar sar-e-raah dekh kar,
anjaam hum ne ishq ka socha toh ro diye.

Baadal fiza mein aap ki tasweer ban gaye,
saaya koi khyaal se guzra toh ro diye.

Rang-e-shafaq se aag shagufon mein lag gayi,
saghar’ humare haath se chhalka toh ro diye. !!

Mein dafan hona tha

Zara si der mein hum kaise kholte uss ko,
tamaam umar lagi jhooth bolte uss ko.

Jise kasheed kiya tha khumaar-e-khushboo se,
misaal-e rang hawaaon mein gholtey uss ko.

Woh khwaab mein hi utarta shuaa-e subah ke saath,
hum apne aap hi palkon pe taultey uss ko.

Woh ashq tha usey aankhon mein dafan hona tha,
gauhar na tha ki sitaaron mein roltey uss ko.

Woh bewafa tha toh iqraar laazmi karta,
kuchh aur der meri jaan tatoltey uss ko.

Kisi ki aankh se ‘mohsin’ zaroor peeta hai,
tamaam shehar ne dekha hai daultey uss ko....

Intezaar Main Hoon

Ye kaisa nasha hai main kis ajab khumaar mein hun,
tu aa ke jaa bhi chuka hai main intezaar mein hun.

Makaan hai qabr, jise log khud banaate hain,
main apne ghar mein hun ya kisi mazaar mein hun.

Dar-e-faseel khula ya pahaad sarr se hata,
main ab giri hui galiyon ke marg-zaar mein hun.

Bas itna hosh hai mujh ko ki ajnabi hain sab,
ruka hua hun safar mein kisi dayaar mein hun.

Main hun bhi aur nahin bhi ajeeb baat hai ye,
ye kaisa jabr hai main jis ke ikhtiyaar mein hun.

Munir’ dekh shajar chaand aur deewaaren,
hawaa khizan ki hai sar par shab-e-bahaar mein hun....


#Munir_Niazi

A Tribute to Mothers

Ghar Ghar Chulha Chowka Karti, Karti Suit Silaai Maa,
Bachhon Khatir Jod Rahi Hai, Dekho Payee Payee Maa.


Babu Ji Ki Aamad Bhi Kam, Upar Se Ye Mehngayee bhi,
Tute Chashme Se Ba-Mushkil Karti Hai Tarpayee Maa


Sehte Sehte Saare Ghar Ki Badhti Zimmewari Ko,
Ghat-Te, Ghat-Te Aaj Bachi Hai Kewal Ek Tihayee Maa.


Teeka, Kundal, Hansli, Kangan, Tagri, Nath, Bichuae, Chutki,
Beti Ki Shaadi Ki Khatir Sab Girvi Rakh Ayee Maa


Saare Rishte Jhuthe Nikle Matlab Ke The Yaar Sabhi,
Kewal Tune Hi Aajeevan Nishchal Preet Nibhayee Maa


Pizza Burger Kab Hote Theyitne b Meethey Pudey,
Deti Thee Roti Par Rakh Kar Shakkar Aur Malai Maa


Darjan Bhar Logo Ka Kunba Phir Bhi Tha Sanjha Chulha,
Miljul Kar Rehti Thi Ghar Mein Dadi, Chachi, Tai, Maa


Naam Sabhi Hain Gurh Se Meethey Chahe Main Kuch Bhi Boloon,
Biji, Bebay, Mataa, Mummy, Maiya, Amma, Mayee, Maa


Bachha Hi Maksad Hota Hai Maa Ke Jeevan Ka ‘Agyat’,
Himmat De Uske Khwabon Ko Deti Hai Unchayee Maa…


#waiting for your prayers

May 7, 2016

Zindagi se mile

Zakhm kya kya na zindagi se mile,
Khwaab palkon se berukhi se mile.

Aap ko mil gaye hain qismat se,
Hum zamane mein kab kisi ko mile?

Aise khushbu se mil raha hai gulaab,
Jis tarah raat, raushani se mile.

Hum faqeeron se dosti hai magar,
Uss se kehna ki saadagi se mile.

Dil mein rakhte hain ehtiyaat se hum,
Zakhm jo jo bhi jis kisi se mile.

Zindagi se gale mile toh lagaa,
Ajnabee jaise ajnabee se mile.

Uss ke seene mein dil nahin tha ‘Batool
Hum ne socha tha aadmi se mile....


#Fakhra_Batool

Dushman-e jaan

Woh dushman-e jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha
ab kis se kahen koi humara bhi kabhi tha.

Utra hai ragg-o-pai mein toh dil kat sa gaya hai,
ye zehar-e judaai ki gawaara bhi kabhi tha.

Har dost jahan abr-e gurezaan ki tarah hai,
ye shehar kabhi shehar humara bhi kabhi tha.

Titli ke taaqub mein koi phool sa bachcha,
aisa hi koi khwaab humara bhi kabhi tha.

Ab agle zamane ke milen log toh puchhen,
jo haal humara hai tumhara bhi kabhi tha.

Har bazm mein hum ne usey afsurda hi dekha,
kahte hain ‘faraz kabhi anjuman-aara bhi tha....


#Ahmed_Faraz

Karbalaa Mere Liye...

Khud naweed-e-zindagi laayi qazaa mere liye,
sham-e-kushta hun; fanaa mein hai baqaa mere liye.

Zindagi mein toh na ek-dum khush kiya hans bol kar,
aaj kyun rote hain mere aashna mere liye.

Kunj-e-uzlat mein misaal-e-aasiya hun gosha-gir,
rizq pahunchaata hai ghar baithe khuda mere liye.

Tu saraapa ajr aey zaahid, main sar-ta-pa gunaah,
baagh-e-jannat teri khaatir karbala mere liye.

Naam raushan kar ke kyun-kar bujh na jaata misl-e-shama,
na-muwaafiq thi zamaane ki hawaa mere liye.

Har nafas aaina-e-dil se ye aati hai sadaa,
khaak tu ho ja toh, haasil ho jila mere liye.

Khaak se hai khaak ko ulfat tadapta hun ‘anees
karbala ke waaste main, karbala mere liye....

#Mir_Anees

May 6, 2016

khyaal se pehle

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle,
hijr ki poori raat aati hai subah-e wisaal se pehle.

Dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin,
aankhein paagal ho jaati hain ek khyaal se pehle.

Kis ne "
rait udaati shab" mein aankhein khol ke rakhin,
koi ek misaal toh do na uss ki misaal se pehle.

Kaar-e-mohabbat ek safar hai iss mein aa jaata hai,
ek zawaal aesaar sa raasta baab-e kamaal se pehle.

Ishq mein resham jaise waade aur khwaabon ka raasta,
jitna mumkin ho tayy kar lein gard-e malaal se pehle....

#Noshi_Gilani

Samajhte Hoonge...

Woh ghazal waalon ka usloub samajhte honge,
chaand kehte hain kise khoob samajhte honge.

Itni milti hai meri ghazloon se soorat teri,
log tujh ko mera mehboob samajhte honge.

Main samajhta tha mohabbat ki zabaan khushboo hai,
phool se log usey khoob samajhte honge.

Dekh kar phool ke auraaq pe Shabnam kuchh log,
tera ashkoon bhara maqtoob samajhte honge.

Bhool kar apna zamaana ye zamaane waale,
aaj ke pyaar ko maayub samajhte honge.

#Bashir_Badar

Aitbaar Tha...

Shamm-e-mazaar thi na koi sogwaar tha,
tum jis pe ro rahe the woh kis ka mazaar tha.

Tadpunga umar bhar dil-e-marhoom ke liye,
kambakht na-muraad ladkpan ka yaar tha.

Jaadu hai ya tilism tumhari zubaan main,
tum jhooth keh rahe the mujhe aitbaar tha.

Kya kya humaare sajde ki ruswaaiyaan hui,
naqsh-e-qadam kisi ka sare rahguzaar tha...

#MaahyRaja

Imtihaan Aur Bhi Hain...

Sitaaron se aage jahaan aur bhi hain,
abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain.

Teri zindagi se nahin ye fazaayen,
yahan sainkdon kaarwaan aur bhi hain.

Qanaa'at na kar aalam-e-rang-o-boo par,
chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain.

Agar kho gaya ek nasheman toh kya ghum,
maqaamaat-e-aah-o-fughaan aur bhi hain.

Tu shaaheen hai parwaaz hai kaam tera,
tere saamne aasmaan aur bhi hain.

Issi roz-o-shab mein ulajh kar na reh jaa,
ki tere zamaan-o-makaan aur bhi hain.

Gaye din ki tanha tha main anjuman mein,
yahan ab mere raazdaan aur bhi hain.

#Allama_Iqbal

Bahut Barbad Hua

Ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua,
iss dil ki jheel si aankhon mein ek khwaab bahut barbaad hua.

Ye hijr-hawa bhi dushman hai iss naam ke saare rangon ki,
woh naam jo mere honthon par khushboo ki tarah aabaad hua.

Uss shehar mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhool gaye,
ek shakhass kitaabon jaisa tha woh shakhass zubaani yaad hua.

Woh apne gaaon ki galiyaan thi dil jin mein naachta gaata tha,
ab iss se farq nahin padta nashaad hua ya shaad hua.

Benaam sataaish rehti thi in gehri saanwali aankhon mein,
aisa toh kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua....


#Noshi_Gilani

Tujhe Dekh Kar Hua...

Dil tha ki khush khyaal tujhe dekh kar hua,
ye shehar be-misaal tujhe dekh kar hua.

Apne khilaaf shehar ke andhe hujoom mein,
dil ko bahut malaal tujhe dekh kar hua.

Tool-e shab-e firaaq teri khair ho ki dil,
amaada-e-visaal tujhe dekh kar hua.


Ye hum hi jaante hain judaai ke mod par,
iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua.

Aayi na thi kabhi mere lafzon mein roshani,
aur mujh se ye kamaal tujhe dekh kar hua.

Bichhde toh jaise zehan muattal sa ho gaya,
shehar-e-sukhan bahaal tujhe dekh kar hua.

Phir log aa gaye mera maazi kuraidne,
phir mujh se ek sawaal tujhe dekh kar hua...


#Noshi_Gilani

Kabhi Shaam Na Ho...

Nigaah-e-Yaar Pe Palkon Ki Lagaam Na Ho,
Badan Mein Dur Talak Zindgi Ka Naam Na Ho,

Wo Be-naqaab Phirti Hai Gali-Kuchon Mein,
To Kaise Shehar Ke Logon Mein Qatl-e-Aam Na Ho,

Mujhe Yakeen Hai Ki Duniya Mein Dard Badh Jayein,
Agar Yeh Peene Pilane Ke Ehtmaam Na Ho,

Bithaa Ke Saamne Bas Dekhta Rahu Uss Ko,
Iss Ke Siwa Mujhe Duniya Ka Koyi Kaam Na Ho,

Jo Usko Dekh Le Aaftab, Ek Nazar Mohsin,
Mere Shehar Ki Galiyon Mein Kabhi Shaam Na Ho.

Roshni Par...

Roshni Par Andheron Ke Pehre Huve,
Zakham Jitne Silee Utne Gehre Huve

Peer Ki Bansuri Kya Sunenge Bhalaa
Log Shehnaaiyaan Sun Ke Behre Huve.

Rehaa Kar de

rehaa ker de qafas ki qaid se ghayal parinde ko
kisi ke dard ko iss dil mein kitne saal paalay ga

May 5, 2016

Pyaar ka Insurance...

Kaash Pyaar Ka Insurance Karwaya Jata, 
Pyar Karne Se Pehle Premium Bharwaya Jata,
Pyar Mein Wafa Mili To Theek Varna, 
Jo Kharcha Hota Uska Claim Dilwaya Jata.

Ban Jaao...

Bharam Rakho Mohabbat Ka Wafa Ki Shaan Ban Jao,
Kisi Par Jaan De Do Ya Kisi Ki Jaan Ban Jaao,

Tumhare Naam Se Mujhko Pukaaren Yeh Jahaan Wale, 
Main Ban Jaaun Afsaana Aur Tum Unwaan Ban Jaao.

Zikr Ay......

Ik Kadam Putteya Ta Duje Di Fikar Ae, 
Zindagi Kujj Es Tra De Vaadeyan Da Safar Ae,

Parda-Parda So Gaya Si Yaara Tu Jedi Kitab, 
Aakhri Saffe Utte Shaayad Mera Hi Zikar Ae.

Aur Khataa Ho Jaye

Iss Tarah Meri Taraf Mera Maseeha Dekhe,
Dard Dil Mein Hi Rahe Aur Davaa Ho Jaye,

Zindgi Ko Mile Koyi Hunnar Aisaa Bhi,
Sab Mein Maujood Bhi Rahe Aur Fanaah Ho Jaye,

Maujuda Kaash Dikha De Yeh Nigaahein Meri,
Labb Khamosh Rahein Baat Adaa Ho Jaye,

Iss Tarah Jurm Ke Ehsaas Ko Bedaar Karo,
Jism Aazad Rahe Aur Sazaa Ho Jaye,

Uss Ko Main Dekhun Toh Iss Tarah Se Dekhun,
Sharm Aankhon Mein Rahe Aur Khataa Ho Jaye.

Kya Jaata...

Do Ashq Meri Yaad Mein Bahaa Jaate To Kya Jaata,
Chand Kaliyan Laash Pe Bichhaa Jaate To Kya Jaata, 

Aaye Ho Meri Mayyat Par Sanam Naqaab Odh kar,
Agar Yeh Chaand Ka Tukda Dikha Jaate Toh Kya Jata.

Nayaab Bahut Tha...


Taabier Jo Mil Jaati Toh Ek Khawaab Bahut Tha,
Jo Shakhs Ganwa Baithe Woh Nayaab Bahut Tha,

Main Kaise Bachaa Leta Bhalaa Kashti-e-Dil Ko,
Dariyaa-e-Mohabbat Mein Sailaab Bahut Tha.

May 4, 2016

Achha Lagta Hai

Hoon To Khafa Us Se Par Jaane Phir Bhi Kyun,
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Achha Lagta Hai

Haqeeqat Se Hoon Dhoor Ye Mujh Ko Hai Pata
Per Jaan Ke Anjaan Rehna Acha Lagta Hai

Kayal Nahi Main Rone Ki Phir Bhi Kabhi Kabhi
Tanhaai Mein Kuch Der Rona Achha Lagta Hai

Tu Mera Tha, Tu Mera Hai, Tu Mera Rahega
Kuch Pal Is Khwaab Mein Khona Acaha Lagta Hai

{Parveen Shakir}

Laayi Hayaat Aaye

laayi hayaat aaye; qazaa le chali chale
na apani Khushi aaye na apani Khushi chale

behtar to hai yahi ke na duniya se dil lage
par kya karen jo kaam na be-dillagi chale

ho umr-e-Khizr bhi to kahenge ba-waqt-e-marg
ham kyaa rahe yahaan abhi aaye abhi chale

duniyaa ne kis ka raah-e-fanaa me diyaa hai saath
tum bhi chale chalo youn hi jab tak chali chale

naazaan na ho Khirad pe jo honaa hai vo hi ho
daanish teri na kuchh meri daanishwari chale

kam hoonge is bisaat pe ham jaise badd_qimaar
jo chaal ham chale vo nihaayat buri chale

jaate hawaa-e-shauq men hain is chaman se 'Zauq'
apani balaa se baad-e-sabaa kahin chale

May 3, 2016

Karvaan bnta gya

Main to Akela hi Clalaa Tha Janib-e-Manzil Magar,

Log Saath Aate Gye, Kaarvaan Bantaa Gyaa.......

Liya Gyaa Mujhe


Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe

Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe.

Shehr Bhi Hai

wafaa ke bhes main koi raqeeb-e-shehar bhi hai
hazar! ke shehar ke qaatil tabeeb-e-shahar bhi hai

wahi sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaroon taraf
jo mere bakht main thaa ab naseeb-e-shehar bhi hai

udhar kee aag idhar bhii pahunch na jaaye kahin
hawaa bhi tez hai jangal qareeb-e-shehar bhi hai

ab us ke hijr main rote hain us ke ghaayal bhi
Khabar na thi ke wo zaalim habeeb-e-shehar bhi hai

ye raaz naaraa-e-mansoor hii se ham pe Khulaa
ke choob-e-mimbar-e-masjid saleeb-e-shehar bhi hai

kadi hai jang ke ab ke muqaable pe 'Faraz'
ameer-e-shehar bhi hai aur khateeb-e-shehar bhi hai

Raat Bhar

aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar

raat bhar dard ki shammaa jalti rahi
Gam ki lau thar-tharaati rahi raat bhar

baansuri ki sureeli suhaani sadaa
yaad ban ban ke aati rahi raat bhar

yaad ke chaand dil main utaarte rahe
chaandani jagamaati rahi raat bhar

koi deewaana galiyun main phirta raha
koi aawaaz aati rahi raat bhar

May 2, 2016

HINDostan

abrez hai sharaab-e-haqiat se jaam-e-Hind
sab falsafi hain khitta-e-Maghrib ke Raam-e-Hind

Ye Hindiyun ke fikr-e-falak-ras ka hai asar
rifa't mein aasmaan se bhii ooncha hai baam-e-Hind

Isi desh mein hue hain hazaaron malak sarasht
Mash'hoor jinke dam se hai duniaa mein naam-e-Hind

Hai Ram ke wujood pe Hindostaan ko naaz
Ahl-e-nazar samajhte hain usko Imam-e-Hind

Niraala Hogaa

dil jalegaa to zamaane mai ujaalaa hogaa
husn zarron kaa sitaaroN se niraalaa hogaa

kaun jaane ye mohabbat kii sazaa hai ke silaa
ham kinaare pe bhi pohnche to kinaara na milaa

bujh gayaa chaand kisii dard bhare dil ki tarah
raat kaa rang abhi aur bhi kaalaa hogaa

dekhanaa royegii fariyaad karegii duniyaa
ham na hoonge to hamen yaad karegi duniyaa


apane jeene kii adaa bhii anokhii sab se
apane marane kaa bhii andaaz niraalaa hogaa

Jal Jaate Hain

garmii-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hain
ham charaagon kii tarah shaam se jal jaate hain

jab bhii aata hai mera naam tere naam ke saath
jaane kyu log mere naam se jal jaate hain

Khud-numaai to nahi shevaa-e-arbaab-e-wafaa
jin ko jalanaa ho wo aaraaam se jal jaate hain

bach nikalate hain agar aatish-e-sayyaad se ham
sholaa-e-aatish-e-gul'faam se jal jaate hain

shamaa jis aag main jalati hai numaayesh ke liye
ham usii aag main gumnaam se jal jaate hain
#Qateel_Shifaai

May 1, 2016

HAMARI Hai

judaai ho ke milan, har adaa hamaari hai
tumhaara shehar hai lekin fizaa hamaari hai
shikaayaten bhi karen hum to kis zabaan se karen
Khudaa banaaya hum ne ye Khataa hamaari hai
hamaare jism ki uriyaanat pe mat hansanaa
ke tum jo urhe huve ho wo ridaa hamaari hai
hamaare saamane zebaa nahin Guroor tumhen
jahaan pe bethe ho tum wo jagaa hamaari hai

Jahaan Mile

mera dard nagma-e-be'sadaa, meri zaat zarra-e-benishaan,
mere dard ko jo zubaan mile, mujhe apna naam-o-nishaan mile,
meri zaat ko jo nishaan mile, mujhe raaz-e-nazm-e-jahaan mile.
jo mujhe ye raaz-e-nihaan mile. meri Khaamoshi ko bayaan mile.
mujhe kaayenaat ki sarwari, mujhe daulat-e-do jahaan mile...


#maahyraja

Chahta Hoon

Apne Hothon Par Sajana Chahata Hun
Aa Tujhe Main Gunagunana Chahata Hun
Koi Ansu Tere Daman Par Girakar
Bund Ko Moti Banana Chahata Hun
Thak Gaya Main Karate Karate Yad Tujhko
Ab Tujhe Main Yad Ana Chahata Hun
Cha Raha Hai Sari Basti May Andhera
Raushani Ho Ghar Jalana Chahata Hun
Akhari Hichaki Tere Zanon Pe Aye
Maut Bhi Main Shayarana Chahata Hun....
#maahyraja