May 12, 2016

safar mein hai

Bichhda kahan hai bhai humara safar mein hai,
Ojhal nahin hua hai abhi tak nazar mein hai.

Ek haadse ne chheen liya hai usey magar,
Tasweer uski phir bhi meri chashm-e tarr mein hai.

Woh toh likha ke laayi hai kismat mein jaagna,
Maa kaise so sakegi ki beta safar mein hai.

Khud shaakh-e gul ko toot’te dekha hai aankh se,
Kis darza hausla abhi boorhe shajar mein hai.

Tanha mujhe kabhi na samjhna mere hareef,
Ek bhai mar gaya hai magar ek ghar mein hai.

Duniya se aakhirat ka safar bhi ajeeb hai,
Woh ghar pahunch gaya hai badan raahguzar mein hai.

Sab ordh lenge mitti ki chaaddar ko ek din,
Duniya ka har charaagh hawa ki nazar mein hai..

No comments:

Post a Comment