November 25, 2016

Rraaz badal dalo..



Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaaz badal dalo

Ay dost karo himmat kuch door sawera hy
Gar chahte ho manzil to parwaaz badal dalo….

Laila ki tarah tu bhi hai



Jinhen main dhoondta tha asmanon mein zameenon main,
Woh nikle mere zulmat khana-e-dil ke makeenon main,

Kabhi apna bhi nazaara kiya hai tu ne ae majnoon,
Ke laila ki tarah tu bhi hai mehmil-nasheenon main,

Mahine vasl ke gharriyon ki surat urrte jaate hain,
Magar gharriyan judaayi ki guzarti hain maheenon main,

Mujhe roke ga tu ae na-khuda kya gharaq hone se,
Ke jin ko doobna ho, doob jate hain safeenon main,

Jalaa sakti hai shama-e-kushta ko mauj-e-naffas in ki,
Elahi! Kya chupaa hota hai ehl-e-dil ke seenon main,

Na puch in kharqa poshon ki, iradat ho to dekh in ko,
Yadd-e-baiza liye baithe hain apni aasteenon main,

Kisi aese sharar se phoonk apne kharman-e-dil ko,
Ke khurshid-e-qayamat bhi ho tere khoshaa-cheenon main,

Mohabbat ke liye dil dhoond koi tootne wala,
Ye woh mai hai jise rakhte hain nazuk aabgeenon main,

Saraapa husn ban jata hai jis ke husn ka ashiq,
Bhala ae dil haseen aesa bhi hai koi haseenon main,

Numayan ho ke dikhla de kabhi in ko jamaal apna,
Bohat muddat se charche hain tere baareek beenon main,

Khamosh ae dil! Bhari mehfil mein chillaana nahin acha,
Adab pehla qareena hai mohabbat ke qareenon main,

Bura samajhun inhe, mujh se to aesa ho nahin sakta,
Ke main khud bhi to hun iqbal apne nukta-cheenon main..

November 23, 2016

mere pass nishani us ki



Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki,

Woh sitam‘gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki,

Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki,

Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki,

Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko,
Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki,

Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena,
Samne sab ke sunaa dena kahani us ki..

Dil main kisi ke raah




Dil main kisi ke raah kiye ja raha hoon main,
Kitna haseen gunaah kiye ja raha hoon main,

Duniya-e-dil tabah kiye ja raha hoon main,
Sarf-e-nigaah-o-aah kiye ja raha hoon main,

Fard-e-amal siyah kiye ja raha hoon main,
Rehmat ko be-panaah kiye ja raha hoon main,

Aisi bhi ik nigaah kiye ja raha hoon main,
Zarron ko mehr-o-maah kiye ja raha hon,

Mujhse lage hain ishq ki azmat ko chaar-chaand,
Khud husn ko gawaah kiye ja raha hoon main,

Daftar hai ek maani-e-be-lafzz-o-saut ka,
Saada si jo nigaah kiye ja raha hoon main,

Uthti nahin hai ankh magar us ke rubaru,
Nadeeda ik nigaah kiye ja raha hoon main,

Gulshan-parast hoon mujhe gul hi nahin aziz,
Kaanton se bhi nibaah kiye ja raha hoon main,

Yuun zindagi guzaar raha hoon tere baghair,
Jaise koi gunaah kiye ja raha hoon main,

Mujh se adaa hua hai ‘jigar’ justuju ka haq,
Har zarray ko gawaah kiye ja raha hoon main..

November 21, 2016

Yeh barson ka taluq



Yeh barson ka taluq torr dena chahte hain hum,
Ab apne aap ko bhi chorr dena chahte hain hum,

Kisi dehleez pr ankhon ke yeh roshan diye rakh kar,
Zameeer-e-subh ko jhinjhorr dena chahte hain hum,

Jidhar hum ja rahe hain us taraf toot’ta hua pull hai,
Yeh baaagen is se pehle morr dena chahte hain hum,

Yeh naubat kal jo aani hai to sharminda nahin hon ge,
Maraasim ehtiyatan torr dena chahte hain hum,

Ajab deewangi hai jis ke hum saaye main bethe hain,
Usi deewar se sar phorr dena chahte hain hum,

Taluq kirchiyon ki shakal main bikhraa to hai phir bhi,
Shikasta aayinon ko jorr dena chahte hain hum..

Kuch ne kaha chehra tera


Kal chodhween ki raat thi, shab bhar raha charcha tera,
Kuch ne kaha yeh chaand hai, Kuch ne kaha chehra tera,

Hum bhi wahin mojood they, hum se bhi sab poocha ke yeh,
Hum hanss diye hum chup rahe, manzoor tha parda tera,

Iss sheher mein kis se milen, hum se to choottin mehfilein,
Har shakss tera naam le, har shakss deewana tera,

Bedard! sunte ho to chal, kehta hai kya achi ghazal,
Aashiq tera, ruswaa tera, shaayer tera, Insha tera.

Mere shehr jal rahe hain



Main yeh kis ke naam likhoon jo alam guzr rahe hain,
Mere shehr jal rahe hain mere log mar rahe hain,

Koi ghuncha ho ke gul ho koi shaakh ho shajar ho,
Woh havaa-e-gulistaaan hai ke sabhi bikhar rahe hain,

Kabhi rehmaten thiin naazil isi khitta-e-zameen pr,
Wohi khitta-e-zameen hai ke azaab utar rahe hain,

Wohi taayeron ke jhurmatt jo havaa main jhoolte thay,
Woh fazaa ko dekhte hain to ab aaah bhar rahe hain,

Barri aarzuu thi hum ko naye khawb dekhne ki,
So ab apni zindagi main naye khawb bhar rahe hain,

Koi aur to nahin hai pas-e-khanjjar-azmaayi,
Hamein qatal ho rahe hain hamin qatal kar rahe hain.

November 18, 2016

qazaa se darte hain



Jeene wale qazaa se darte hain,
Zehar pee kar davaa se darte hain,

Zahidon ko kisi ka khauf nahin,
Sirf kaali ghataa se darte hain,

Aap jo kuch kahen humen manzoor,
Naik bande khudaa se darte hain,

Dushmanon ke sitam ka khauf nahin,
Doston ki wafaa se darte hain,

Azm o himmat ke bawjud shakeel,
Ishq ki ibtidaa se darte hain..

November 17, 2016

rehayi mangte rehna



Mohabbat ki aseeri se rehaayi maangte rehna,
Bohat asaan nahin hota, judaayi maangte rehna,

Zara sa ishq kar lena, zara si aankh-bhar lena,
Iwwaz is ke magar saari khudaayi mangte rehna,

Kabhi mehroom hontton par duaa ka harf rakh dena,
Kabhi wehshat main us ki na-rasaayi mangte rehna,

Wafaaon ke tasalssul se mohabbat rooth jati hai,
Kahani main zara si bewafaayi maangte rehna,

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi ke aadat ho gayi dil ki,
Sakoot-e-shaam gham se se humnawaayi mangte rehna,

Kabhi bache ke nanhe hath par titlee ke par rakhna,
Kabhi phir us ke rangon se rehaayi maangte rehna..

Yeh barson ka taluq



Yeh barson ka taluq torr dena chahte hain hum,
Ab apne aap ko bhi chorr dena chahte hain hum,

Kisi dehleez pr ankhon ke yeh roshan diye rakh kar,
Zameeer-e-subh ko jhinjhorr dena chahte hain hum,

Jidhar hum ja rahe hain us taraf toot’ta hua pull hai,
Yeh baaagen is se pehle morr dena chahte hain hum,

Yeh naubat kal jo aani hai to sharminda nahin hon ge,
Maraasim ehtiyatan torr dena chahte hain hum,

Ajab deewangi hai jis ke hum saaye main bethe hain,
Usi deewar se sar phorr dena chahte hain hum,

Taluq kirchiyon ki shakal main bikhraa to hai phir bhi,
Shikasta aayinon ko jorr dena chahte hain hum..

November 16, 2016

adaa seekh gaye hain



Honton pe mohabbat ke fasaane nahin aate,
Sahil pe samandar ke khazaane nahin aate,

Palken bhi chamak uthti hain sone main hamari,
Ankhon ko abhi khawb chupaane nahin aate,

Dil ujrri hui aik saraaye ki tarah hai,
Ab log yahan raat jagaane nahin aate,

Yaaro naye mausam ne yeh ehsaan kiye hain,
Ab yaad mujhe dard puraane nahin aate,

Urrne do parindon ko abhi shokh hawaa main,
Phir lautt ke bachpan ke zamaane nahin aate,

Is sheher ke baadal teri zulfon ki tarah hain,
Yeh aag lagaate hain bujhaane nahin aate,

Ehbaab bhi ghairon ki adaa seekh gaye hain,
Aate hain magar dil ko dukhaane nahin aate..

dukh se nikaal de us ko



Yeh meri umar, mere maah-o-saal de us ko,
Mere khuda mere dukh se nikaal de us ko,

Woh chup kharra hai keyi din se teri khatir to,
Kawaarr khol de azn-e-sawaal de us ko,

Azaab-e-badnazri ka jise shauur na ho,
Yeh meri aankhen, mere hadh-o-haal de us ko,

Yeh dekhna shab-e-hijraan ke kis ki dasstak hai,
Visaal rut hai agar woh, to ttaal de us ko,

Woh jis ka harf-e-duaa roshni hai mere liye,
Main bujh bhi jaaon to maula ujaal de us ko..

November 14, 2016

Har Sajda Apka


Har Sajda Apka Manzoor-E- Khuda Ho Jaaye
Aapki Duao Mein Rab Ki Raza Ho Jaaye,

Khuda Aap Sabhi Ko Itni Khushiyaan De,
K Aapki Zindgi Se Lafz-E-Gam Fanaa Ho Jaye…

November 9, 2016

Gham ke saaye



wo alam-kashoN kaa milana wo nishat-o-Gham ke saaye
kabhii ro paRaa tabassum kabhii ashk muskuraaye

ye ufaq se chaaNd ubharaa ye shafaq kaa noor phailaa
ki terii ziyaa-e-rooh se dar-o-baam jagamagaaye

ba_hazaar naamuraadii jise umr bhar saraahaa
use bewafaa kahooN ab ye jigar kahaaN se aaye

ye bahaar kyaa karegii merii dard kaa madaawaa
na wo bijaliyaaN nazar kii na wo gesoo_oN ke saaye

meraa soz-e-waalihaanaa merii sham-e-zindagaanii
kahiiN naamuraadiyoN meN ye chiraaG bujh na jaaye

zaraa Thahar jaao



qareeb maut khadi hai, zaraa Thahar jaao
qazaa se aankh ladi hai, zaraa Thahar jaao

thakii thakii sii fazaayen, bujhe bujhe taare
badi udaas ghadi hai, zaraa Thahar jaao

nahiiN ummeed ki ham aaj kii sahar dekhen
ye raat ham pe kadi hai, zaraa Thahar jaao

abhii na jaao ki taaron kaa dil dhadakataa hai
tamaam raat padi hai, zaraa Thahar jaao

dam-e-firaaq main jii bhar ke tum ko dekh to loon
ye faisale kii ghadi hai, zaraa Thahar jaao

November 2, 2016

koo-e-habeeb se



dekhaa hai zindagii ko kuchh itanaa qareeb se
chehare tamaam lagane lage haiN ajeeb se

is reNgatii hayaat kaa kab tak uThaayeN baar
beemaar ab ulajhane lage haiN tabeeb se

har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal kii raah milati hai koo-e-habeeb se

is tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise ko_iii nibaah rahaa ho raqeeb se

ai rooh-e-asar jaag kahaaN so rahii hai tuu
aawaaz de rahe haiN payambar saleeb se