September 28, 2018

Meri daastan-e-hasrat

Meri daastan-e-hasrat wo suna suna ke roye,
Mere aazmane wale mujhe aazma ke roye,

Koi aesa ehl-e-dil ho ke fasaan-e-mohabbat,
Main usey suna ke roo’un, woh mujhe suna ke roye,

Meri aarzuu ki duniya dil-e-naatwan ki hasrat,
Jese kho ke aaj shaadman they, usey aaj paa ke roye,

Teri bewafaaiyon per, teri kaj’adaaiyon per,
Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi moun chupa ke roye,

Jo suni anjjuman main shab-e-gham ki aap-beeti,
Kayi ro ke muskuraye kayi muskuraa ke roye..

September 24, 2018

chhod diya

Us ne dil ka haal batana chhod diya
Hum ne bhi gehrai main jana chhod diya

Jabb us ko hi doori ka Ehsaas nahi
Hum ne bhi Ehsaas dilana chhod diya

Main ne kaha raste hain dushwar boht
Us ne tab se saath nibhana chhod diya

Jab yeh kaha ke karna yaad duaoun main
Us ne dua main haath uthana chhod diya