July 12, 2019

Inam-e-Wafaa

Gham ko inam-e-wafaa bhi to nahin keh sakte,
Hum mohabbat ko khataa bhi to nahin keh sakte,

Yehi keh dete hain ab tujhse bichad kar khush hain,
Aur kuchh iss ke siwaa bhi to nahin keh sakte,

Sari duniya main jo ik shakhss chuna tha, tu tha,
Ab tujhe khud hi bura bhi to nahin keh sakte..

June 18, 2019

Farz karo

Farz karo hum ehl-e-wafaa hoon, farz karo deewane hoon,
Farz karo yeh donon baten jhooti hoon, afsane hoon,

Farz karo yeh jee ki bipta jee se jorr sunayi ho,
Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chupaayi ho,

Farz karo tumhen khush karne ke dhoonde hum ne bahane hoon,
Farz kar yeh nain tumhare sachh-much ke mai-khane hoon,

Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti preet hamari ho,
Farz karo is preet ke rog main saans bhi hum par bhari ho,

Farz karo yeh jog ba-jog ka hum ne dhong rachaya ho,
Farz karo bas yehi haqeeqat, baqi sab kuch maya ho,

Dekh meri jaan keh gaye baahu kaun dilon ki jaane hoon,
Basti basti sehraa sehraa lakhon karen deewane hoon,

Jogi bhi jo nagar nagar main maare maare phirte hain,
Kaasa liye bhabuut ramaye sab ke dvare phirte hain,

Shayar bhi jo meethi baani bol ke mann ko harte hain,
Banjare jo unche damon jee ke saude karte hain,

In main sache moti bhi hain, in main kankar pathar bhi,
In main uthle paani bhi hain, in main gehre saagar bhi,

Gori dekh ke aage badhna sab ka jhoota sacha hoon,
Doobne wali doob gayi woh ghada tha jis kacha hoon.

June 7, 2019

Hansne wale ab aik

Hansne wale ab aik kaam karen,
Jashn-e-girya ka ehtimaam karen,

Hum bhi kar le jo roshni ghar main,
Phir andhere kahan qayaam karen,


Mujh ko mehrumi-e-nazara qubool,
Aap jalve na apne aam karen,

Aa chalen us ke dar pe ab ae dil,
Zindagi ka safar tamaam karen,

Hath uthta nahin hai dil se khumar,
Hum unhen kis tarah salaam karen,

Hansne waley ab aik kaam karen,
Jashn-e-girya ka ehtimaam karen...!!

May 26, 2019

Teergi main subh ki

Teergi main subh ki tanveer ban jayen ge hum,
Khawb tum dekho ge aur tabeer ban jayen ge hum,

Ab ke yeh socha hai gar azaad tum ne kar diya,
Khud hi apne paaon ki zanjeer ban jayen ge hum,

Aansuon se likh rahe hain bebasi ki dastan,
Lag raha hai dard ki tasveer ban jayen ge hum,

Likh na paye jo kisi ki neem-baaz ankhon ka raaz,
Woh yeh vaada kar rahe hain, meer ban jayen ge hum,

Gar yun hi badhta raha shughal-e-mai-kashi,
Ek din is mai-kade ke peer ban jayen ge hum,

Us ne bhi auron ke jaise kiya hum se salook,
Jo yeh kehta tha teri taqdeer ban jayen ge hum..

May 21, 2019

Apne hunar ki dhaak

Apne hunar ki dhaak bithane main dair ki,
Jo dekhte rahe woh dikhane main dair ki,

Woh bhi qabooliyat ki ghadi dhoondta raha,
Maine bhi apne haath uthane main dair ki,

Kis ko khabar hai us ki sehar kis jahan main ho,
Jungle main jis ne aag jalane main dair ki,

Mumkin hai ab ki baar woh bach kar na ja saken,
Choron ne mil kar shor machane main dair ki,

Ik baat thi jo waqt pe main keh nahin saka,
Ik khawab tha jo maine sunane main dair ki,

Tamoor main ne us ko gale se laga liya,
Jis ne bhi mujh se hath milane main dair ki..

May 7, 2019

Jism ke is khanddar

Jism ke is khanddar ki tanhai,
Aur yeh raat bhar ki tanhai,

Aik tasveer bhi nahin ghar main,
Uff yeh deewar-o-dar ki tanhai,

Koi aahatT na koi saaya hai,
Har qadam hai safar ki tanhai,

Aik aalam ki hai samete huye,
Meri fikr-o-nazar ki tanhai,

Meri sanson main bass gayi jaise,
Jan-o-dil ki jigar ki tanhai,

Dekhta hai suraj nikal ke roz,
Yeh mere baam-o-dar ki tanhai,

Raat din rote hain dar-o-deewar,
Kha gayi mujh ko ghar ki tanhai,

Zindagi ke safar main ae arpit,
Dekh li darbadar ki tanhai..

April 13, 2019

Dil se ik yaad

Dil se ik yaad bhulaa di gayi hai,
Kisi ghaflat ki sazaa di gayi hai,

Aeb deewar ke hon ge zahir,
Meri tasveer hataa di gayi hai,

Ab yahan se nahin jaa sakta koi,
Ab yahan shamaa jalaa di gayi hai,

Ab mohabbat ka sabbab wehshat hai,
Warnaa hasrat to mitaa di gayee hai,

Is liye jamm ke yahan betha hoon,
Mujh ko meri hi jagah di gayi hai..!!