June 10, 2021

Dil Ki Baat

Pass Aa Zara Dil Ki Baat Bataun Tujhko, 
Kaise Dhadakta Hai Dil Aawaz Sunaun Tujhko,
Aa Ke Tu Dekh Le Dil Pe Likha H Naam, 
Tera Agar Kaho To Dil Cheer Ke Dikhaun Tujhko, 
Jitna Jalaaya Hai Tune Pyar Mein,
Dil To Karta Hai Main Bhi Sataun Tujhko, 

Gair Hote To Aisa Kar Bhi Leti Shayad, 
Magar Tu To Apna Hai Kaise Sataun Tujhko,
Aazma Sakta Hai Pyar Me Jitna Bhi Aazma Le,
Ho Sakta Hai Waqt Aane Par Main Bhi Aazmaun Tujhko.

March 31, 2021

Baat Darasal Woh

baat darasal woh nahin thi yaar
woh magar kitni dilnasheen thi yaar

mera batwa kidhar gaya akhir
meri ainak yahin kahin thi yaar

khawab rakhe they jis jagah maine
neend rakhi hui wahin thi yaar

jab talak baap mera zinda tha
mere qadmu taley zameen thi yaar

February 23, 2021

Shaam ke Baad

Tu ne dekha hai kabhi aik nazar shaam ke baad,
Kitne chup chaap se lagte hain shajar shaam ke baad,

Itne chup chaap ke raste bhi rahen la-ilam,
Chhod jayen ge kisi roz nagar shaam ke baad,

Maine aese hi gunah teri judayi main kiye,
Jaise tufan main koi chhod de ghar shaam ke baad,

Shaam se pehle woh mast apni uRranon main raha,
Jis ke hathon main thay toote huye par sham ke baad,

Raat beeti to gine aabley aur phir socha,
Kaun tha bayes-e-aghaaz-e-safar shaam ke baad,

Tu hai suraj tujhe maloom kahan raat ka dukh,
Tu kisi roz mere ghar main utar shaam ke baad,

Laut aye na kisi roz woh awara mizaaj,
Khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad

February 8, 2021

Aetibar kisi ka

Nahi howa mujhay naseeb piyar kisi ka
Phir main kiyon keron atibaar kisi ka

Ae waqt tu bhi zara thahar ja
Meri aankhon ko bhi hay intizaar kisi ka

Sari dunya rooth jay koi ghum nahi
Jeetay ji na juda ho dildar kisi ka

Kiya poochtay ho kahani meri mohabbat ki
Chaltay chaltay ker liya tha main ne bhi aetibar kisi ka

January 31, 2021

Wo mohabbat ko yun

Wo mohabbat ko yun sazaa de gee, 
Phool talaab main bahaa de gee, 

Uss ka samaana kijiye warna,
Naari hai Aag bhi jalaa de gee, 

Kheench le gi zameen qadmun se, 
Roz badli hui hawaa de gee, 

Kese dikhte ho poochhna kesa, 
Yeh to tasveer bhi bataa de gi

Kuchh tasalli ki baaten, ik photo, 
Pait ki aag kya bhuja de gi, 

Khali bartan chadha ke choolhe pe, 
Maayi bhoola hamen sulaa de gi, 

Itni hassrat thi us ke lehje main, 
Be zameeron ko bhi rulaa de gi, 

Mere Ander ki jung phir mujhe se,
Ek nayaa Faisla........... Karaa degi.

*********************************
وہ محبت کو یوں سزا دے گی
پھول تالاب میں بہا دے گی

اس کا سمان کیجیئے ورنہ
ناری ہےآگ بھی، جلادے گی

کھینچ لےگی زمین قدموں سے
زور بدلی ہوئ ہوا دے گی

کیسے دکھتے ہو پوچھنا کیسا
یہ تو تصویر بھی بتا دے گی

کچھ تسلی کی باتیں،اک فوٹو
پیٹ کی آگ کیا بجھادے گی

خالی برتن چڑھا کے چولہے پہ
مائی بھوکا ہمیں سلادے گی

اتنی حسرت تھی اسکےلہجے میں
بے ضمیروں کو بھی رلا دے گی

میرے اندر کی جنگ پھر مجھ سے
اک نیا فیصلہ ......کرا دے گی
*********************************

January 27, 2021

Shor Yun Hi


Shor Yun Hi Nah Parindon Ney Machaya Hoga
Koi Jungle Ki Taraf Shehar Se Aaya Hoga

Pairr Ke Kaatnay Walon Ko Yeh Maloom To Tha
Jism Jal Jayen Ge Jab Sir Pay Nah Saya Hoga

Bani E Jashn-e-Bahaaraan Ne Yeh Socha Bhi Nahi
Kis Ney Kaanton Ko Laho Apna Pilaya Hoga

Bijli Ke Taar Pay Betha Sun-hwa Hanstaa Panchhi
Sochta Hai Ke Woh Jungle To Paraya Hoga

Apne Jungle Se Jo Ghabra Ke Uray They Pyase
Har Saraab Un Ko Samandar Nazar Aaya Hoga

January 13, 2021

Lashkar Bhi Tumhara Hai

Lashkar Bhi Tumhara Hai, Sardar Bhi Tumhara Hai,
Tum Jhoot Ko Sach Likh Do, Akhbaar Bhi Tumhara Hai,

Khoon-e-Mazloom Zayada Nahi Bahane Wala,
Zulm Ka Daur Bahut Din Nahi Rehne Wala,

Inn Andhero’n Ka Jigar Cheer Ke Noor Aayega,
Tum Ho ‘Firaon’ Toh ‘Moosa’ Bhi Zaroor Aayega!!!

لشکر بھی تمہارا ہے سردار بھی تمہارا ہے
تم جھوٹ کو سچ لکھ دواخبار بھی تمہارا ہے

خونِ مظلوم زیادہ نہیں بہنے والا
ظلم کا دور بہت دن نہیں رہنے والا

اِن اندھیروں کا جِگر چیر کے نور آئے گا
تم ہو فرعون تو موسیٰ بھی ضرور آئے گا

Dedicated to current situation...!!

Sar se paa tak

Sar se paa tak woh gulabon ka shajar lagta hai,
Ba-wuzu ho ke bhi chhute huye Darr lagta hai,

Main tere sath sitaron se guzar sakta hoon,
Kitna asaan mohabbat ka safar lagta hai,

Mujh main rehta hai koi dushman-e-jaani mera,
Khud se tanhai main milte huye Darr lagta hai,

But bhi rakhe hain namazen bhi adaa hoti hain,
Dil mera dil nahin Allah ka ghar lagta hai,

Zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zameen,
Paaon phailaaun to deewar main sar lagta hai..