February 2, 2022

Garmi-e-Hasrat-e-Nakaam

Garmi-e-hasrat-e-nakaam se jal jaate hain
ham chiraghon ki tarah shaam se jal jaate hain

shamaa jis aag main jalti hai numaish ke liye
ham usi aag main gumnaam se jal jaate hain

bach nikalte hain agar Atish-e-sayyal se ham
shola-e-aariz-e-gulfaam se jal jaate hain

ḳhud-numai to nahin sheva-e-arbab-e-wafa
jin ko jalna ho vo araam se jal jaate hain

rabt-e-baham pe hamen kya na kahenge dushman
Aashna jab tere paighaam se jal jaate hain

jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath
jaane kyun log mere naam se jal jaate hain