September 27, 2017

kahaani us ki



Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki,

Woh sitam‘gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki,

Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki,

Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki,

Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko,
Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki,

Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena,
Samne sab ke sunaa dena kahani us ki..

September 22, 2017

sarfaroshi ki tamanna

sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil main hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil main hai

karta nahi kyon dusara kuch bat-chit
dekhata hun main jise vo chup teri mahfil main hai

ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar
ab teri himat ka charcha gair ki mahfil main hai

vaqt ane de bata denge tujhe ai asman
ham abhi se kya batayen kya hamare dil main hai

khinch kar lai hain sab ko qatl hone ki ummid
ashiqon ka aj jamghat kucha-e-qatil main hai


#arajabhatti

September 3, 2017

Har Mulk Tumhara Hai


Aansu bhi humare hain daaman bhi humara hai..
humne he lahoo de kar gulshan ko sawara hai..

100 zulm kiye tumne pr aah naa ki humne...
woh zarf tumhara tha yeh zarf humara hai

Aankhon main jb ashkon k toofan machalte hn...
humne woh zamaane bhi hass hass k guzare hain

Firaoun jo utha tha Moosa ko mitane ko..
woh Nile mai dubaa hai qudrat ka ishara hai

Ae hind ke muslmanoo tum raah se bhatke ho...
garr raah pe aajao yeh maidaan bhi tumhara hai

Hr chiz ko paa lo ge Muhammad (pbuh) ki gulami se..
Fir hind hi kya shay hai hr mulk tumhara hai