December 31, 2016

Ashiq thay sheher main



Ashiq thay sheher main jo puraane sharaab ke,
Hain un ke dil main vaswasay ab ehtisaab ke,

Woh jo tumhare hath se aa kar nikal geya,
Hum bhi qaatil hain ussi khana-kharab ke,

Phoolon ki saij par zara araam kya kiya,
Us gul–badan pe naqssh uth aaye gulaab ke,

Soye to dil main ek jahan jaagne laga,
Jaage to apni aankh main jaale they khawb ke,

Bas tishnagi ki aankh se dekha karo unhe,
Dariya ravaan-davaan hain chamakte saraab ke,

Kis tarah jamaa kijiye ab apne aap ko,
Kaghaz bikhar rahe hain puraani kitaab ke..

December 23, 2016

wohi zahr hai




Wohi taaj hai wohi takht hai wohi zahr hai wohi jaam hai
Ye wohi khuda ki zameen hai ye wohi buton ka nizaam hai

Bade shauq se mira ghar jala koi aanch tujh pe na aayegi
Ye zaban kisi ne khareed Ii, ye qalam kisi ka ghulam hai

Yahan eik bachche key khoon sejo likha hua hai use paden
Tira keertan abhi paap hai abhi mera sajda haraam hai

Main ye manta hun mire diye tiri aandhiyon ne bujha diye
Magar eik jugnu hawaon mein abhi roshni ka imaam hai

Mere fikro fan teri anjuman na urooj tha na zawaal hai
Mere lab pe tera hi naam tha mere lab pe tera hi naam hai

Seena dehak raha



Seena dehak raha ho to kya chup rahe koi,
Kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi,

Saabit hua sukoon dil-o-jaan kahin nahin,
Rishton main dhoondta hai to dhoonda kare koi,

Tarkk-e-taluqaat koi masla nahin,
Yeh to woh raasta hai ke bas chal parre koi,

Deewar janta tha jise woh dhool thi,
Ab mujh ko aitmaad ki daawat na de koi,

Main khud yeh chahta hoon ke halaat hon kharaab,
Mere khilaaf zeher ugalta phire koi,

Ae shakhss ab to mujh ko sabhi kuch qabool hai,
Yeh bhi qabool hai ke tujhe cheen le koi,

Haan theek hai main apni anaaa ka mareez hoon,
Aakhir mere mizaaj main kyun dakhal de koi,

Ik shakss kar raha hai abhi tak wafaa ka zikr,
Kaash is zabaan–daraaz ka muu noch le koi...

December 12, 2016

Palkon Par Koi Khwaab



Band PalkoN Par Koi Khwaab Sajaa Kar Mile
Woh Jab Bhi Mile Mujh Se Muskura Kar Mile

Kuch Ajeeb Si Chahat Thi Unkee,Na Jane Kyun
Woh Haal-e-Dil Apna Mujh Se Chupa Kar Mile

Main KhwaaboN Ki Duniya Ko Haqeeqat Samaj Baitha
Par Woh Sach Ka Aaena Mujhe Har Baar Dikha Kar Mile

Sabr Se Kaati Khizaan LekiN Bahaar Aayi To Kya
Woh Jab Mile Mujh Se , Kuch Judaa-Judaa Se Mile

Woh Shaam Ka Waqt Jab Suraj Madham Ho Jaata Tha
Woh Pal Yaad Hai,Mujhe Apne Gale Se Laga Kar Mile

Unkee NazroN Mein Main Apni Manzil Dhoond Raha Tha
Par Naa Jaane Kyun Woh Apni NazroN Ko Jhuka Kar Mile

Waqt Ka Yeh Parinda Ab Udaan Bar Chuka Hai "Khwahish"
"Hum Bichad Jaayenge" Yeh Baat Woh Yaad Dila-Dila Kar Mile

qazaa le gayi mujhe



Bazzm-e-takallufaat sajaane main reh geya,
Main zindagi ke naaz uthaane main reh geya,

Taaseer ke liye jahan tehreef ki gayi,
Ik jholl bas wahin pe fasaane main reh geya,

Sab mujh pe mohr -e-jurm lagaate chale gaye,
Main sab ko apne zakham dikhaane main reh geya,

Khud haadsa bhi maut pe us ki tha dam-ba-khud,
Woh dusron ki jaan bachaane mein reh geya,

Ab ehl-e-kaarvaaan pe lagaata hai tohmaten,
Woh hamsafar jo heelay bahaane main reh geya,

Woh waqt ka jahaz tha karta lihaaz kya,
Main doston se haath milaane main reh geya,

Sunta nahin hai muft jahan baat bhi koi,
Main khaali haath aese zamaane main reh geya,

Bazar-e-zindagi se qazaa le gayi mujhe,
Yeh daur mere daam lagaane main reh geya,

Yeh bhi hai ek kaar-e-numayan ‘hafiz’ ka,
Kya saadaa-loh kaise zamaane main reh geya.

mitaa kyun nahin dete



Jab pyaar nahin hai to bhulaa kyun nahin dete,
Khat kis liye rakhhe hai jalaa kyun nahin dete,

Kis vaaste likha hai hatheli pe mera naam,
Main harf-e-ghalat hoon to mitaa kyun nahin dete,

Lillaah, shab-o-roz ki uljhan se nikaalo,
Tum mere nahin ho to bataa kyun nahin dete,

Reh reh ke na tarrpao ae be-dard maseeha,
Hathon se mujhe zehr pilaa kyun nahin dete,

Jab us ki wafaaon pe yaqeen tum ko nahin hai,
Hasrat ko nigaahon se giraa kyun nahin dete..

Aur Muskurate Rahe



Jab tak hum tum par zulm dhate rahe?
Tum ne kabhi shikva na kiya aur muskurate rahe?

Jab hume apni galatiyon ka ehsaas hua?
Aur hum ne socha ki ab hum badal jayenge?

Tum ne hume ek mauka na diya sudhar ne ka?
Isse pehle hum kuch kehte?

Wohh chale gaye is duniya se muskuraate hue?
Ab bas tumhari yaadein aur kuch ashq reh gaye hain aankhon mein?

Aur hum taraste rehte hain tumhe phir se pane ke liye??
Khwaish hai aur dua karta hoon ki hum phir mile kisi zindagi mein aap se?

Is baar zulm aap ke ho ?
aur hum taras te rahe?.muskuraate hue?

Tabhi shayad meri rooh ko kuch sukoon mil payegaa?
Warna kai baar marr kar bhi mein apne aap ko maaf nahi kar paonga?

December 2, 2016

Ro parra woh aap



Waqt khush khush kaatne ka mashwara dete huye,
Ro parra woh aap mujh ko hauslaa dete huye,

Us se kab dekhi gayi thi mere rukh ki murdani,
Phair leta tha woh muuh mujh ko davaa dete huye,

Be-zabaani bakhsh di khud-ehtisaabi ne mujhe,
Hont sil jaate hian duniya ko gilaa dete huye,

Apni raah masduud kar de ga yehi barrhta hujoom,
Yeh na sochaa har kisi ko raasta dete huye,

Aap apne qatal main shamil tha main maqtuul-e-shauqq,
Yeh khulaa mujh par talab ka khuun-bahaa dete huye,

Woh humen jab tak nazar aata raha takte rahe,
Geeli aankhon ukhrre lafzon se duaa dete huye,

Jaane kis dehshat ka saaya us ko mohr-e-lab hua,
Dar raha hai woh mujhe khul kar sadaa dete huye,

Be-aman tha aap lekin mojzaa hai yeh ‘ryaz’,
Haala-e-shafqat tha us ko aasra dete huye..

teri yaadon ke silsla



Jab bhi teri yaadon ke silsla sa chalta hai,
Ik charaagh bujhta hai ik charaagh jalta hai,

Shart gham-gusaari hai warna yuun to saaya bhi,
Door door rehta hai, sath sath chalta hai,

Sochta hoon akhir kyun roshni nahin hoti,
Daagh bhi ubharte hain, chand bhi nikalta hai,

Kese kese hungaame uth ke reh gaye dil main,
Kuch pata magar un ka aansuyon se chalta hai,,