December 29, 2018

Mohabbat kis ko kehte hain

Mohabbat kis ko kehte hain, adawat kis ko kehte hain,
Bichad kar tum se jana hai, qayamat kis ko kehte hain,

Isi zid main utri hoon, qayamat–khez lehron main,
Ke dekhoon gi mohabbat main karamat kis ko kehte hain,

Zamana puchta kuch hai, bata doon aur hi kuch main,
Tumhi se maine seekha hai wazahat kis ko kehte hain,

Abhi khamosh bethi hoon magar main waqt padne par,
Zamane ko bata doon gi baghawat kis ko kehte hain,

Hazaron dard seh kar bhi yeh dete hain duaa sab ko,
Ke ehl-e-ishq se seekho, sakhawat kis ko kehte hain..

December 23, 2018

Paraayi neend main

Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke,
Main khush nahi hoon tujhe khud main mubtila kar ke,

Yeh kyun kaha ke tujhe mujhse pyar ho jaaye,
Tadap utha hoon tere haq main bad'dua kar ke,

Main jootiyon main bhi betha hoon puray mann ke sath,
Kissi ne mujh ko bulaayaa hai iltijaa kar ke,

To phir woh rote huve manate bhi maante hain,
Jo intiha nahin karte hain ibtidaa kar ke,

Bashar samajh kar kiya tha na yun mujhe nazar–andaz,
Le main bhi chorr raha hoon tujhe Khuda kar ke,

Mana bhi loon ga, galay bhi lagaon main Ali,
Abhi to dekh raha hoon use khafaa kar ke..