December 25, 2017

Chaand Se Phool Se

Chaand Se Phool Se Yaa Meri Zubaan Se Suniye
Har Taraf Aap Kaa Qisaa Jahaan Se Suniye

Sab Ko Aataa Hai Duniya Ko Sataa Kar Jina
Zindagi Kya Muhabbat Ki Duaa Se Suniye

Meri Aawaaz hai Parda Mere Chehre Ka
Main Hun Khamosh Jahan Mujhko Wahan Se Suniye

Kya Zaroori Hai Ki Har Parda Uthaayaa Jaaye
Mere Haalaat Apne Apne Makaan Se Suniye

December 18, 2017

Tarapte hain na roote hain

Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain,
Sanam ki yaad me har dam khuda ko yaad karte hain,

Unhin ke ishq me hum naala-o-faryaad karte hain,
Elaahi dekhiye kis din hame wo yaad karte hain...

Shab-e-faraaq me kia kia saanp lehraate hain seene pe,
Tumhari kakul-e-peechan ko jab hum yaad karte hain...

December 9, 2017

Main Soi Jo Ik Shab

Main Soi Jo Ik Shab To Dekha Yeh Khwaab
Badha Aur Jiss Se Meraa Izteraab

Yeh Dekha Ke Main Jaa Rahi Hoon Kahin
Andhera Hai Aur Raah Milti Nahin

Laraztaa Tha Dar Se Mera Baal Baal
Qadam Ka Tha Dehshat Se Utthna Muhaal

Jo Kuch Hausla Paa Ke Aage Badhi
To Dekha Qataar Aik Ladkon Ki Thi

Zamarrud Si Poshaak Pehne Huay
Diye Sub Ke Haathon Mein Jalte Huay

Woh Chup-Chaap The Aage Peeche Rawaan
Khuda Jaane Jaana Tha Unn Ko Kahaan

Issi Soch Mein Thi Ke Mera Pisar
Mujhe Iss Jama'at Mein Aaya Nazar

Woh Peechhe Tha Aur Tez Chalta Na Thaa
Diya Uss Ke Haathon Mein Jalta Na Thaa

Kaha Main Ne Pehchaan Kar Meri Jaan
Mujhe Chhorh Kar Aa Gaye Tum Kahaan

Judaai Mein Rehti Hoon Main Be-Qaraar
Piroti Hoon Main Roz Ashkon Ke Haar

Na Parwah Hamaari Zara Tum Ne Ki
Gaye Chhorh, Achchi Wafa Tum Ne Ki

Jo Bachche Ne Dekha Mera Pech-O-Taab
Diya Uss Ne Moonh Pher Kar Yun Jawaab

Rulaati Hai Tujh Ko Judaai Meri
Nahin Iss Mein Kuch Bhi Bhalaai Meri

Yeh Keh Kar Woh Kuch Der Tak Chup Rahaa
Diyaa Phir Dikhaa Kar Yeh Kehne Laggaa

Samjhti Hai Tu Ho Gayaa Kyaa Isse
Tere Aansuon Ne Bujhaayaa Isse

December 5, 2017

Khyalon Mein Wohi

Khyalon Mein Wohi, Sapno Mein Wahi,
Lekin Unki Yaadon Mein Hum The Hi Nahi,

Hum Jaagte Rahe Duniya Soti Rahi,
Ek Baarish Hi Thi, Jo Humare Sath Roti Rahi

December 1, 2017

Phoolon Ki Tahniyon

Phoolon Ki Tahniyon Pe Nasheman Banaayiye
Bijli Gire To Jashn-E-Charaghaan Manaayiye

Kaliyon Ke Ang Ang Mein Meetha Saa Dard Hai
Beemaar Nikhaton Ko Zara Gudgudaayiye

Kab Se Sulag Rahi Hai Javaani Ki Garm Raat
Zulfen Bikher Kar Mere Pahloo Men Aaiyeye

Bahki Hui Siyaah Ghataaon Ke Saath Saath
Jee Chaahta Hai Shaam-E-Abad Tak To Jaaiye

Sun Kar Jise Havaas Mein Thandhak Si Aa Base
Aisi Koi Udaaaaaaaaaaaaaas Kahaani Sunaayiye

Raste Pe Har Qadam Pe Kharaabaat Hain "Adam"
Ye Haal Ho To Kis Tarah Daaman Bachaaiye

November 30, 2017

Ye jo Deewaane

Yeh jo deewanay se do chaar nazar aate hain
In mein kuchh saahab E israar nazar aate hain

Teri mehfil ka bharam rakhte hain so jate hain
Warnaa yeh log to bedaar nazar aate hain

Door tak koi sitaaraa hai na koi jugnoo
Marg E ummeed ke aasaar nazar aate hain

Mere daaman mein shararoN k siwa kuchh bhi nahi
Aap phooloN ke khareedaar nazar aate hain

Kal jinhein chhu nahi sakti thi farishtoN ki nazar
Aaj woh raunaq E baazaar nazar aate hain

Hashr mein kaun gawaahi meri dega ‘Saghar’
Sab tumhaare hi tarafdaar nazar aate hain

November 28, 2017

Kyun Bhool Gaye

Kyun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha
Aik Ye Bhi Zamana Hai, Aik Wo Bhi Zamana Tha

Rangeen Fizaayen Thi Shokh Adaayen Thi
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Suhaana Tha

Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaaya Tha
Maloom Na Tha Tum Ne Yoon Chhor K Jana Tha

Kyun Hum Se Khafa Ho Tum Kyun Hum Se Juda Ho Tum
Kya Jurm Huaa Hum Se Itna To Bataana Tha

Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi
Tukde Bhi Kiye Dil K Kya Khoob Nishana Tha..!!

November 26, 2017

Hum bhi shikasta

Hum bhi shikasta dil hain, pareshan tum bhi ho,
Andar se raiza raiza meri jaan tum bhi ho,

Hum bhi hain aik ujrre huye sheher ki tarah,
Ankhen bataa rahi hain ke veeraan tum bhi ho,

Darpesh hai humen bhi karri dhoop ka safar,
Saaye ki aarzuu main pareshaan tum bhi ho,

Jese kisi khayaal ka saaya hain do wajood,
Hum bhi agar qayyaas hain, imkaan tum bhi ho,

Mil jaayen hum to kesa suhaana safar katay,
Ghaayal hain hum bhi, sokhta samaan tum bhi ho..

Hai dua yaad

Hai dua yaad magar harf-e-duaa yaad nahin,
Mere naghmaat ko andaz-e-nava yaad nahin,

Main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai,
Main woh sayel hoon jise koi sadaa yaad nahin,

Main ne jin ke liye rahon main bichaya tha lahuu,
Hum se kehte hain wohi, ehd-e-wafa yaad nahin,

Kaise bhar aayin sar-e-sham kisi ki ankhen,
Kaise thehrayi charaghon ki ziya yaad nahin,

Sirf dhundhlaye sitaron ki chamak dekhi hai,
Kab hua kaun hua kis se khafa yaad nahin,

Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaaTi hai,
Jaane kis jurm ki payi hai saza yaad nahin,

Aao ik sajda karen alam-e-madhoshi main,
Log kehte hain ke saaghar ko khuda yaad nahin..

November 24, 2017

Main Yaad Aaounga

Jab Wafaa Par Hogi Koi Baat, To Main Yaad Aaounga,
Na Bhaye Gi Tujhe Jab Kayenat, To Main Yaad Aaounga,

Abhi Din-E-Roshan Ki Shokhiyon Se Tu Maayal Hai,
Jab Chhaaye Gi Andheri Raat, To Main Yaad Aaounga,

Abhi Bahaar Hai, Chhaoun Hai, Gham-E-Zindagi Ki Dhoop Nahi,
Thamm Jaaye Gi Jab Ye Barsaat, To Main Yaad Aaounga,

Ye Wo Duniya Hai Jiss Ne Kisi Ko Kuchh Na Diyaa,
Tanha Hogi Jab Teri Zaat, To Main Yaad Aaounga,

Tu Mujhe Bhoola Hai Roshan Waqt Main To Ye Bhi Sunn,
Tang Hogi Jab Tujh Par Hayaat, To Main Yaad Aaounga,

Ubhre Hain Naye Jazbaat Tere Dil Main Zaraa Thehr Abhi,
Tujhse Uljhen Ge Jab Tere Jazbaat, To Main Yaad Aaounga,

Mere She'r, Quran-E-Wafa Ki Ayaat Hain 'Khurram'
Padhe Ga Zamaana Jab Ye Ayaat, To Main Yaad Aaounga..!!

Yaad Aaya...

Koi Waqt Purana Yaad Aaya,
Phir Daur Suhaana Yaad Aaya,

Or Chupkey Se In Deewaron Pe,
Kuchh Likh Kar Jana Yaad Aaya,

Tera Milna Neend Ki Chhaoun Mein,
Or Sar Rakh Denaa Kaandhe Par,

Mera Yeh Kehna Koi Dekh Na Le,
Tera Woh Ghabraana Yaad Aaya,

Aisa Bhi To Aksar Hota Tha,
Mein Tujhko Chhorne Jata Tha,

Baarish Ki Bheegi Raaton Mein,
Tera Haath Hilaana Yaad Aaya,

Wo Waqt Gayaa Beetay Lamhe,
Ab Har Jaanib Tanhaayee Hai,

Bas Ek Hi Manzar Aankhon Main,
Tera Chhod Ke Jana Yaad Aaya...!!

November 22, 2017

Maal-E-Soz-E-Gham

Maal-E-Soz-E-Gham Hai Nihaani Dekhte Jaao
Bhadak Uthi Hai Shama-E-Zindagani Dekhte Jao

Chale Bhi Aao Vo Hai Qabr-E-”Fani” Dekhte Jaao
Tum Apne Marne Vaale Ki Nishaanii Dekhte Jaao

Abhi Kya Hai Kisi Din Khoon Rulaaye Gi Ye Khaamoshi
Zubaan-E-Haal Ki Jadd-O-Bayaanii Dekhte Jaao

Ghuroor-E-Husn Ka Sadqaa Koi Jaata Hai Duniyaa Se
Kisi Ki Khaak Men Milti Javaani Dekhte Jaao

Udhar Munh Pher Kar Kya Zibah Karte Ho Idhar Dekho!
Meri Gardan Pe Khanjar Ki Ravaani Dekhte Jaao

Bahaar-E-Zindagii Ka Lutf Dekha Hai Aur Dekho Ge
Kisi Ka Aish Marg-E-Naa-Gahaani Dekhte Jaao

Sune Jaate Na The Tum Se Mere Din Raat Ke Shikwe
Kafan Sarakaao Meri Be-Zubaani Dekhte Jaao

Vo Uthaa Shor-E-Maatam Aakhri Deedaar-E-Mayyat Par
Ab Uthaa Chaahte Hain Naash-E-‘Fani’ Dekhte Jaao

November 21, 2017

Kuchh is adaa se


Kuchh is adaa se aj woh pehlu-nasheen rahe,
Jab tak hamaare paas rahe hum nahin rahe,

Imaan-o-kufr aur na duniyaa-o-deen rahe,
Ae ishq-e-shad-bash ke tanha humeen rahe,
Aalam jab ek haal pe qaayem nahin rahe,
Kya khaak Aetbaar-e-nigah-e-yaqeen rahe,

Meri zuban pe shikwa-e-dard-afreen rahe,
Shaayad mere havaas thikane nahin rahe,

Kis dard se kisi ne kaha aaj bazm main,
Acha yeh woh nang-e-mohabbat yahin rahe.

Tanha tanha dukh



Tanha tanha dukh jhelen ge mehfil mehfil gayen ge,
Jab tak aansu paas rahen ge tab tak geet sunayen ge,

Tum jo socho woh tum jano hum to apni kehte hain,
Der na karna ghar aane main warna ghar kho jayenge,

Bachon ke chhote hathon ko chand sitare chhune do,
Chaar kitaben padh kar yeh bhi hum jese ho jayen ge,

Achhi surat waale sare pathar–dil hoon mumkin hai,
Hum to us din raaye denge jis din dhoka khayen ge,

Kin rahon se safar hai aasaan kaun sa rasta mushkil hai,
Hum bhi jab thak kar bethen ge auron ko samjhayen ge.

November 20, 2017

Ujade Dayaar Main




Lagtaa Nahin Hai Ji Meraa Ujade Dayaar Main
Kis Ki Bani Hai Aalam-E-Naa-Paayedaar Main

Kah Do In Hasraton Se Kahin Aur Jaa Basen
Itni Jaga Kahaan Hai Dil-E-Daagh-Daar Main

Umr-E-Daraaz Maang Kar Laaye The Chaar Din
Do Aarzoo Main Katt Gaye Do Intazaar Main

Kitnaa Hai Badnasib "Zaffar" Dafan Ke Liye
Do Gazz Zamin Bhi Na Mili Kuu-E-Yaar Main

Maut Ki Raah



Ishq Mein Jaan Se Guzarte Hain Guzarne Waale
Maut Ki Raah Nahin Dekhte Marne Waale

Aakhiri Waqt Bhi Pooraa Na Kiyaa Waadaa-E-Wasl
Aap Aate Hi Rahe Mar Gaye Marne Waale

Uthe Aur Koochaa-E-Mahaboob Mein Pahunche Aashiq
Ye Musaafir Nahin Raaste Mein Thaharne Waale

Jaan Dene Kaa Kahaa Main Ne To Hans Kar Bole
Tum Salaamat Raho Har Roz Ke Marne Waale

Aasmaan Pe Jo Sitaare Nazar Aaye 'Ameer'
Yaad Aaye Mujhe Daagh Apne Ubharne wale

Zindagi Insaan Ki



Zindagi Insaan Ki Ik Damm Ke Siwaa Kuchh Bhi Nahin
Damm Hawaa Ki Mauj Hai, Rum Ke Siwaa Kuch Bhi Nahin

Gul, Tabassum Keh Rahaa Thaa Zindagaani Ko, Magar
Shamma Boli, Girya-E-Gham Ke Siwaa Kuch Bhi Nahin

Raaz-E-Hasti Raaz Hai Jabb Takk Koi Mehram Naa Ho
Khul Gaya Jis Dam, To Mehram Ke Siwaa Kuch Bhi Nahin

Zaairaan-E-Ka'aba Se Iqbal Yeh Poochay Koyee
Kya Haram Ka Tohfa Zam-Zam Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

#Allama Iqbal

November 19, 2017

Usoolon Pe Aanch Aaye



Usoolon Pe Jahaan Aanch Aaye Takraana Zaroori Hai,
Jo Zinda Hoon To Phir Zinda Nazar Aana Zaroori Hai,

Nai Umron Ki Khud-Mukhtaariyon Ko Kaun Samjhaaye,
Kahaan Se Bach Ke Chalna Hai Kahaan Jaana Zaroori Hai,

Thakke Haare Parinde Jab Baseray Ke Liye Lauten,
Saliqa-mand Shaakhon Ka Lachak Jaana Zaroori Hai,

Bahut Bebaak Aankhon Main Ta'alluq Tikk Nahin Paata,
Mohabbat Main Kashish Rakhne Ko Sharmaana Zaroori Hai,

Saliqaa Hi Nahin Shaayad Usse Mehasoos Karne Ka,
Jo Kehta Hai Khuda Hai To Nazar Aana Zaroori Hai,

Mere Honthon Pe Apni Pyaas Rakh Do Aur Phir Socho,
Ki Is Ke Baad Bhi Duniya Main Kuch Paana Zaroori Hai...!

Daur-E-Aflaaq



Daur-E-Aflaaq Ka Shabab Hai Tu,
Aaftaabon Ka Aftaab Hai Tu,

Roop Aisa Haseen Jaise Gunaah,
Khalq Ka Haasil-E-Sawaab Hai Tu,
Tujhse Joban Ujalee Raaton Ka,
Mahtaabon Ka Mahtaab Hai Tu,
Aur Zer-E-Shafaaq Chiragaan Ho,
Aaj Yun Ma'eel-E-Hizaab Hai Tu,
Ye Sitaare Tere Paseene Ke,
Shab Ka Dehka Hua Shabaab Hai Tu,
Tu Jo Surat Pakad Le Hai Vo Khayal,
Yak-ba-Yak Jaag Uthe Vo Khwab Hai Tu,
Jo Baharon Ke Dil Se Uthte Hain,
Unhi Sholon Ka Pecho-Taab Hai Tu,
Aankh Padti Hai Ek Zamane Ki,
Bazm-E-Imkaan Mein Intkhaab Hai Tu,
Jaise Naghme Lab-E-Firaq Pa Soye,
Sej Par Yun Hi Mehv-E-Khwab Hai Tu.

November 18, 2017

Jawab-e-Shikwa


Dil Se Jo Baat Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai,
Par Nahin, Taaqat-E-Parwaaz Magar Rakhti Hai.
Qudsi-Ul-Asal Hai, Rif-Atpe Nazar Rakhti Hai,
Khaak Se Uthti Hai, Gardoon Pe Guzar Rakhti Hai.
Ishq Tha Fitna Gar-O-Sarkash-O-Chalaak Mera,
Aasman Cheer Gaya Nala-E-Bebaak Mera.

Peer-E-Gardoon Ne Kaha Sun Ke, Kahin Hai Koi!
Bole Sayyaare, Sar-E-Arsh-E-Barin Hai Koi!
Chaand Kahta Tha, Nahin, Ahl-E-Zamin Hai Koi!
Kahkashaan Kahti Thi, Poshida Yahin Hai Koi!
Kuchh Jo Samjha Tau Mere Shikwe Ko Ruzwan Samjha,
Mujhe Jannat Se Nikala Hua Insaan Samjha.

Thi Farishton Ko Bhi Hairat, Ke Yeh Aawaaz Hai Kya!
Arsh Waalon Pe Bhi Khulta Nahin Yeh Raaz Hai Kya!
Taa Sar-E-Arsh Bhi Insaan Ki Tag-O-Taaz Hai Kya
Aa Gai Khak Ki Chutki Ko Bhi Parwaaz Hai Kya
Ghaafil Aadaab Se Yeh Sukkaam-E-Zamin Kaise Hain,
Shokh-O-Gustaakh Yeh Pasti Ke Makin Kaise Hain,

Is Qadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham Hai,
Tha Jo Masjud-E-Malaik Yeh Wohi Aadam Hai
Aalam-E Kaif Hai, Dana-E-Ramuz-E-Kam Hai,
Haan, Magar Ijaz Ke Asrar Se Namahram Hai.
Naaz Hai Taaqat-E-Guftaar Pe Insaanon Ko,
Baat Karne Ka Saliqa Nahin Nadaanon Ko!

Aai Aawaaz Ghum-Angez Hai Afsana Tera,
Ashk-E-Betaab Se Labrezhai Paimana Teera.
Aasmaan-Gir Hua Na’ra-E-Mastana Tera
Kis Qadar Shokh-Zubaan Hai Dil-E-Deewana Tera
Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-E-Ada Se Tu Ne,
Hum Sakhun Kar Diyabandon Ko Khuda Se Tu Ne.

Ham To Maayal-Ba-Karam Hain Koi Saail Hi Naheen
Rah Dikhlain Kise Rahrav-E- Manzil Hi Naheen.
Tarbiat Aam To Hai Johar-E- Qaabil Hi Naheen
Jis Se Taamir Ho Aadam Ki, Ye Wo Gul Hi Naheen
Koi Qaabil Ho To Ham Shaan Kai Detay Hain
Dhoondhne Waale Ko Dunyaa Bhi Nai Detay Hain.

Haath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar Hain,
Ummati Baais-E-Ruswai-E-Paighamber Hain.
But-Shikan Uth Gaye, Baaqi Jo Rahe But-Gar Hain,
Tha Brahim Pidar, Aur Pisar Aazar Hain.
Baada Aasham Naye Baaqi Naya Khum Bhi Naye,
Harm-E-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye.

Wo Bhi Din Thay Ke Yehi Maaya-E-Raanaai Tha
Naazishi Mausam-E- Gul Laala-E- Sahraai Tha
Jo Musalmaan Tha Allah Ka Shaidai Tha
Kabhi Mahboob Tumhaara Yehi Harjaai Tha
Kisi Yakjaai Se Ab Ahd-E- Ghulaami Kar Lo
Millat-E- Ahmad-E- Mursil Ko Moqami Kar Lo

Kis Qadar Tum Pe Garaan Subh Ki Be-Daari Hai
Hum Se Kab Pyar Hai, Haan Neend Tumhen Pyari Hai
Tab’a Aazaad Pe Qaid-E-Ramzaan Bhari Hai
Tumhin Kah Do Yehi Aain-E-Wafa-Daari Hai
Qaum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahin Tum Bhi Nahin
Jazb-E-Baaham Jo Nahin, Mahfil-E-Anjum Bhi Nahin

Jin Ko Aata Nahin Duniya Mein Koi Fun, Tum Ho
Nahin Jis Qaum Ko Parwah-E-Nasheman, Tum Ho
Bijliyan Jis Mein Hon Aasooda Who Khirman, Tum Ho
Bech Khaate Hain Jo Islaf Ke Madfun, Tum Ho
Ho Nako-Naam Jo Qabron Ki Tijaarat Kar Ke
Kya Na Becho Ge Jo Mil Jaayen Sanam Pathhar Ke

Safah-E- Dahr Se Baatil Ko Mitaaya Kis Ne
Nau-E- Insaan Ko Ghulami Sey Chhuraaya Kis Ne
Mere Kaabe Ko Jabeenon Sey Basaaya Kis Ne
Merey Qur’an Ko Seenon Sey Lagaya Kis Ne
Thay To Aaba Wo Tumharay Hi Magar Tum Kya Ho
Haath Par Haath Dharay Muntazir-E- Farda Ho

Kya Kaha Bahr-E-Musalman Hai Faqat Waada-E-Hoor
Shikwa Beja Bhi Kare Koi To Laazim Hai Shaoor
Adl Hai Faatir-E- Hasti Ka Azal Se Dastoor
Muslim Aaeen Hua Kafir, To Milay Hoor-O-Qasoor
Tum Men Hooron Ka Koi Chaahnay Waala Hi Naheen
Jawa-E-Toor To Maujood Hai Moosa Hi Naheen

Munfait Ek Hai Is Qaum Ki, Nuqsaan Bhi Ek,
Ek Hi Sab Ka Nabi, Din Bhi, Imaan Bhi Ek,
Harm-E-Paak Bhi, Allah Bhi, Quran Bhi Ek,
Kuchh Bari Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Ek!
Firqa-Bandi Hai Kahin, Aur Kahin Zaaten Hain.
Kya Zamane Mein Panpaneki Yehi Baaten Hain

Jaa Ke Hote Hain Masaajid Mein Saf-Aara To Gharib,
Zahmat-E-Roza Jo Karte Hain Gawara Tau Gharib.
Naam Leta Hai Agar Koi Hamara, Tau Gharib,
Pardah Rakhta Hao Agar Koi Tumhara, Tau Gharib.
Umra Nasha-E-Daulat Mein Hain Ghafil Hum Se,
Zinda Hai Millat-E-Baiza Ghurba Ke Dam Se.

Waaiz-E-Qaum Ki Who Pukhta-Khayali Na Rahi
Barq-Taba’i Na Rahi Sho’la-Maqami Na Rahi
Rah Gai Rasm-E-Azaan, Rooh-E-Hilali Na Rahi
Falsafa Rah Gaya, Talqeen Ghazaali Na Rahi
Masjiden Marsiya-Khwan Hain Ke Namazi Na Rahe
Ya’ni Woh Sahib-E-Ausaaf Hijaazi Na Rahe

Shor Hai Ho Gaye Duniya Se Musalmaan Naabood
Hum Yeh Kahte Hain Ke They Bhi Kahin Muslim Maujood
Waza’ Mein Tum Ho Nasaara To Tamaddun Mein Hunood
Yeh Musalmaan Hain Jinhen Dekh Ke Sharmaayen Yahood
Yun To Sayed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuchh Ho Bataao To Musalmaan Bhi Ho

Har Musalmaan Rag-E-Baatil Ke Liye Nashtar Tha
Us Ke Aaina-E-Hasti Mein Amal-E-Jauhar Tha
Jo Bharosa Tha Usey Quwwat-E-Baazoo Par Tha
Hai Tumhen Maut Ka Dar, Us Ko Khuda Ka Dar Tha
Baap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho,
Phir Pisar Qabil-E-Miraas-E-Pidar Kyonkar Ho

Har Koi Mast-E-Mai-E-Zauq-E-Tan Aasaani Hai,
Tum Musalmaan Ho Yeh Andaaz-E-Musalmaani Hai
Haidari Fuqr Hai, Nai Daulat-E-Usmaani Hai
Tum Ko Aflaas Se Kya Nisbat-E-Roohani Hai
Who Zamaane Mein Mua’zziz The Musalmaan Ho Kar
Aur Tum Khwar Huey Tarak-E-Quraan Ho Kar

Tum Ho Aapas Mein Ghazabnaak Wo Aapas Mein Raheem
Tum Khata-Kaar Wa Khataabin, Wo Khta-Posh Wa Kareem
Chaahte Sab Hain Ke Hon Auj-E-Surayya Pe Muqeem,
Pahle Waisa Koi Paida Tau Kare Qalb-E-Salim
Takht-E-Faghfoor Un Ka Tha, Sareer-E-Kai Bhi
Yun Hi Baaten Hain Ke Tum Mein Who Hamiyat Hai Bhi

Ahd-E-Nau Barq Hai, Aatish Zan-E-Har Khirman Hai,
Aiman Is Se Koi Sahra No Koi Gulshan Hai.
Is Nai Aag Ka Aqwaam-E-Kuhan Eindhan Hai,
Millat-E-Khatam-E-Rasul Sho’la Ba Pairahan Hai.
Aaj Bhi Ho Jo Ibrahim Ka Eimaan Paida
Aag Kar Sakti Hai Andaz-E-Gulistaan Paida

Dekh Kar Range-E-Chaman Ho Na Pareshan Maali,
Kookab-E-Ghuncha Se Shaakhen Hain Chamakne Wali,
Khas-O-Khashaak Se Hota Hai Gulistan Khaali,
Gul Bar Andaaz Hai Khun-E-Shuhda Ki Laali.
Rang Gardoon Ka Zara Dekh Tau Unnabi Hai,
Yeh Nikalte Hue Suraj Ki Ufaq Taabi Hai.

Ummateen Gulshan-E-Hasti Men Samar Cheeda Bhi Hain
Aur Mahroom-E- Samar Bhi Hain Khizan Deeda Bhi Hain
Saikron Nakhl Hain Kaaheeda Bhi Baaleeda Bhi Hain
Saikron Batn-E- Chaman Men Abhi Posheeda Bhi Hain
Nakhl-E- Islam Namoona Hai Bromandi Ka
Phal Hai Ye Saikron Saddiyon Ki Chaman Bandi Ka.

Paak Hai Gard-E- Watan Se Sar-E Daaman Tera
Too Wo Yusuf Hai Ke Har Misr Hai Kana’an Tera
Qaafla Ho Na Sake Ga Kabhi Weeran Tera
Ghair Yek Bang-E- Dara Kuch Naheen Saamaan Tera
Nakhl Shama Asti Wa Dar Shola Dawad Resha-E- Too
Aaqibat Soz Bawad Saaya-E-Andesha-E-Too

Chashm-E-Aqwam Se Makhfi Hai Haqeeqat Teri
Hai Abhi Mahfil-E-Hasti Ko Zaroorat Teri
Zinda Rakhti Hai Zamaane Ko Haraarat Teri
Kaukab Qismat Imkaan Hai Khilaafat Teri
Waqt-E-Fursat Hai Kahan,Kaam Abhi Baaqi Hai
Noor-E-Tauheed Ka Atmaam Abhi Baqi Hai

Misl-E- Boo Qaid Hai Ghunche Men Parishaan Hoja
Rakht Bardaush Hawaa-E- Chamanistaan Hoja
Hai Tunak Maya, To Zarrey Se Biyabaan Hoja
Naghma-E- Mauj Se Hangaama-E- Toofaan Hoja
Quwwat-E- Ishq Se Her Past Ko Baalaa Kar De
Dahr Men Ism-E-Muhammad Se Ujala Kar De

Ho Na Ye Phool To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho
Chaman-E- Dahr Men Kalyon Ka Tabassum Bhi Na Ho
Ye Na Saaqi Ho To Phir Mai Bhi Na Ho Khum Bhi Na Ho
Bazm-E- Tawheed Bhi Dunya Bhi Na Ho Tum Bhi Na Ho
Khema Aflaak Ka Istaada Isi Naam Se Hai
Nabz-E- Hasti Tapish-Aamada Isi Naam Se Hai

Dasht Mein, Daaman-E-Kuhsaar Mein, Maidan Mein Hai
Bahr Mein, Mauj Ki Aaghosh Mein, Toofaan Mein Hai
Cheen Ke Shahr, Maraakash Ke Bayabaan Mein Hai
Aur Poshida Musalmaan Ke Imaan Mein Hai
Chashm-E-Aqwaam Yeh Nazaara Abad Tak Dekhe
Raf’ate Shaan, “Rafa’na Laka Zikrak” Dekhe

Aql Hai Teri Sipar Ishq Hai Shamsheer Teri
Mere Darvesh Khilaafat Hai Jehaangir Teri
Ma Siwa Allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri
Too Musalman Ho To Taqdeer Hai Tadbir Teri
Kee Muhammad Se Wafa Too Ne To Ham Tere Hain
Ye Jahaan Cheez Hai Kya Lauh-O-Qalam Tere Hain

Shikwa




Kyon Zian-Kaar Banoon Sood-Faramosh Rahoon
Fikr-E-Farda Na Karoon Mahw-E-Gham-Dosh Rahoon
Naale Bulbul Ke Sunoon Aur Hama-Tan-Gosh Rahoon
Ham-Nawa Main Bhi Koi Gul Hoon Ke Khamosh Rahoon
Jurrat-Aamoz Meri Taab-E-Sukhan Hai Mujh Ko
Shikwa Allah Se Kham-Ba-Dahan Hai Mujh Ko

Hai Baja Shewa-E-Tasleem Mein Mashhoor Hain Hum
Qissa-E-Dard Sunaate Hain Ki Majboor Hain Hum
Saaz Khamosh Hain Faryaad Se Ma’moor Hain Hum
Naala Aata Hai Agar Lab Pe To Ma’zoor Hain Hum
Ai Khuda Shikwa-E-Arbaab-E-Wafa Bhi Sun Le
Khoo Gar-E-Hamd Se Thoda Sa Gila Bhi Sun Le

Thi To Maujood Azal Se Hi Teri Zaat-E-Qadeem
Phool Tha Zeb-E-Chaman Par Na Pareshaan Thi Shameem
Shart-E-Insaaf Hai Ai Sahib-E-Altaaf-E-Ameem
Boo-E-Gul Phailti Kis Tarah Jo Hoti Na Naseem
Hum Ko Jamaiyate Khatir Yeh Pareshani Thi
Warna Ummat Tere Mehboob Ki Deewani Thi

Hum Se Pahle Tha Ajab Tere Jahan Ka Manzar,
Kahin Masjood The Patthar, Kahin Maabood Shajar,
Khugar-E-Paikar-E-Mahsoos Thi Insaan Ki Nazar,
Maanta Phir Koi Un-Dekhe Khuda Ko Kyonkar
Tujh Ko Maaloom Hai Leta Tha Koi Naam Tera
Quwwat-E-Baazoo-E-Muslim Ne Kiya Kaam Tera

Bas Rahe The Yahin Saljuq Bhi, Toorani Bhi,
Ahl-E-Chin Cheen Mein, Iran Mein Sasaani Bhi,
Isi Maamoore Mein Aabad The Yunaani Bhi,
Isi Duniya Mein Yahudi Bhi The, Nusraani Bhi,
Par Tere Naam Pe Talwar Uthai Kis Ne,
Baat Joh Bigdi Huyi Thi Woh Banaayi Kis Ne

The Hameen Ek Tere Maarka Aaraaon Mein
Khushkion Mein Kabhi Ladte, Kabhi Dariyaon Mein,
Di Azaanen Kabhi Europe Ke Kaleesaaon Mein,
Kabhi Africa Ke Tapte Huye Sahraaon Mein.
Shan Aankhon Mein Na Jachti Thi Jahaan-Daaron Ki
Kalma Jab Padhte The Hum Chhaaon Mein Talwaaron Ki

Ham Jo Jeetey Thay To Jangon Ki Museebat Ke Liye
Aur Marte Thay Terey Naam Ki Azmat Ke Liye
Thi Na Kuch Tegh-Zani Apni Hukoomat Ke Liye
Sar Bakaf Phirte Thay Kya Dahar Men Daulat Ke Liye
Qaum Apni Jo Zaro-Maal-E- Jahan Par Marti
But Faroshi Ke Ewaz But Shikani Kiyun Karti

Tal Na Sakte The Agar Jang Mein Ad Jaate The
Paaon Sheron Ke Bhi Maidan Se Ukhad Jaate The
Tujh Se Sar-Kash Hua Koi To Bigad Jaate The
Tegh Kya Cheez Hai Hum Tope Se Lad Jaate The
Naqsh Tauheed Ka Har Dil Pe Bithaya Hum Ne,
Zer-E-Khanjar Bhi Yeh Paigham Sunaya Hum Ne.

Tu Hi Kah De Ke Ukhaada Dar-E-Khyber Kis Ne,
Shaher Qaiser Ka Jo Tha Us Ko Kiya Sar Kis Ne
Tode Makhluq Khudawandon Ke Paikar Kis Ne
Kaat Kar Rakh Diye Kaffaar Ke Lashkar Kis Ne
Kis Ne Thandha Kiya Aatish-Kada-E-Iran Ko
Kis Ne Phir Zinda Kiya Tazkira-E-Yazdaan Ko

Kaun Si Qaum Faqat Teri Talabgaar Hui
Aur Tere Liye Zahmat Kash Paikaar Hui
Kis Ki Shamsheer-E-Jahangir, Jahan-Dar Hui
Kis Ki Tatkbeer Se Duniya Teri Bedaar Hui
Kis Ki Haibat Se Sanam Sahme Hue Rahte The
Munh Ke Bal Gir Ke Hu-Allah-U-Ahad Kahte The

Aa Gaya Ain Ladaai Mein Agar Waqt-E-Namaz,
Qibla Roo Ho Ke Zamin Bos Hui Qaum-E-Hejaz,
Ek Hi Saf Mein Khade Ho Gaye Mahmud-O-Ayaz,
No Koi Banda Raha Aur No Koi Banda-Nawaz.
Banda-O-Saahib-O-Muhtaaj-O-Ghani Ek Huye,
Teri Sarkar Mein Pahunche Toh Sabhi Ek Huye.

Mahfil-E- Kaun-O-Makan Men Sahar-O- Sham Phiray
Ma-I Tauheed Ko Ley Kar Sifat-E- Jam Phiray
Koh Men, Dasht Men Ley Kar Tera Paighaam Phiray
Aur Maaloom Hay Tujh Ko Kabhi Nakaam Phiray
Dasht To Dasht Hain Darya Bhi Na Chorey Hum Ne
Bahr-E- Zulmaat Men Daudaa Diye Ghodey Hum Ne

Safah-E-Dahar Se Baatil Ko Mitaya Hum Ne,
Nau-E-Insaan Ko Ghulami Se Chhudaya Hum Ne,
Tere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Hum Ne,
Tere Qur'an Ko Seenon Se Lagaya Hum Ne.
Phir Bhi Hum Se Yeh Gila Hai, Ke Wafadar Nahin,
Hum Wafadar Nahin, Tu Bhi Toh Dildar Nahin!

Ummatein Aur Bhi Hain Un Mein Gunahgaar Bhi Hain
Ajz Waale Bhi Hain Mast Mai Pindar Bhi Hain
Un Mein Kaahi Bhi Hain Ghafil Bhi Hain Hushiyaar Bhi Hain
Saikadon Hain Ki Tere Naam Se Be-Zaar Bhi Hain
Rahmaten Hain Teri Aghiyar Ke Kashaanon Par,
Barq Girti Hai Toh Bechare Musalmaanon Par!

But Sanam-Khanon Mein Kahte Hain, Musalmaan Gaye
Hai Khushi Un Ko Kika’be Ke Nigehbaan Gaye
Manzil-E-Dahr Se Unton Ke Hadi Khwan Gaye
Apni Baghlon Mein Dabaaye Hue Quraan Gaye
Khanda-Zan Kufr Hai, Ehsaas Tujhe Hai Ki Nahin
Apni Tauheed Ka Kuchh Paas Tujhe Hai Ki Nahin

Ye Shikaayat Naheen Hain Unke Khazaane Maamoor
Naheen Mahfil Men Jinhen Baat Bhi Karne Ka Shaoor
Qahr To Ye Hai Ke Kaafir Ko Milen Hoor-O-Qasoor
Aur Becharey Musalman Ko Faqat Waada-E- Hoor
Ab Wo Altaaf Naheen, Ham Pe Inaayaat Naheen
Baat Ye Kya Hai Ke, Pheli Si Madaraat Naheen

Kyon Musalmaan Mein Hai Daulat-E-Duniya Naayaab
Teri Qudrat To Hai Woh Jis Kin A Hadd Hai Na Hisaab
Tu Jo Chaahe To Uthe Seena-E-Sehra Se Habaab
Rahr-O-Dasht Ho Seeli Zada-E-Mauj-E-Sraab
Taan-E-Aghiyaar Hai, Ruswai Hai, Nadaari Hai,
Kya Tere Naam Pe Marne Ka Iwaz Khwari Hai

Bani Aghyar Ki Ab Chaahne Waali Dunya
Rah Gai Apne Liye Ek Khayaali Dunya
Ham To Rukhsat Hue Auron Ne Sanbhaali Dunya
Phir Na Kahna Hui Tauheed Se Khaali Dunya
Ham To Jeetey Hain Ke Dunya Men Tera Naam Rahe
Kaheen Mumkin Hai Ke Saaqi Na Rahe Jaam Rahe

Teri Mehfil Bhi Gayi, Chahne Wale Bhi Gaye,
Shab Ki Aahen Bhi Gayi, Subah Ke Nale Bhi Gaye,
Dil Tujhe De Bhi Gaye, Apna Sila Le Bhi Gaye,
Aa Ke Baithe Bhi Na The, Ke Nikaale Bhi Gaye.
Aaye Ashaaq, Gaye Waada-E-Farda Lekar,
Ab Unhen Dhoond Chirag-E-Rukh-E-Zeba Lekar!

Dard-E-Laila Bhi Wohi, Qais Ka Pahlu Bhi Wohi,
Nejd Ke Dasht-O-Jabal Mein Ram-E-Aahoo Bhi Wohi,
Ishq Ka Dil Bhi Wohi, Husn Ka Jaadoo Bhi Wohi,
Ummat-E-Ahmed-E-Mursil Bhi Wohi, Tu Bhi Wohi,
Phir Yeh Aazurdagi-E-Ghair-Sabab Kya Maani,
Apne Shaidaaon Pe Yeh Chashm-E-Ghazab Kya Maani

Tujh Ko Chhora Ke Rasool-E-Arabi Ko Chhora
But-Gari Pesha Kiya, But-Shikani Ko Chhora
Ishq Ko Ishq Ki Aashufta-Sari Ko Chhora
Ram-E-Slmaan-O-Owais Qarani Ko Chhora
Aag Takbeer Ki Seenon Mein Dabi Rakhte Hain
Zindagi Misl-E-Bilal-E-Habashi Rakhte Hain

Ishq Ki Khair Wo Pehli Si Adaa Bhi Na Sahi
Jaada Paimai Tasleemo Razaa Bhi Na Sahi
Muztarib Dil Sifat Qibla-Numa Bhi Na Sahi
Aur Paabandiye Aaeen-E- Wafa Bhi Na Sahi
Kabhi Ham Se Kabhi Ghairon Se Shanasaai Hai
Baat Kahney Ki Naheen Too Bhi To Harjaai Hai

Sar-E-Faaraan Pe Kiya Deen Ko Kaamil Too Ne
Ek Isharey Pe Hazaaron Ke Liye Dil Too Ne
Aathish Andoz Kiya Ishq Ka Haasil Too Ne
Phoonk Di Garmiy-E-Rukhsaar Se Mahfil Too Ne
Aaj Kiyun Seene Hamare Sharar Aabaad Naheen
Ham Wohi Sokhta Saamaan Hain Tujhey Yaad Naheen

Waadiy-E-Najd Men Wo Shor-E- Salaasil Na Raha,
Qais Deewana-E- Nazzarai Mehmil Na Raha
Hausley Wo Na Rahey Ham Na Rahey Dil Na Raha
Ghar Ye Ujra Hai Ke Too Raunaq-E- Mahfil Na Raha
Aye Khush Aan Rooz Ke Aayee Wa Basad Naaz Aayee
Be-Hijabana Su-E- Mahfil-E- Maa Baaz Aayee

Boo-E- Gul Le Gai Bairoon-E- Chaman Raaz-E- Chaman
Kya Qayaamat Hai Ke Khud Phool Hain Ghammaz-E- Chaman
Ahd-E- Gul Khatm Hua Toot Gaya Saaz-E- Chaman
Ud Gai Daaliyon Se Zamzama Parwaaz-E- Chaman
Ek Bulbul Hai Ke Hai Mahv-E- Tarannum Ab Tak
Uske Seene Men Hai Naghmon Ka Talaatum Ab Tak

Qumrian Shaakh-E-Sanober Se Gurezaan Bhi Hui,
Pattian Phool Ki Jhad Jhad Ke Pareshan Bhi Hui;
Woh Purani Ravishen Bagh Ki Veeran Bhi Hui,
Daalian Parahan-E-Barg Se Uriaan Bhi Hui.
Qaid-E-Mausim Se Tabiyat Rahi Aazad Uski,
Kaash Gulshan Mein Samjhta Koi Faryaad Uski.

Lutf Marne Men Hai Baaqi Na Maza Jeene Men
Kuch Mazaa Hai To Yehi Khoon-E- Jigar Peene Men
Kitne Betaab Hain Johar Mere Aaeene Men
Kis Qadar Jalwe Tadapte Hain Mere Seene Men
Is Gulistaan Men Magar Dekhne Wale Hi Naheen
Daagh Jo Seene Men Rakhte Hain Wo Laale Hi Naheen

Mushkilen Ummat-E- Marhoom Ki Aasaan Kar De
Moor-E- Be-Maya Ko Hamdosh-E- Sulaimaan Kar De
Jins-E-Naayaab-E- Mohabbat Ko Phir Arzaan Kar De
Hind Ke Dair-Nasheenon Ko Musalmaan Kar De
Joo-E- Khoon Mee Chakad Az Hasrat-E- Derina-E- Maa
Mee Tapad Naala-Ba-Nashtar Kada-E- Seena-E- Maa

Chaak Is Bulbul-E-Tanha Ki Nawa Se Dil Hon,
Jaagne Wale Isi Baang-E-Dara Se Dil Hon.
Yaani Phir Zinda Naye Ahd-E-Wafa Se Dil Hon,
Phir Isi Bada-E-Deereena Ke Pyaase Dil Hon.
Ajmi Khum Hai Toh Kya, Ma'y Toh Hejaazi Hai Meri,
Naghma Hindi Hai Toh Kya, La'y Toh Hejaazi Hai Meri.

Wo Baaten Teri



Wo Baaten Teri Wo Fasaane Tere
Shagufta Shagufta Bahaane Tere

Bas Ek Zakhm Nazara Hissa Mera
Bahaaren Teri Aashiyaane Tere

Bas Ek Daag-E-Sajda Meri Kayenat
Jabeenein Teri Aastaane Tere

Zameer-E-Sadaf Main Kiran Ka Muqaam
Anokhe Anokhe Thikaane Tere

Faqeeron Ka Jamghat Ghadi Do Ghadi
Sharaaben Teri Baada-Khaane Tere

Bahaar-O-Khizaan Kam-Nigaahon Ke Veham
Buray Yaa Bhalay Sabb Zamaane Tere

"Adam" Bhi Hai Teraa Hikaayat-Kadaa
Kahaan Takk Gaye Hain Fasaane Tere

November 17, 2017

Rat Hone Do



Main Titliyon Ko Sulaa Doonga Zara Tum Rat Hone Do
Main Jugnuon Ko Jagaa Doonga Zara Tum Rat Hone Do

Kahan Aghaaz Hota Hai Kahan Anjaam Hota Hai
Tumhe Sab Kuch Bata Dunga Zara Tum Rat Hone Do

Meri Num Aankhon Ko Na Dekho Yoon Haqarat Se
Main Tum Ko Bhi Rula Dunga Zara Tum Rat Hone Do

Mera Imaan Hai Tum Ko Andhere Chhoo Nahi Sakte
Main Khud Ko Hi Jala Lunga Zara Tum Rat Hona Do

Baarish hui to




Baarish hui to phoolon ke tan chaak ho gaye
mausam ke hath bheeg ke shaffak ho gaye

baadal ko kya khabar ke barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khaak ho gaye

jugnu ko din ke waqt pakadne ki zid karen
bachche hamare Ehad ke chalaak ho gaye

lehra rahi hai, barf ki chadar hata ke, ghaas
suraj ki sheh pe tinke bhi bebaak ho gaye

suraj dimaag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq ke pechaak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lehje hawaa-e-sham ke nam'nak ho gaye

Sahil pe jitne aab-guzida the sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye

November 16, 2017

bimaar hain to abb



bimaar hain to abb damm-e-Eesa kahan se aaye
us dil main dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aye

bekaar shara-e-lafz-o-mani se faayeda
jab tu nahin to shehar main tujh sa kahan se aye

har chashm sang-e-khizb-o-adawat se surkh hai
ab admi ko zindagi karna kahaan se aaye

wehshat hawas ki chaat gai khak-e-jism ko
be-dar gharon main shaql ka saya kahan se aye

jar* se ukhar gaye to badalati rutton se kya
be-aab ainon main saraapa kahaan se aaye

saayon pe aitamaad se ukta gayaa hai ji
tufan main zindagi ka bharosa kahan se aye

gam k thapede le gaye nagin se lambe baal
raaton main jangalon ka wo saya kahan se aye

Naheed faishanon ne chupaye hain aib bhi
chashmain na hoon to ankh ka parda kahan se aye

(*root)

Jahan se chali thi



Jahan se chali thi waheen pe khadi hoon,
Main teri mohabbat ki aesi ghadi hoon,

Tere hath mein thi mohabbat ki gudiya,
Jahan pe rakha tha waheen pe padi hoon,

Tujhe bhool jaane ka socha tha lekin,
Badi dair tak aaj khud se ladi hoon,

Tere sang barish main chhatri ke neeche,
Mujhe yoon laga jese mein bhi jhadi hoon,

Teri zaat se mein bhi mansoob ho kar,
Atoot ang hoon zindagi ki kadi hoon,

Mera bachpna-pan hai mohabbat main shamil,
Mohabbat main qadd se zeyada badi hoon..

November 15, 2017

Mere Dil Ko Aate Hain



Mere Dil Ko Aate Hain Khayal Kese Kese
Jane Wala De Gaya Hai Sawaal Kese Kese

Meri Manzil Ki Jaanib Koi Rahguzar Hi Nahi
Taqdeer Bann Rahi Hai Ab K Jaal Kese Kese

Kabhi Ke Din Bade Kabhi Ki Raatain Badi
Zindagi Ne Guzaar Diye Maah-o-Saal Kese Kese

Lamha Lamha Khamosh Rehna Lamha Lamha Udaas
Hum Ne Paal Liye Hain Wabaal Kese Kese

Hume To Pyar Faqat Us Ek Chehray Se Tha
Wagarna Dekhne Ko Hain Husn-o-Jamaal Kese Kese

Khamoshi Kisi Sawal Ka Jawab Kya Ho Akaash
Khamoshi Khud Paida Karti Hai Sawaal Kese Kese

November 14, 2017

Ab ke ehsaan jataane



Ab ke ehsaan jataane bhi nahin aaya koi
Mein jo rootha to manaane bhi na aaya koi

Aik wo door ke sone bhi na dete thay mujhe
Aik yeh waqt ke jagaaney bhi na aaya koi

Dag-magata tha to so hath lapakte they mujhe
Gir gaya hoon to uthaaney bhi nahin aaya koi

Jaane Ehbaab pe kya guzri, khuda khair kare
Arse se neya zakham lagaaney nahin aaya koi

Aese utra hoon dilon se ke hansaana to kuja
Aik muddat se rulaaney bhi nahin aaya koi

Yun to so baar, toota, jura, magar ab ke amin
Aese toota ke banaaney bhi nahin aaya koi

Tum Jo Hastey Ho



Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Sabaa Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafaa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sadaa Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon Ke ye Badal Le Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghataa Lagte Ho

Tum Jise Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nashaa Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho

#Iqbal-e-Azeem

November 13, 2017

ulfat hoti jaati hai




Ayaadat hoti jaati hai ibaadat hoti jaati hai,
Mere marne ki dekho sab ko aadat hoti jaati hai,

Nami si aankh main aur hont bhi bheege huye se hain,
Yeh bheega-pan hai dekho muskuraahat hoti jaati hai,

Tere qadmon ki aahat ko yeh dil hai dhoondta har dum,
Har ik Aawaaz par ik thar'tharaahat hoti jaati hai,

Yeh kesi yaas hai rone ki bhi aur muskuraane ki,
Yeh kaisa dard hai ke jhunjunaahat hoti jaati hai,

Kabhi to khoobsurat apni hi ankhon mei aise they,
Kisi gham khana se goya mohabbat hoti jaati hai,

Khud hi ko taiz nakhunon se haaye nochte hain ab,
Humen Allah khud se kaisi ulfat hoti jaati hai..

Kul Kayenaat Ho Jaise




Bas Aik Shakhs Hai kul Kayenaat Ho Jaise,
Nazar Na Aaye To Din Me Bhi Raat Ho Jaise,

Mere Labon Pe Tabassum Hai Mojza Ab Tak,
Ke Dil Ka Tootna Chhoti Si Baat Ho Jaise,

Shab-e-Firaaq Mujhe Aaj Youn Daraati Hai,
Tere Baghair Meri Pehli Raat Ho Jaise,

Usi Ki Yaad Ki Ye Bhi To Ek Karaamat Hai,
Hazaar Meel Pe Ho Kar Bhi Sath Ho Jaise,

Tera Sulook Mujhe Roz Zakham Taaza De,
Kisi Ko Pehli Mohabbat Main Maat Ho Jaise..!!

#arajabhatti

November 11, 2017

Hansi thami hai in


Hansi thami hai in ankhon mei yuun nami ki tarah,
Chamak Uthe Hain Andhere Bhi Roshni Ki Tarah,

Tumhara naam hai ya aasmaan nazron mein,
Simatt gya meri gum-gashtaa zindagi ki tarah,

Kohr hai dhund dhuan hai woh jis ki shakal nahin,
Ke dil yeh roooh se liptaa hai ajnabi ki taraah,

Tumhare haathon ki sarhad ko paa ke thehri huin,
Khalaayen zinda ragon mei hain sanssani ki tarah...!

TU wo zaalim hai



TU wo zaalim hai jo DIL main reh kar bhi mera na ho sakaa,
Aur DIL wo Kaafir hai jo mujh main reh ke bhi tera ho gayaa,


تو وہ ظالم ہے جو دِل میں رہ کر بھی میرا نہ ہو سکا

اور دِل وہ کافر ہے جہ مجھ میں رہ کر بھی تیرا ہو گیا


November 10, 2017

Tere hothon ki hasi




Tere hothon ki hasi banane ka khawaab hai
Teri aaghosh me simat jane ka khawaab hai

Tu lakh bachaa le daaman, ishq ke haathon se
Aasmaa bankar tujh per chhaane ka khawaab hai

Aazmayesh yuun to achhi nahi hoti ishq ki
Tu chahe to teri takdeer banane ka khwaab hai

Wo Maut bhi laut jaye tere darwaze pe aake
Tujhko aisi zindagi dene ka khawaab hai

Jee bhi lenge agar jeena pade tere bina,
Lekin tujh per mar mitne ka khwab hai

Wo to khushbu hai



Wo to khushbu hai, hawaon main bikhar jaaye ga
Maslaa to phool ka hai phool kidhar jaaye ga

Hum to samjhe the ke ik zakhm hai bhar jaaye ga
Kya khabar thi ke rag-e-jaan main utar jaaye ga

Wo hawaon ki tarah khana-e-bajaan phirta hai
Ik jhonka hai jo aaye ga, guzar jaaye ga

Woh jab aaye ga to phir uski rafaaqat ke liye
Mosam-e-gul mere aangan main thehr jaaye ga

Aakhrish woh bhi kahin rait pe bethe honge
Tera yeh pyar bhi daryaa hai utar jaaye ga

Mujhko tehzeeb ke bar'zakh ka bana dia waris
Jurm yeh bhi mere ajdaad ke sar jaaye ga

#arajabhatti

November 9, 2017

Mera Naam Badal Dena



Aik Lafz Mohabbat Hai Isay Kar Ke Dekho Tum
Barbad Na Ho Jao To Mera Naam Badal Dena

Aik Lafz Muqaddar Hai Is Se Lad Ke Dekho Tum
Haar Na Jao To Mera Naam Badal Dena

Aik Lafz Wafa Hai Jo Dunya Mein Nahi Milti
Kahin Se Gar Mil Jaye To Mera Naam Badal Dena

Aik Lafz Aansu Hai Isse Dil Mein Chupa K Dekho Tum
Aakhon Se Na Beh Jaye To Mera Naam Badal Dena

Aik Lafz Judaai Hai Isse Seh Kar To Dekho Tum
Toot Kar Bikhar Na Jao To Mera Naam Badal Dena…

#arajabhatti

Kabhi Ye Daava



Kabhi Ye Daava Ke Wo Mera Hai Faqat Mera,
Kabhi Ye Darr Ke Wo Mujh Se Judaa To Nahi,

Kabhi Ye Dua K Use Mil Jayen Sare Jahan Ki Khushiyan
Kabhi Ye Khauf Ke Wo Khush Mere Bina To Nahi

Kabhi Ye Tamanna Ke Bas Jaon Us Ki Nigahon Mein
Kabhi Ye Darr Ke Uski Aankhon Ko Kisi Ne Dekha To Nahi

Kabhi Ye Khwahish Ke Zamaana Ho Muntazir Us Ka
Kabhi Ye Vehem Ke Wo Kisi Se Milaa To Nahi

Kabhi Ye Aarzu K Wo Jo Maange Mil Jaye Usse
Kabhi Ye Waswasa K Usne Mera Siwa Kuchh Maanga To Nahi

#arajabhatti

November 7, 2017

Guloon ko sunna zara



Guloon ko sunna zara tum sadayen bheji hain,
Guloon ke hath bohat si duaayen bheji hain,

Jo aftaab kabhi bhi ghuroob hota nahin,
Hamara dil hai usi ki shaan'yen bheji hain, (Rays)

Agar jalaye tumhen bhi shifa mile shaayad,
Ik aese dard ki tum ko shaan'yen bheji hain,

Tumhari khushk si ankhen bhalli nahin lagtin,
Woh sari cheezen jo tum ko rulayen, bheji hain,

Tumhara khwaab se har shab lipat ke sote hain,
Sazayen bhej do hum ne khataayen bheji hain,

Akela patta hawa main bohat buland udha,
Zameen se paaon uthao hawaayen bheji hain..

Baat karni mujhe



Baat karni mujhe mushkil kabhi aesi to na thi,
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi,

Le geya chheen ke kaun aaj tera sabr-o-qaraar,
Beqaraari tujhe ae dil kabhi aesi to na thi,

Uss ki ankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu,
Ke tabiyyat meri maayel kabhi aisi to na thi,

Aks-e-rukhsaar ne kis ke, hai tujhe chamkaaya,
Taab tujh main maah-e-kamil kabhi aesi to na thi,

Ab ke jo raah-e-mohabbat main uthaayi takleef,
Sakht hoti humen manzil kabhi aisi to na thi,

Nigaah-e-yaar ko ab kyun hai taghaaful ae dil,
Woh tere haal se ghaafil kabhi aisi to na thi,

Chashm-e-katil meri dushman thi hamesha lekin,
Jaisi ab ho gayi qaatil kabhi aesi to na thi,

Kya sabab tu jo bigadta hai “Zaffar” se har baar,
Kyu teri huur-shamaayel kabhi aesi to na thi..

November 6, 2017

Sharafat soz tasveeron



Sharaafat soz tasveeron ki uryaani nahin jaati,
Adab ki aad main Targheeb-e-rumani nahin jati

Khuda maloom nasal-e-nau ka kia anjaam hona hai,
Watan se fasaah naghmo ki farawaani nahin jaati

Azab aaye to us main saienkdon ki jaan jati hai,
Nahin jaati to shaitaano ki shaitaani nahin jaati

Kahin basti ki basti boond pani ko tarasti hai,
Kahin barish barsti hai to tughyaani nahin jati

Zamaana is qadar qaayal huwa hai jhoote logon ka,
Jo sach kehte hain unki ek bhi maani nahin jaati

Jahan k zarre zarre se numaayan hai jaalal Uska,
Magar hum se Khuda ki zaat pehchani nahin jati

#arajabhatti

November 5, 2017

hawa b sard thi



Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi,
Dil ko khushi ke saath saath hota raha malaal bhi,

Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aese dekhta,
Aik dafaa to ruk gayee gardish-e-maah-o-saal bhi,

Dil to chamak sake ga kya phir bhi tarash ke dekh lain,
Sheesha giraan-e-sheher ke haath ka yeh kamaal bhi,

Us ko na pa sake thay jab dil ka ajeeb haal tha,
Ab jo palatt ke dekhiye baat hi kuch muhaal thi,

Meri talab tha aik shaks woh jo nahin mila to phir,
Haath duaa se yoon giray bhool gaya sawaal bhi,

Uss ki sukhnn taraaziyan mere liye bhi dhaal theen,
Us ki hansi main chupp geya apne ghamon ka haal bhi,

Shaam ki nasamajh hawaa pooch rahi hai aik pata,
Mauj-e-hawaa-e-ku-e-yaar, kar kuch to mera khayal bhi..

Tamanna b nahin



Sar main saudaa b nahin, dil main tamanna b nahin,
Lekin is tark-e- mohabbat ka bharossa bhi nahin,

Dil ki ginti na yagaanon main na begaanon main,
Lekin us jalwaa-gah-e-naz se uthta bhi nahin,

Shikwa-e-jaur kare kya koi us shokh se jo,
Saaf qayel bhi nahin saaf mukarta bhi nahin,

Meherbaani ko mohabbat nahin kehte aye dost,
Aah ab mujh se teri ranjish-e-bejaa bhi nahin,

Ek muddat se teri yaad bhi aayi nahin hamen,
Aur hum bhool gaye hoon tujhe aesa bhi nahin,

Yeh bhi sach hai ke mohabbat pe nahin main majboor,
Yeh bhi sach hai ke tera husan kuch aisa bhi nahin,

Yuun to hungaame uthaate nahin dewaana-e-ishq,
Magar ae dost kuch aison ka thikaana bhi nahin,

Fitrat-e-husan ko maloom hai tujh ko humdum,
Chaara hi ka hai ba-juzz sabr to hota bhi nahin,

Munh se hum apne bura to nahin kehte ke firaq,
Hai tera dost magar aadmi achaa bhi nahin..

November 4, 2017

Shaam Ko Youn



Shaam Ko Youn Teri Palkon Ka Larazty Rehna
Doob Jaaye Jo Ye Manzar To Barasty Rehna

Main Agar Toot Bhi Jaaun to Aaina Hoon
Tum Mere Baad Bhi Her Roz Sanwarty Rehna

Us Ki Aadat Wohi Har Baat Adhoori Karna
Aur Phir Baat Ka Mafhoom Badalte Rehna

Aaj Se Seekh Liya Hai Ye Qareena Hum Ne
Bujh Bhi Jaana To Badi Der Sulagte Rehna

Jaane Kis Umar Me Jaye Gi Ye Aadat Apni
Roothna Us Se To Auron Se Ulajhty Rehna

#arajabhatti

November 3, 2017

Rang-e-Jaahan Gaya



Seenay Se Is Tarha se Ye Dil-e-Natwan Gaya
Hum Sub Se Poochte Rahe Aakhir Kahan Gaya

Dil Ka Safar Hai Aur, Ye Qadmon Ki Chaal Aur
Hum Ho K Aa Gaye To Wahan Kaarwan Gaya

Aisi Padi Wo Mujh Pe Ibadat-Shikan Nigaah
Sajdaa Gaya, Nimaaz Gayee, Aastan Gaya

Jangal Main Is Tarha Ki Udaasi Kabhi Na Thi
Aye Kaarwan Theher, Mera Sathi Kahan Gaya

Sab Mujhko Sun Rahe The Bare Inhamaak Se
Boli Wo Aankh Kya, Mera Zor-e-Bayan Gaya

Rashid Wo Aik Shakhs Tha Duniya Mere Liye
Wo Kya Gaya K Saara Rang-e-Jaahan Gaya..

#arajabhatti

Nayi si hai



Is Baar Phir Se Di Jo Mohlat Nayi Si Hai,
Ye Zindgi Ki Mujh Pe Inayat Nayi Si Hai,

Khush-Bakhtiyan Meri, Jo Dastak Di Khushi Ne,
Is Lamha Mili Mujh Ko Ye Raahat Nayi Si Hai,

Wo Ranj-o-Fikr, Gham K Zamane Guzar Gaye,
Ab Hum Pe Zamane Ki, Inaayat Nayi Si Hai,

Her Su Fiza Me Raqs Ka Manzar Hai Phaila,
Rangeeniyon Se Rut Ki Ye Raghbat Nayi Si Hai

November 2, 2017

Bhanwar main mashware



Bhanwar main mashware paani se leta hoon,
Main har mushkil ko aasaani se leta hoon,

Jahaan danaayee deti hai koi moqa,
Wahan main kaam nadaani se leta hoon,

Woh mansoobe hain kuch abaad hone ke,
Main jin par raaye veerani se leta hoon,

Ab apne aablon ki ghaatiyon se bhi,
Samandar dekh asaani se leta hoon,

Nahin leta magar lene pe aaon to,
Main badlaa aag ka paani se leta hoon,

Nazzar-andaaz kar deti hai jab duniya,
Janam khud apni heraani se leta hoon,

Jahan mushkil main pad jate hain gird-o-pesh,
Wahan main saans asaani se leta hoon,

Lagaata hai meri beenayi par tohmat,
Main fatway jis ki uryaani se leta hoon..

#arajabhatti

Wohi Armaan Liye Hue



Muddat Hui Hai Yaar Ko Mehmaan Kiye Hue
Dil Zid Pe Arh Gayaa Wohi Armaan Liye Hue

Dil Mera Shikasta Hai Teri Baaton Se Phir Se
Is Raaz Ko Kehna Hai Yehi Raaz Liye Hue

Manind Bahaar Hum Ne Guzara Hai Tera Sath
Ab Kaanton Pe Chalna Hai Wohi Gulzar Liye Hue

Us Lamha Qayamat Si Guzar Jati Hai Dil Pe
Us Raah Pe Thehrun Jab Wohi Maat Liye Hue

Sajdon Se Na Aahon Se Na Koshish Se Tu Hasil
Phir Tujh Ko Manaana Hai Teri Baat Liye Hue

Jeene Ki Wajah De Ya Marne Ka Bahana De
Is Aas Main Thehra Hun Yehi Aas Liye Hue

Anjum Ki Ye Fitrat Hai Kabhi Haar Na Maane
Phir Fatah Ko Paana Hai Wohi Maat Liye Hue

#arajabhatti

November 1, 2017

Niyyat-e-shauq bhar



Niyyat-e-shauq bhar na jaye kahin,
tu bhi dil se utar na jaaye kahin

Aaj dekha hai tujhe der k baad,
Aaj ka din guzar na jaye kahin

na mila kar udaas logon se,
husn tera bikhar na jaye kahin

Aarzu hai k tu yahan aaye,
aur phir umr bhar na jaye kahin

ji jalata hun aur ye sochta hun,
rayegaan ye hunar na jaye kahin

Aao kuch der ro hi len 'Nasir',
phir ye dariyaa utar na jaye kahin..

#arajabhatti

October 31, 2017

Aankhon Se Pilaaya



Kal Jo Jaam Aankhon Se Pilaaya Kisi Ne
Mad-Hosh Para Raha Na Uthaaya Kisi Ne

Mujhe Bhi Kuch Ziada Shoq Tha Peeny Ka
Peeny K Bad Jo Hua Na Bataaya Kisi Ne

Kabi Masjid, Kabi Mandir Main Ghumta Raha Rat Bhar
Kabhi Musalmaan, Kabhi Hindu Banaaya Kisi Ne

Aadi Bana K May-Kadah Chheen Lia Gaya Mujh Se
Kuch Is Tarha Mujhe Staaya Kisi Ne

Qasm Uski Jawab Main Saghar Chhoo Ho To
Usi Ka Naam Le Kar May-Kady Main Bulaya Kisi Ne...

Jibreel “hiraa” mein aaye


Soz itna to navaah mein aaye
uska paighaam hawaa mein aaye

Misl-e gul ab ke ho wehshat apni
zakhm ka rang qabaa mein aaye

Dil mein yun chupke se utra koi
jaise Jibreel “hiraa” mein aaye

Yun achaanak tujhe paaya maine
jaise taaseer Dua mein aaye

Chaand ne jhuk ke sitaaron se kaha
kitne insaan khalaa mein aaye

Haadsa zabt ka dushman hai agar
Hausla ahl-e wafaa mein aaye

Ab toh labb khol dahan-bastaa mere
zalzalaa arz-o samaa mein aaye

Rog kya jee ko laga hai ‘Mohsin
zehar ka naam dawaa mein aaye