November 2, 2017

Bhanwar main mashware



Bhanwar main mashware paani se leta hoon,
Main har mushkil ko aasaani se leta hoon,

Jahaan danaayee deti hai koi moqa,
Wahan main kaam nadaani se leta hoon,

Woh mansoobe hain kuch abaad hone ke,
Main jin par raaye veerani se leta hoon,

Ab apne aablon ki ghaatiyon se bhi,
Samandar dekh asaani se leta hoon,

Nahin leta magar lene pe aaon to,
Main badlaa aag ka paani se leta hoon,

Nazzar-andaaz kar deti hai jab duniya,
Janam khud apni heraani se leta hoon,

Jahan mushkil main pad jate hain gird-o-pesh,
Wahan main saans asaani se leta hoon,

Lagaata hai meri beenayi par tohmat,
Main fatway jis ki uryaani se leta hoon..

#arajabhatti

No comments:

Post a Comment