July 29, 2020

Faqt Teri Ataa Se

Humne tujhe jaana hai faqat teri ataa se

Suraj ke ujaale se, fazaon se, khalaa se
Chaand aur sitaron ki chamak aur ziyaa se
Jungal ki khamoshi se, pahadon ki anaa se
Purhaol samandar se, pur asraar ghataa se
Bijli ke chamakne se, kadakne ki sadaa se
Mitti ke khazanon se, anajon se, ghizaa se
Barsat se, toofan se, paani se, hawaa se

Humne tujhe jaana hai faqat teri ataa se

Gulshan ki baharon se, to kaliyon ki hayaa se
Maasoom si roti hui shabnam ki adaa se
Lehrati hui baade sahar, baade sabaa se
Har rang k har shaan ke phoolon ki qabaa se
Chidiyon k chahekne se to bulbul ki nawaa se
Moti ki nazakat se to heere ki ziyaa se
Har shay se jhalakte hue fun aur kalaa se.

Humne tujhe jaana hai faqat teri ataa se

Duniya ke hawadis se, jafaon se, wafaa se
Ranjo ghamo aalaam se, dardon se dawaa se
Khushiyon se, tabassum se, mareezon ki shifaa se
Bachchon ki sharart se, to maaon ki duaa se
Neki se, ibaadaat se, laghzish se, khataa se
Khud apne hi seene ke dhadakne ki sadaa se.

Humne tujhe jaana hai faqat teri ataa se

Iblees ke fitnon se, to Aadam ki khataa se
Ausaafe Baraheem se, Yusuf ki hayaa se
Aur hazrate Ayyub ki tasleemo razaa se
Eisa ki masihayi se, Moosa ke asaa se
Namrood ke, Firaon ke anjame fanaa se
Kaabe ke taqaddus se, to Marwa wa Safaa se
Taoraat se, Injeel se, Quran ki sadaa se
Yaseen se, Taaha se, Muzammil se Nabaa se
Ek noor jo nikla tha kabhi ghaare Hiraa se.

Humne tujhe jaana hai faqat teri ataa se.


Kalaam: ATEEQ JAZIB

July 20, 2020

Mere Ashaar Sunana

Mere ashaar sunana na sunane dena,
Jab main duniya se chala jaon to jane dena,

Sath in ke hai bohat khaak uRrayi maine,
In hawaon ko meri khaak uRrane dena,

Mat batana ke bikhar jayen to kya hota hai,
Nayi naslon ko naye khawb sajane dena,

Rahoon khamosh to khamosh hi rakhna mujh ko,
Aur agar shor machaun to shor machane dena,

Aur jaan lena ke naya hath bulata hai tumhe,
Agar koi hath chuRraye to chuRrane dena,

Ab to barish main bhi school khula karte hain,
Wahan mat bhejna bachon ko nahane dena,

Haan wohi baat jo maloom hai sab logon ko,
Main wohi baat chupaun ga chupane dena,

Waqt duniya ko sunaye ga kahani meri,
Kahe deta hoon mera naam na aane dena,

MEre jeene pe hansen log koi baat nahin,
Haan meri maut ka matam na manane dena..