February 23, 2021

Shaam ke Baad

Tu ne dekha hai kabhi aik nazar shaam ke baad,
Kitne chup chaap se lagte hain shajar shaam ke baad,

Itne chup chaap ke raste bhi rahen la-ilam,
Chhod jayen ge kisi roz nagar shaam ke baad,

Maine aese hi gunah teri judayi main kiye,
Jaise tufan main koi chhod de ghar shaam ke baad,

Shaam se pehle woh mast apni uRranon main raha,
Jis ke hathon main thay toote huye par sham ke baad,

Raat beeti to gine aabley aur phir socha,
Kaun tha bayes-e-aghaaz-e-safar shaam ke baad,

Tu hai suraj tujhe maloom kahan raat ka dukh,
Tu kisi roz mere ghar main utar shaam ke baad,

Laut aye na kisi roz woh awara mizaaj,
Khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad

February 8, 2021

Aetibar kisi ka

Nahi howa mujhay naseeb piyar kisi ka
Phir main kiyon keron atibaar kisi ka

Ae waqt tu bhi zara thahar ja
Meri aankhon ko bhi hay intizaar kisi ka

Sari dunya rooth jay koi ghum nahi
Jeetay ji na juda ho dildar kisi ka

Kiya poochtay ho kahani meri mohabbat ki
Chaltay chaltay ker liya tha main ne bhi aetibar kisi ka