March 31, 2021

Baat Darasal Woh

baat darasal woh nahin thi yaar
woh magar kitni dilnasheen thi yaar

mera batwa kidhar gaya akhir
meri ainak yahin kahin thi yaar

khawab rakhe they jis jagah maine
neend rakhi hui wahin thi yaar

jab talak baap mera zinda tha
mere qadmu taley zameen thi yaar