December 29, 2018

Mohabbat kis ko kehte hain

Mohabbat kis ko kehte hain, adawat kis ko kehte hain,
Bichad kar tum se jana hai, qayamat kis ko kehte hain,

Isi zid main utri hoon, qayamat–khez lehron main,
Ke dekhoon gi mohabbat main karamat kis ko kehte hain,

Zamana puchta kuch hai, bata doon aur hi kuch main,
Tumhi se maine seekha hai wazahat kis ko kehte hain,

Abhi khamosh bethi hoon magar main waqt padne par,
Zamane ko bata doon gi baghawat kis ko kehte hain,

Hazaron dard seh kar bhi yeh dete hain duaa sab ko,
Ke ehl-e-ishq se seekho, sakhawat kis ko kehte hain..

December 23, 2018

Paraayi neend main

Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke,
Main khush nahi hoon tujhe khud main mubtila kar ke,

Yeh kyun kaha ke tujhe mujhse pyar ho jaaye,
Tadap utha hoon tere haq main bad'dua kar ke,

Main jootiyon main bhi betha hoon puray mann ke sath,
Kissi ne mujh ko bulaayaa hai iltijaa kar ke,

To phir woh rote huve manate bhi maante hain,
Jo intiha nahin karte hain ibtidaa kar ke,

Bashar samajh kar kiya tha na yun mujhe nazar–andaz,
Le main bhi chorr raha hoon tujhe Khuda kar ke,

Mana bhi loon ga, galay bhi lagaon main Ali,
Abhi to dekh raha hoon use khafaa kar ke..

September 28, 2018

Meri daastan-e-hasrat

Meri daastan-e-hasrat wo suna suna ke roye,
Mere aazmane wale mujhe aazma ke roye,

Koi aesa ehl-e-dil ho ke fasaan-e-mohabbat,
Main usey suna ke roo’un, woh mujhe suna ke roye,

Meri aarzuu ki duniya dil-e-naatwan ki hasrat,
Jese kho ke aaj shaadman they, usey aaj paa ke roye,

Teri bewafaaiyon per, teri kaj’adaaiyon per,
Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi moun chupa ke roye,

Jo suni anjjuman main shab-e-gham ki aap-beeti,
Kayi ro ke muskuraye kayi muskuraa ke roye..

September 24, 2018

chhod diya

Us ne dil ka haal batana chhod diya
Hum ne bhi gehrai main jana chhod diya

Jabb us ko hi doori ka Ehsaas nahi
Hum ne bhi Ehsaas dilana chhod diya

Main ne kaha raste hain dushwar boht
Us ne tab se saath nibhana chhod diya

Jab yeh kaha ke karna yaad duaoun main
Us ne dua main haath uthana chhod diya

August 28, 2018

Mushkil Safar Hai Baba

Na ham-nafas hai, na humsafar hai baba,
Yeh makaan ab dar-badarr hai baba,

Na din main chand dooba, na raat main suraj nikla,
Yaani meri har dua be-assar hai baba,

Yeh mera inaam hai, ya sazaa hai meri,
Mera marz hi mera charagar hai baba,

Inhe apni ainak to zara khairaat kijiye,
Zamana bohat tang-nazzar hai baba,

Yeh kuch log maseeha kyun bane phirte hain,
Jab inhe kuch nahin khabar hai baba,

Jab tak hath main hath tha, sab sahi tha,
Baaki bohat mushkil safar hai baba,

Jis aik mahine main sadiyan jam jati hain,
Woh sitam–gar december hai baba,

Yeh duniya wale sehraa jante hain jisse,
Yuun to mitti ka samandar hai baba,

Woh khawb jise sab ankhon main dhoond rahe hain,
Woh khawb ab khawb ke andar hai baba,

Jo banayi theen maine samandar paar karne ko,
Woh kaghaz ki kashti kidhar hai baba..

August 21, 2018

kinara nadi ka tha

gumsum si rehguzar thi , kinaara nadi ka tha
pani mein chand, chand mein chehra kisi ka tha

ab zindagi sambhal ke leta hai tera naam
yeh dil ke jis ko shoq kabi khudkushi ka tha

kuch abar b they banjh zameen se daray huwe
kuch zaayeqa hawaa mein meri tishnagi ka tha

kehne ko dhoondte the sabhi apne khad o khaal
warna meri ghazal mein to sab kuch usi ka tha

woh ehtiyaat e jaan thi ke be rabti e khayal
saaye pe bhi gumaan mujhe aadmi ka tha

mushkil kahan the tarak e mohabbat k marhalay
aye dil magar sawaal teri zindagi kaa tha

woh jis ki dosti hi mataa e khaloos thi
Mohsin woh shakhs b mera dushman kabi ka tha

August 17, 2018

hamari qismat main

Sar hi ab phorriye nadamat main,
Neend aane lagi hai furqat main,

Hain daleelen tere khilaaf magar,
Sochta hoon teri himayat main,

Rooh ne ishq ka fareb diya,
Jism ko jism ki adavat main,

Ab faqat aadaton ki varzish hai,
Rooh shamil nahin shikayat main,

Ishq ko darmiyan na lao ke main,
Cheekhta hoon badan ki usrat main,

Yeh kuch asaan to nahin hai ke hum
Roothte ab bhi hain murawat main,

Woh jo tameer hone wali thi,
Lag gayi aag us imarat main,

Zindagi kis tarah bassar ho gi,
Dil nahin lag raha mohabbat main,

Hasil-e-kun hai yeh jahan-e-kharab,
Yahi mumkin tha itni ujlat main,

Ae khuda jo kahin nahin maujood,
Kya likha hai hamari qismat main..

August 14, 2018

parda kahan se aye

bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye
us dil main dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aye

bekar sharaa-e-lafz-o-ma'ani se kyaa faayeda
jab tu nahin to shahar main tujh sa kahan se aye

har chashm sang-e-khizb-o-adawat se surkh hai
ab admi ko zindagi karna kahan se aye

wahshat hawas ki chat gai khak-e-jism ko
be-dar gharon main shaql ka saya kahan se aye

jar se ukhar gaye to badalati ruton se kya
be-ab ainon main sarapa kahan se aye

sayon pe aitamad se ukta gaya hai ji
tufan main zindagi ka bharosa kahan se aye

gam k thapere le gaye nagin se lambe bal
raton main jangalon ka wo saya kahan se aye

"Naheed" faishanon ne chupaaye hain aib bhi
chashme na hoon to aankh ka parda kahan se aaye

August 12, 2018

haal aa jaaye

Jo uss ke saamne mera ye haal aa jaaye,
to dukh se aur bhi uss par jamaal aa jaaye.

Mera khayal hai ghunghru pehan ke naachega,
agar khayaal ko tera khayaal aa jaaye.

Har ek shaam naye khwaab uss par garhenge,
humare haath agar teri shaal aa jaaye.

Inhi dino woh mere saath chaai peeta tha,
kahin se kaash mera pichhla saal aa jaye.
Mein apne ghum ke khazaane kahan chhupaunga,
agar kahin se koi aur maal aa jaye.

Har ek baar naye dhang se sajaayen tujhe,
humhare haath jo phoolon ki daal lag jaye.

Ye doobta hua sooraj thehar na jaye ‘wasi
agar woh saamne waqat-e zawaal aa jaye.

Teri soorat pe ik ghazal

Teri soorat pe ik ghazal kamal likhonga, 
main teray husn ke sub khadokhal likhonga

Ye tera hukm sar aankhon pe lub tu see longa magar,
main teray chehray pe sub dil ka haal likhonga

Her ik lamha jo qurbat main teri guzra hay woh,
looh dil pe likhon ga tu saal likhonga main

Dil ke warq pe likhon termeem kerkay chordonga
"Fraaq" kaat ke ik din "Wisaal" likhonga

Khosa jub bhi likha hal-e-zindagi main ne,
kiya hay ishq ne kitna nidhaal likhonga

August 11, 2018

Aqeedat aur hoti hai

Aqeedat aur hoti hai marawwat aur hoti hai,
Mohabbat jis ko kehtey hain wo ne’amat aur hoti hai,

Qayamat khez manzar b hazaron hum ney dekhey hain,
Jo dil par toot’ti hai wo qayaamat Aur hoti hai,

Maheeno ba’ad milney ki khushi apni jaga lekin,
Wo zalim jab bicharta hai to halat Aur hoti hai,

Lutaana maal hatim ka agar'che kaarnama hai,
Qareen-e-ishq me lekin sakhawat Aur hoti hai,

Wo khanjar be-rukhi ke jis qadar dil par chalaata hai,
To maayel is qadar us par tabiyat Aur hoti hai,

Tujhe bhanwra kanwal kehna kisi soorat nahi be-ja,
Jisey kehtey hain parwaana wo soorat Aur hoti hai.

August 10, 2018

Meri dastan-e-hasrat

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye,
Mere azmane wale mujhe aazma ke roye,

Koi aesa ehl-e-dil ho ke fasaan-e-mohabbat,
Main usey suna ke roo’un, woh mujhe suna ke roye,

Meri aarzuu ki duniya dil-e-naatwan ki hasrat,
Jese kho ke aaj shaadman they, usey aaj paa ke roye,

Teri bewafaaiyoun per, teri kaj’adaayoun per,
Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi muh chupa ke roye,

Jo suni anjjuman main shab-e-gham ki aap-beeti,
Kayi ro ke muskuraye kayi muskuraa ke roye,

Koi aisa ehale dil ho Jo fasana-e-mohabbat
Main usse suna ke roun Woh mujhe suna ke roye

Main hoon bewatan musafir Mera naam bebasi hain
Mera kon hain jahaan mein Jo gale laga ke roye

August 8, 2018

Kayi Raahgeer Dekhe

Kayi Raahgeer Dekhe Mene Pyaas Bujhate Hue
Par Koi Tujh Si Manzil Ko Na Jate Hue Dekha


Ek Sakoon Tha Milta Jo Us Roshni Ki Raat Me
Jalta Diya Bujhte, Ek Sham Raakh Hote Dekha


Jo Kabhi Musibat-Zadon Ka Dastgeer Hua Karta Tha
Mehkhane Me Usy Shabab Se Sharab Hote Dekha


Ghalti Se Us K Aks Ko Jo Hum Hath Laga Bethe
To Saye Ki Tarha Lakeeron Ko Bhi Khak Hote Dekha


Han Sikha Raha Tha Wo Ishq Kisi Ko Parh Kar
Aur Uski Haiwaniyat Ko Hum Ne Rohaniyat Hote Dekha…

August 6, 2018

Na Ham-Nafas hai

Na ham-nafas hai, na humsafar hai baba,
Yeh makaan aBb dar-badar hai baba,

Na din main chand dooba, na raat main suraj nikla,
Yaani meri har dua be-assar hai baba,

Yeh mera inaam hai, ya saza hai meri,
Mera marz hi mera charagar hai baba,

Inhe apni ainak to zara khairaat kijiye,
Zamana bohat tang-nazzar hai baba,

Yeh kuch log maseeha kyun bane phirte hain,
Jab inhe kuch nahin khabar hai baba,

Jab tak hath main hath tha, sab sahi tha,
Baaki bohat mushkil safar hai baba,

Jis aik mahine main sadiyan jam jati hain,
Woh sitam–gar december hai baba,

Yeh duniya wale sehraa jante hain jisse,
Yuun to mitti ka samandar hai baba,

Woh khawb jise sab ankhon main dhoond rahe hain,
Woh khawb ab khawb ke andar hai baba,

Jo banayi theen maine samandar paar karne ko,
Woh kaghaz ki kashti kidhar hai baba..

Teri Soorat pe ik ghazal

Teri soorat pe ik ghazal kamaal likhoonga ,
main tere husn ke sab khad-o-khal likhonga,

Ye tera hukm sar aankhon pe labb to see longa magar,
main tere chehre pe sub dil ka haal likhoonga, 

Her ik lamha jo qurbat main teri guzra hay woh,
loh-e-dil pe likhoon ga main to saal likhoonga,

Dil ke warq pe likhon tarmeem kerke chordonga,
"Fraaq" kaat ke ik din "Wisaal" likhoonga,

Khosa jub bhi likha hal-e-zindagi main ne,
kiya hay ishq ne kitna nidhaal likhoonga

August 4, 2018

Dukh apna agar

Dukh apna agar hum ko batana nahin aata,
Tum ko bhi to andaaza lagaana nahin ataa,

Pohncha hai bzurgu ke bayanon se jo hum tak,
Kya baat hui kyun woh zamaana nahin aaata,

Main bhi usse khone ka hunar seekh na paya,
Us ko bhi mujhe chorh ke jaana nahin aaata,

Iss chhote zamane ke bade kese bano ge,
Logon ko jab aapas main ladana nahin aata,

Dhoonde hai to palkon pe chamakne ke bahane,
Aansuu ko meri aankh main aana nahin aaata,

Tareekh ki aankhon main dhuaan ho gaye khud hi,
Tum ko to koi ghar bhi jalaana nahin aaaata..

August 3, 2018

Kamaal Yeh Hai

Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai,
Hawaa ki zadd main diya jalana, jalaa ke rakhna kamaal yeh hai,

Zaraa si larzish pe tod dete hain sab ta'alluq zamaane wale,
So aese weson se bhi ta'alluq, bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ko dena yeh mashwra ke, woh dukh bichadne ka bhool jaye,
Aur aese lamhe main apne aansuu chupa ke rakhna kamaal yeh hai,

Khayal apna, mizaj apna, pasand apni, kamaal kya hai,
Jo yaar chahe woh haal apna bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ki raah se khuda ki khatir, utha ke kante, hatta ke pathar,
Phir us ke aage nigaah apni jhuka ke rakhna kamaal yeh hai,

Woh jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi ladkhadaye, shikast khaye,
Labon pe apne woh muskurahat, sajaa ke rakhna kamaal yeh hai,

Hazaar taaqat ho, sau daleelen hon, phir bhi lehje main aajzi se,
Adabb ki lazzat, dua ki khushbu, basaa ke rakhna kamaal yeh hai..

August 2, 2018

Shadeed pyaas thi

Shadeed pyaas thi phir bhi chhua na paani ko,
Main dekhtaa rahaa daryaa teri rawaani ko....

August 1, 2018

kuch sharab aaye

aaye kuch abr kuch sharab aaye
iss ke baad aaye jo azaab aaye

baam-e-minaa se mahtaab utre
dast-e-saaqi main Aftaab aaye

har rag-e-ḳhoon main phir chragan ho
saamne phir vo be-naqaab aaye

umr ke har warq pe dil kī nazar
teri mehr-o-wafaa ke baab aaye

kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum bhi yaad be-hisaab aaye

na gayee tere gham ki sardaari
dil main youn roz inqalaab aaye

jal uthe bazm-e-ghair ke dar-o-baam 
jab bhi hum ḳhanumaan-e-ḳharab aaye 

is tarah apni ḳhamoshi goonji
goya har simat se jawaab aaye

'faiz' thi raah sar-ba-sar manzil
ham jahan pahunche kamyab aaye

July 31, 2018

Mujrim Hoon Tera

Mujrim Hoon Tera Par Main Bewafaa Nahi,
Tu Chahat Hai Meri, Ye Tujhko Pata Nahi,


Mana K Jurm Maine Kiya Tha Magar,
Dee Tu Ne Bhi Uski Darust Saza Nahi,


Kitne Deep Jalaaye hain Tere Pyar Main
Par Bantaa Tu Meraa HumNawah Nahi

Raah-E-Muhabbat Waqai Kathin Hai Magr
Ek Aankh Jhapakty, Koi Detaa Bhula Nahi


Mujhe Aaj Bhi Uski Tamanna Hai Saghar
Par Afsos Ke Wo Mujhe Ab Takk Mila Nahi..

July 30, 2018

Aaiyene Par Patthar

Khushiyoun Ke Daman Mein Aansun Gira kar To Dekhiye,
Yeh Rishta Kitna Sacha Hai Aazmaa Kar To Dekhiye,

Aap ke Roothne Se Kya Ho gayee Mere Dil Ki Haalat,
Kisi Aaiyene Par Patthar Giraa kar To Dekhiye...

payaar ki toheen

Hans hans ke woh kartay hain mere payaar ki toheen,
Main kehta hoon mar jaoun ga wo kehte hain ameen..!!

July 17, 2018

Patthar

Patthar

din ke seene pe shaam ka patthhar
ek pathhar pe doosra patthhar

ye suna tha ki devta hai vo
mere haq hi men kyuu hua pathar

dayere bante aur mit'te the
jheel main jab kabhi gira patthar

ab to abaad hai vahan basti
ab kahan tere naam ka patthar

ho gaye manzilon ke sab raahi
de raha hai kise sada patthar

saare taare zamin pe gir jaate
zor se main jo phenkta patthar

naam ne kaam kar dikhaya hai
sab ne dekha hai tairta patthar

tu use kya uthega 'Aadil'
'MIR' tak se na utth saka patthar

July 16, 2018

Sada-e-Inqilab




Bohat Barbaad Hain Lekin Sadaa-e-Inqilab Aaye,
Wahin Se Wo Pukar Uthe Ga Jo Zarra Jahan Ho Ga