January 31, 2017

Jaam Aankhon Se Pilaaya



Kal Jo Jaam Aankhon Se Pilaaya Kisi Ne
Mad-Hosh Para Raha Na Uthaya Kisi Ne

Mujhe Bhi Kuch Ziada Shoq Tha Peeny Ka
Peeny K Bad Jo Hua Na Bataya Kisi Ne

Kabi Masjid, Kabi Mandir Main Ghoomta Raha Rat Bhar
Kabhi Musalmaan, Kabhi Hindu Banaya Kisi Ne

Aadi Bana K May-Kadah Cheen Lia Gaya Mujh Se
Kuch Is Tarha Mujhe Staya Kisi Ne

Qasm Uski Jawab Main Saghar Choo Ho To
Usi Ka Naam Le Kar May-Kady Main Bulaya Kisi Ne

January 30, 2017

Mujrim hoon Tera


Mujrim hoon Tera Par Me Bewafa Nahi
Tu Chaahat Hai Meri Tujhe Pataa Nahi

Mana K Jurm Mene Kiya Tha Magar
Di Tu Ne Darust Saza Nahi

Kitne Deep Jalaye Tere Pyar Me
Par Banta Tu Mera Humnawa Nahi

Raah-E-Muhabbat Waqai Kathin Hai Par
Aankh Jhapakty Koi Deta Bhula Nahi

Mujhe Aaj Bhi Uski Tamanna Hai Saghar
Par Afsos Ke Wo Mujhe Milaa Nahi...

Barish Bhi Ho Rahi Hai



Mosam Bhi Hai Suhana, Barish Bhi Ho Rahi Hai
Bas Ek Kami Hai Jana, Teri Yaad Aa Rahi Hai

Matti Ki Sondhi Khushbu, Patton Se Behta Pani
Har Cheez Keh Rahi Hai, Teri Yaad Aa Rahi Hai

Rim Jhim Barasti Barish, Tip Tip Utarta Pani
Ye Shor Keh Raha Hai, Teri Yaad Aa Rahi Hai...

January 29, 2017

Wo Jo Aaye



Wo Jo Aaye To Meri Zindagi Ko Zindagi Mili
Dil Ke Viraan Shagufo Ko fir Se Taazgi Mili


Faila Hua Hai Noor Kis Kadar Khaksaar Se Unke
Ghum-E-Zulmato Ko Unke Dum Se Roshni Mili


Muddat Ke Baad Phir Se Daur-E-Haram Mein
Kuch Der Karne Ko Unki Hume Bandagi Mili


Lillah Na Jayie Mujh Ko Yu Tanha Chor Ker
Kuch Der Ke Liye Mujhe Dil Bustagi Mili


Kaise Karu Bayaan Ai ‘Sam’ Afsana Hijr Ka
Jo Mil Gaye Hai Wo To Mujhe Her ‘Khushi’ Mili

milaate rehte hain



Thapakk thapakk ke jinhe hum sulaate rehte hain,
Woh khawb hum ko hamesha jagaate rehte hain,

Umeeden jaagti rehti hain soti rehti hain,
Dareeche shamaa jalaate bujhaate rehte hain,

Na jaane kis ka humen intezar rehta hai,
Ke baam-o-dar ko hamesha sajaate rehte hain,

Kisi ko dhoondte hain hum kisi ke paikar main,
Kisi ka chehra kisi se milaate rehte hain,

Woh naqsh-e-khawb mukammal kabhi nahin hota,
Tamaam umar jise hum banaate rehte hain,

Usi ka akss har ik rang main jhalakta hai,
Woh ek dard jis sab chupaate rehte hain,

Hamen khabar hai kabhi lat kar na ayen ge,
Gaye dinon ko magar hum bulaate rehte hain,

Yeh khel sirf tumhin khelte nahin ‘alam‘,
Sabhi khalaa main lakeeren banaate rehte hain..

qayamton k darmiyaa



Gulon si guftguu karen qayaamton ke darmiyaan,
Hum aese log ab milen hikaayaton ke darmiyaan,

Lahuu-lahaan ungliyaan hain aur chup kharri hun main,
Gul o samaan ki bepanaah chaahton ke darmiyaan,

Hatheliyon ki ott hi chiraagh le chalun abhi,
Abhi sehar ka zikr hai riwaayaton ke darmiyaan,

Jo dil mei thi nigaah si nigaah mei kiran si thi,
Woh daastaan ulajh gayi wazaahton ke darmiyaan,

Sahiifa-e-hayaat mei jahan jahan likhi gayii,
Likhi gayii hadees-e-jaan jaraahton ke darmiyaan,

Koi nagar koi galii shajjar ki chaaon hi sahi,
Yeh zindagi na katt sake musaafaton ke darmiyaan,

Ab uss ke haal-o-hadh ka rang mujh se puuchna abass,
Nigaah jhappak jhappak gayi iraadaton ke darmiyaan,

Sabaa ka hath thaam kar “adaa” na chal sako gi tum,
Tamaam umr khawb khaawb sa'aton ke darmiyaan..

Ganwayi zindagi main ne



Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne,
Woh kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne,

Tera khayal to hai pr tera wajood nahin,
Tere liye to yeh mehfil sajaayi main ne,

Tere adam ko gavaara na tha wajood mera,
So apni bekh-kanni main kammi na ki main ne,

Hai meri zaat se mansuub sadd-fasaaana-e-ishqq,
Aur ek satar bhi ab tak nahin likhi main ne,

Khud apne ishvaa-o-andaaz ka shahid hoon main,
Khud apni zaat se barti hai be-rukhi main ne,

Mere hareef meri yakka-taziyon pe nisaar,
Tamaam umar haleefon se jangg ki main ne,

Kharashh-e-naghmaa se seena chhila hua hai mera,
Fughaan ki tark na ki naghma-parvari main ne,

Davaa se fayeda maqsuud tha hi kab ke faqat,
Davaa ke shauq main sehat tabaah ki main ne,

Zabaana-zan tha jigarr-sozz tishnagi ka azaab,
So jauf-e-seena mein unddail li main ne,

Suruur-e-maii pe bhi ghalib raha shaoor mera,
Ki har riyayet-e-ghamm zehn main rakhi main ne,

Gham-e-shaoor koi damm to mujh ko mohlat de,
Tamaam umar jalaya hai apna jee main ne,

Ilaaj yeh hai ke majboor kar diya jaaon,
Wagarna yuun to kisi ki nahin suni main ne,

Raha main shahid-e-tanha nashin-e-masnad-e-gham,
Aur apne karb-e-anaa se gharazz rakhi main ne..

January 24, 2017

Samajh Main Nahi Aata



Kabhi Zameen Kabhi Aasman Samjh Main Nahi Aata
Is Dil Ka Thikana Bhi Samjh Main Nahi Aata

Meri Aankhein Uski Yaadon Ke Charag To Nahi
Kyun Aaye Bus Wo Hi Nazer Samajh Main Nahi Aata.

Chahe Anchahe Mai Use Yaad Kiya Karta Hun
Ye Lat Hai Ya Aadat Samajh Main Nahi Aata.

Kamabakhat Aashiqi Ne Jeena Haram Ker Diya
Use Bhuloo Ya Apni Jaan Dun Samajh Mein Nahi Aata.

Is Taraf Mera Gher Hai Us Taraf Uska Gher
Idher Jaun Ya Udher Samajh Main Nahi Aata.

Pagal Sa Banke Reh Gaya Kuchh Soch Sochker
Pehle Hasun Ya Roun Samajh Mein Nahi Aata.

Lifafa Fat Chuka Majmoon Bhi Kafi Purana Ho Gaya
Use Dun Ya Khat Jala Dun Samajh Mein Nahi Aata.

Uski Wafa Pe Ab Mujhe Shaq Hone Laga Hai
Use Yaar Kahun Ya Gaddar Samajh Mein Nahi Aata.

Raqeebon Ke Sath Baithe Hain Ajeej-O-Mohatrim
Kaise Karun Salam Samajh Mein Anhi Aata.

Samjhale Dil Ko Mastghan Kuchh Aur Na Samajh
Phir Khud Samajh Jayega Jo Samajh Main Nahi Aata.

January 23, 2017

phir jan-e-janaan ho gaye



Rafta-rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye,
Pehle jaan, phir jaan-e-jaan phir jan-e-janaan ho gaye,

Din-badin barhti gayin is husn ki raanaaiyan,
Pehle gul, phir gulbadan, phir gulbadamaan ho gaye,

Ap to nazdeek se nazdeektar aatay gaye,
Phir dil, phir dilruba, phir dil ke mehmaan ho gaye,

Pyar jab hadh se barrha saray takalluf mitt gaye,
Ap se phir tum huye, phir tuu ka unwaan ho gaye..

January 18, 2017

Dil Dukhati rahi raat bhar



Aap ki yaad aati rahi raat bhar,
Chandni dil dukhaati rahi raat bhar,

Gaah jalti hui gaah bujhti hui,
Sham-e-ghamm jhilmilaati rahi raat bhar,

Koi khushbu badalti rahi pairahann,
Koi tasveer gaati rahi raat bhar,

Phir sabaa saya-e-shakh-e-gul ke talay,
Koi qissa sunaati rahi raat bhar,

Jo na aaya usay koi zanjeer-e-dar,
Har sadaa par bulaati rahi raat bhar,

Ek umeed se dil behelta raha,
Ik tamanna sataati rahi raat bhar..

Agar tu nahi qaatil



Karke jafaa wo puchte hai haal hai kaisa,
Andaaz ye kaisa hai ye sawaal hai kaisa…

Wo tere kabhi they hi nahi unka tu na tha,
Unke yun ruth jaanese malaal hai kaisa,

Har baat bata deti hai khamoshi se mujhko,
Aankho me mere yaar ki kamaal hai kaisa,

Sholay jo uth rahe hai bagawat ke aajkal,
Hai koi kisi ka nahi ye saal hai kaisa,

Agar tu nahi qaatil to sharik-E-gunaah to hai,
Tu itna bata chehra tera laal hai kaisa,

Murdey ki akarr deta hai zindon ko kayi baar,
Karta hai amiron ko aseer ye maal hai kaisa,

Me to shikaar unke khayalon ka hun ‘Anees’,
Wajood me unke nihaan ye jaal hai kaisa,

January 16, 2017

Tamaam umar jale



Tamaam umar jale aur raushni nahin ki,
Yeh zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ki,

Sitam to yeh hai ke mere khilaaf bolte hain,
Woh log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki,

Jo dil main aata geya sidq-e-dill se likhta geya,
Duaayen maangi hain main ne to shayari nahin ki,

Bass itna hai ke mera bakht dhal geya aur phir,
Mere charaagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki,

Meri sipaah se duniya larazne lagi hai,
Magar tumhari to main ne baraabri nahin ki,

Kuch is liye bhi akela sa ho geya hoon nadeem,
Sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki..


#maahyraja

January 4, 2017

mohabbat nahin rahi



Aesa nahin ke un se mohabbat nahin rahi,
Jazbaat main woh pehli si shiddat nahin rahi,

Sar main woh intezaar ka saudaa nahin raha,
Dil pr woh dharkanon ki hakoomat nahin rahi,

Kamzori-e-nigaaah ne sanjeeda kar diya,
Jalvon se cherr-chaarr ki aadat nahin rahi,

Chehre ko jhuriyon ne bhayaanak bana diya,
Aayina dekhne ki bhi himmat nahin rahi,

Allah jaane maut kahan mar gayi khumar,
Ab mujh ko zindagi ki zaroorat nahin rahi..