March 28, 2017

Aur Badhati hai.....!!



Safar main mushkalen aayen to Jurrat aur badhati hai,
Koi jab raasta rokay to himmat aur badhti hai !

Meri kamzoriyon par jab koi tankeed karta hai,
Wo dushman kyu na ho usse mohabbat aur badhti hai !

Zaroorat me azizon ke agar kuchh kaam aajao,
Rakam bhi doob jati hai adawat aur badhati hai !

Tera masoom sa chehra chhupa loon aankh me kaatil,
Nazar mujhko na tu aaye, to dhadkan aur badhti hai !

Agar bikane pe a jao to ghat jate hain daam aksar,
Na bikane ka irada ho to keemat aur badhti hai !

March 9, 2017

ilzaam hi to hai



Hum pr tumhari chaah ka ilzaam hi to hai,
Dushnaam to nahin hai yeh ikraam hi to hai,

Karte hain jis pe taan koi jurm to nahin,
Shauq-e-fazool o ulfat-e-nakaam hi to hai,

Dil muddayi ke harf-e-malamat se shaad hai,
Ae jan-e-jan yeh harf tera naam hi to hai,

Dil naaUmeed to nahin nakaam hi to hai,
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai,

Dast-e-falak main gardish-e-taqdeer to nahin,
Dast-e-falak main gardish-e-ayaam hi to hai,

Akhir to ek roz karegi nazar wafa,
Woh yar-e-khush-khisal sar-e-baam hi to hai,

Bheegi hai raat faiz ghazal ibtidaa karo,
Waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai..