May 26, 2019

Teergi main subh ki

Teergi main subh ki tanveer ban jayen ge hum,
Khawb tum dekho ge aur tabeer ban jayen ge hum,

Ab ke yeh socha hai gar azaad tum ne kar diya,
Khud hi apne paaon ki zanjeer ban jayen ge hum,

Aansuon se likh rahe hain bebasi ki dastan,
Lag raha hai dard ki tasveer ban jayen ge hum,

Likh na paye jo kisi ki neem-baaz ankhon ka raaz,
Woh yeh vaada kar rahe hain, meer ban jayen ge hum,

Gar yun hi badhta raha shughal-e-mai-kashi,
Ek din is mai-kade ke peer ban jayen ge hum,

Us ne bhi auron ke jaise kiya hum se salook,
Jo yeh kehta tha teri taqdeer ban jayen ge hum..

May 21, 2019

Apne hunar ki dhaak

Apne hunar ki dhaak bithane main dair ki,
Jo dekhte rahe woh dikhane main dair ki,

Woh bhi qabooliyat ki ghadi dhoondta raha,
Maine bhi apne haath uthane main dair ki,

Kis ko khabar hai us ki sehar kis jahan main ho,
Jungle main jis ne aag jalane main dair ki,

Mumkin hai ab ki baar woh bach kar na ja saken,
Choron ne mil kar shor machane main dair ki,

Ik baat thi jo waqt pe main keh nahin saka,
Ik khawab tha jo maine sunane main dair ki,

Tamoor main ne us ko gale se laga liya,
Jis ne bhi mujh se hath milane main dair ki..

May 7, 2019

Jism ke is khanddar

Jism ke is khanddar ki tanhai,
Aur yeh raat bhar ki tanhai,

Aik tasveer bhi nahin ghar main,
Uff yeh deewar-o-dar ki tanhai,

Koi aahatT na koi saaya hai,
Har qadam hai safar ki tanhai,

Aik aalam ki hai samete huye,
Meri fikr-o-nazar ki tanhai,

Meri sanson main bass gayi jaise,
Jan-o-dil ki jigar ki tanhai,

Dekhta hai suraj nikal ke roz,
Yeh mere baam-o-dar ki tanhai,

Raat din rote hain dar-o-deewar,
Kha gayi mujh ko ghar ki tanhai,

Zindagi ke safar main ae arpit,
Dekh li darbadar ki tanhai..