July 31, 2016

wafaa nahin karta



Aayina ab juda nahin karta,
Qaid main hoon rihaa nahin karta,

Mustaqil sabr main hai koh-e-giraan,
Naqsh-e-ibrat sadaa nahin karta,

Rang-e-mehfil badalta rehta hai,
Rang koi wafaa nahin karta,

Aish-e-duniya ki justjuu mat kar,
Yeh dafeena mila nahin karta,

Jee main aaye jo kar guzarta hai,
Tu kisi ka kahaa nahin karta,

Ek waaris hamesha hota hai,
Takht khaali raha nahin karta,

Ehd-e-insaaf aa raha hai munir,
Zulm daaayem raha nahin karta..

pukara hum ne



Zulmat-e-shab ko sitaaron se sanwaara hum ne,
Kitni raton ko tujhe uthe ke pukara hum ne,

Jab kabhi hath se umeed ka daaman choota,
Le liya aap ke daaman ka sahara hum ne,

Yoon to dunya bhi mukhaalif hai hamari warna,
Rukh badaltey huye dekha hai tumhara hum ne,

Hum zamaney se bhi takraa gaye teri khaatir,
Jo na karna tha kiya woh bhi ganwaara hum ne,

Ae Taqi, Gham nahin yeh jaan rahe ya na rahe,
Paa liya un nighaaon ka ishaara hum ne..

July 27, 2016

dagha na de



Mere hum-nafass mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de,
Main hoon dard-e-ishq se jaan ba-lab mujhe zindagi ki dua na de,

Main gham-e-jahan se nidhaal hoon ke saraapa huzn-o-malaal hoon,
Jo likhe hain mere naseeb main, woh alam kisi ko khuda na de,

Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastaan meri daastan,
Main khayal o veham se door hoon, Mujhe aj koi sadaa na de,

Mere ghar se door hain raahaten, mujhe dhoondti hain museebten,
Mujhe khauf yeh ke mera pata koi gardashon ko bataa na de,

Mujhe chorr de mere haal pr, tera kya bharosa ae chaaragar,
Yeh teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard aur barrhaa na de,

Mera azam itna buland hai ke paraaye sholon ka ddar nahin,
Mujhe khauf aatish-e-gul se hai kahin yeh chaman ko jalaa na de,

Dar-e-yaar pe barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hujoom hai,
Abhi neend aani hai husn ko, koi shor kar ke jagaa na de,

Mere daagh-e-dil se hai roshni, yehi roshni meri zindagi,
Mujhe dar hai ae mere chaaragar, yeh chiraagh tu hi bhujaa na de,

Woh uthe hain le ke khum-o-subuu, aray ae shakeel kahan hai tu,
Tera jaam lene ko bazm main, koi aur hath barrha na de..

dharkan ki tarah



Ankh barsi hai tere naam pe sawan ki tarah,
Jism sulga hai teri yaad main endhan ki tarah,

Loriyan di hain kisi qurb ki khwahish ne mujhe,
Kuch jawani ke bhi din guzre hain bachpan ki tarah,

Is bulandi se mujhe tu ne navaza kyun tha,
Gir ke main toot geya kaanch ke bartan ki tarah,

Mujh se milte huye yeh baat to sochi hoti,
Main tere dil main samaa jaaon ga dharkan ki tarah,

Muntazir hai kisi makhsoos si aahat ke liye,
Zindagi bethi hai dehleez pr birhan ki tarah..

July 8, 2016

zeyada barri hoon




Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon,
Mein teri mohabbat ki aesi gharri hoon,

Tere hath mein thi mohabbat ki gurriya,
Jahan pe rakha tha waheen pe parri hoon,

Tujhe bhool janey ka socha tha lekin,
Barri dair tak aaj khud se larri hoon,

Tere sang barish mein chhatri ke neechey,
Mujhe yoon laga jese mein bhi jharri hoon,

Teri zaat se mein bhi mansoob ho kar,
Atoot ang hoon zindagi ki karri hoon,

Mera bachpna-pan hai mohabbat mein shamil,
Mohabbat mein qadd se zeyada barri hoon..

Mujhe woh pyar karta tha



Meri aankhon pe marta tha,
Meri baaton pe hansta tha,
Na jaane shakhs tha kaisa,
Mujhe khone se darta tha,

Mujhe jab bhi woh milta tha,
Yehi har baar kehta tha,

Suno!

Agar main bhool jaon to,
Agar main rooth jaon to,
Kabhi waapis na aaon to,
Bhulaa pao ge yeh sab kuchh,
Yunhi hastey raho gaye kya,
Yunhi sajtey raho gaye kya,

Yehi batain hain bas uski,
Yehi yadein hain bas uski,
Mujhe bas hai pataa itna,
Mujhe woh pyar karta tha,
Mujhe woh pyar karta tha..

I REALLY LOVE YOU

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai



Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hon,

Aur Apne Aankh Se Ojhal Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?

Jab Dil Mein Basne Waale Bhi,
Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,
Jab Door Khahin Wo Bastay Hon,
Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Ghum Ki Raat Andhairi Ho,
Aur Us Mein Yaad Bhi TERI Ho,
Na Dil Mein Koi Ujala Ho,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Phir Neend bhala kab ati hai….

July 1, 2016

baso meri aankhon



kuchh din to baso meri aankhon main
phir Khwaab agar ho jaao to kyaa

koi rang to do mere chehare ko
phir zakham agar mahakaao to kyaa

ik aainaa tha so Toot gayaa
ab Khud se agar sharmaao to kyaa

main tanhaa tha main tanhaa hoon
tum aao to kyaa na aao to kyaa

jab ham hii na mahake phir saahib
tum baad-e-sabaa kahalaao to kyaa

jab dekhane waalaa koi nahin
bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa

ik sazaa aur



ik sazaa aur aseeroN ko sunaa dii jaaye
yaanii ab jurm-e-aseerii kii sazaa dii jaaye

us kii Khwaahish hai ke ab na royeN na haNsen
behisii waqt kii aawaaz banaa dii jaaye

dasht-e-naa_deedaa kii tahaqeeq zaroorii hai magar
pahale jo aag lagii hai wo bujhaa dii jaaye

sirf jalanaa hii nahiiN ham ko bhaRakanaa bhii to hai
ishq kii aag ko laazim hai hawaa dii jaaye

sirf sooraj kaa nikalanaa hai subah to phir
ek shab aur mere shab se milaa dii jaaye

aur ik taazaa sitam us ne kiyaa hai iijaad
us ko is baar zaraa khul ke duaa dii jaaye