March 25, 2020

Kahaan Guzri Hai

Garche sau baar hijar se jaan guzri hai,
Phir bhi jo dil pe guzari hai, kahan guzri hai,

Ap thehre hain to thehra hai nizam-e-aalam,
Ap guzre hain to ik mauj-e-rawan guzri hai,

Hosh main aye to batlaye tera deewana,
Din guzaara hai kahan, raat kahan guzri hai,

Aese lamhe bhi guzare hain teri furqat main,
Jab teri yaad bhi dil pe giraan guzri hai,

Hashar ke baad bhi deewane tere poochte hain,
Woh qayamat jo guzarni thi kahan guzri hai,

Zindagi Saif ke liye qaafila armaanon ka,
Maut ki raat se benaam-o-nishan guzri hai..

March 19, 2020

Insha ji utho ab

Insha ji utho ab koooch karo is sheher main jee ko lagana kya,
Wehshi ko sukoon se kya matlab jogi ka nagar main thikaana kya,

Is dil ke dareeda daaman ko dekho to sahi socho to sahi,
Jis jholli main sau chhaid huye us jholli ka phailaana kya,

Shabb-beeti chaand bhi doob chala zanjeer parri darwaaze main,
Kyun dair gaye ghar aaye ho sajni se karo ge bahaana kya,

Phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yehi ek gharri,
Jo dil main hai labb par aanay do sharmaana kya ghabraana kya,

Us roz jo un ko dekha hai ab khawb ka aalam lagta hai,
Us roz jo un se baat hui woh baat bhi thi afsaana kya,

Us hussn ke sache moti ko hum dekh saken par chhuu na saken,
Jisse dekh saken par chhuu na saken woh daulat kya woh khazaana kya,

Jab sheher ke log na rasta dain kyun ban main na ja bisraam kare,
Deewaanon ki si na baat kare to aur kare deewana kya..

March 7, 2020

Dil Bujha Bujha Hai

Ab dil bujha bujha hai mujhe maar dijiye,
Jeene main kya rakha hai mujhe maar dijiye,

Dil ke maraz ka ab nahin duniya main kuch ilaaj,
Yeh ishq-e-la-davaa hai mujhe maar dijiye,

Main be-gunaah hoon to phir yehi hai meri saza,
Yeh faisla hua hai mujhe maar dijiye,

Darta hoon aayine ko lagane se hath main,
Kehta yeh aayina hai mujhe maar dijiye,

Main hoon wafa-shiar yahan jee ke kya karoon,
Yeh daur-e-bewafa hai mujhe maar dijiye,

Tanhayion ki qaid se ghabra ke aik shakhs,
Awaz de raha hai mujhe maar dijiye,

Ek baat josh josh main sach keh gaya hoon main,
Tum ko bura laga hai maar dijiye mujhe,

Tanhayi meri us se bhi dekhi nahin gayi,
Us ne bhi yeh kaha hai maar dijiye mujhe,

Rashk-e-chaman bana hai yeh arpit mera wajood,
Khushbu ko chhu liya hai mujhe maar dijiye..