December 25, 2017

Chaand Se Phool Se

Chaand Se Phool Se Yaa Meri Zubaan Se Suniye
Har Taraf Aap Kaa Qisaa Jahaan Se Suniye

Sab Ko Aataa Hai Duniya Ko Sataa Kar Jina
Zindagi Kya Muhabbat Ki Duaa Se Suniye

Meri Aawaaz hai Parda Mere Chehre Ka
Main Hun Khamosh Jahan Mujhko Wahan Se Suniye

Kya Zaroori Hai Ki Har Parda Uthaayaa Jaaye
Mere Haalaat Apne Apne Makaan Se Suniye

December 18, 2017

Tarapte hain na roote hain

Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain,
Sanam ki yaad me har dam khuda ko yaad karte hain,

Unhin ke ishq me hum naala-o-faryaad karte hain,
Elaahi dekhiye kis din hame wo yaad karte hain...

Shab-e-faraaq me kia kia saanp lehraate hain seene pe,
Tumhari kakul-e-peechan ko jab hum yaad karte hain...

December 9, 2017

Main Soi Jo Ik Shab

Main Soi Jo Ik Shab To Dekha Yeh Khwaab
Badha Aur Jiss Se Meraa Izteraab

Yeh Dekha Ke Main Jaa Rahi Hoon Kahin
Andhera Hai Aur Raah Milti Nahin

Laraztaa Tha Dar Se Mera Baal Baal
Qadam Ka Tha Dehshat Se Utthna Muhaal

Jo Kuch Hausla Paa Ke Aage Badhi
To Dekha Qataar Aik Ladkon Ki Thi

Zamarrud Si Poshaak Pehne Huay
Diye Sub Ke Haathon Mein Jalte Huay

Woh Chup-Chaap The Aage Peeche Rawaan
Khuda Jaane Jaana Tha Unn Ko Kahaan

Issi Soch Mein Thi Ke Mera Pisar
Mujhe Iss Jama'at Mein Aaya Nazar

Woh Peechhe Tha Aur Tez Chalta Na Thaa
Diya Uss Ke Haathon Mein Jalta Na Thaa

Kaha Main Ne Pehchaan Kar Meri Jaan
Mujhe Chhorh Kar Aa Gaye Tum Kahaan

Judaai Mein Rehti Hoon Main Be-Qaraar
Piroti Hoon Main Roz Ashkon Ke Haar

Na Parwah Hamaari Zara Tum Ne Ki
Gaye Chhorh, Achchi Wafa Tum Ne Ki

Jo Bachche Ne Dekha Mera Pech-O-Taab
Diya Uss Ne Moonh Pher Kar Yun Jawaab

Rulaati Hai Tujh Ko Judaai Meri
Nahin Iss Mein Kuch Bhi Bhalaai Meri

Yeh Keh Kar Woh Kuch Der Tak Chup Rahaa
Diyaa Phir Dikhaa Kar Yeh Kehne Laggaa

Samjhti Hai Tu Ho Gayaa Kyaa Isse
Tere Aansuon Ne Bujhaayaa Isse

December 5, 2017

Khyalon Mein Wohi

Khyalon Mein Wohi, Sapno Mein Wahi,
Lekin Unki Yaadon Mein Hum The Hi Nahi,

Hum Jaagte Rahe Duniya Soti Rahi,
Ek Baarish Hi Thi, Jo Humare Sath Roti Rahi

December 1, 2017

Phoolon Ki Tahniyon

Phoolon Ki Tahniyon Pe Nasheman Banaayiye
Bijli Gire To Jashn-E-Charaghaan Manaayiye

Kaliyon Ke Ang Ang Mein Meetha Saa Dard Hai
Beemaar Nikhaton Ko Zara Gudgudaayiye

Kab Se Sulag Rahi Hai Javaani Ki Garm Raat
Zulfen Bikher Kar Mere Pahloo Men Aaiyeye

Bahki Hui Siyaah Ghataaon Ke Saath Saath
Jee Chaahta Hai Shaam-E-Abad Tak To Jaaiye

Sun Kar Jise Havaas Mein Thandhak Si Aa Base
Aisi Koi Udaaaaaaaaaaaaaas Kahaani Sunaayiye

Raste Pe Har Qadam Pe Kharaabaat Hain "Adam"
Ye Haal Ho To Kis Tarah Daaman Bachaaiye