June 28, 2016

Khawab Sajaye Bethi




Ik Aas Lagaye Bethi Hoon Ik Khawab Sajaye Bethi Hoon
Logon Se Chupa Kar Seene Main Ik Dard Dabaye Bethi Hoon


Kesa Ye Khauf Hai Jevan Main Anjana Sa Unchaha Sa
Janne Ki Khuwahish Main Darbar Lagaye Bethi Hoon


Jo Hona Hai Wo Hoga Hi Jo Darj Hai Taqdeeron Main
Phir Kion Khood Pe Mayoosi Ki Gard Jamaye Bethi Hoon


Bekali Hai Her Dharrkan Main Kion Ansu Hain In Ankhon Main
Kion Bin Barsaati Nadi Ke Sailaab Bahaaye
Bethi Hoon

Chup Rahe Koi



Seena Dehak Reha Hai Toh Kya Chup Rahe Koi,
Kyon Cheekh Cheekh Kar Na Gala Chheel Le Koi..

Sabu Hua Sukoon-e Dil-o Jaan Kahin Nahi,
Rishton Mein Dhoondta Hai Toh Dhundha Kare Koi..

Tark-e Talluqaat to Koi Maslaa Nahi,
Ye Toh Woh Raasta Hai Ki Bas Chal Pade Koi..

Deewaar Jaanta Tha Jise Main Woh Dhool Thi,
Ab Mujh Ko Aitamaad Ki Daawat Na De koi..

Main Khud Ye Chahta Hun Ki Halaat Hon Kharab,
Mere Khilaaf Zehar Ugalta Phirey Koi.. 


Aye Shakhs Ab Toh Mujh Ko Sabhi Kuchh Hai Qabool,
Ye Bhi Qabool Hai Ki Tujhe Chheen Le Koi.. 

Haan Theek Hai Main Apni Ana Ka Mareez Hun,
Aakhir Mere Mizaaj Mein Kyon Dakhal De Koi.. 

Ek Shakhs Kar Reha Hai Abhi Tak Wafa Ka Zikar,
Kaash Iss Zubaan-Daraaz Ka Munh Noch Le Koi …

adat usey bhi thi



Zikr-e shab-e firaaq se wehashat usey bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usey bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka
Rastaa badal ke chalane ki aadat usey bhi thi

Uss raat der tak woh raha mahv-e guftagu
Masroof main bhi kam tha faraagat usey bhi thi

Sunta tha woh bhi sab se puraani kahaaniyan
Taaza rafaaqaton ki zarurat usey bhi thi

Mujhse bichhad ke shehr mein ghul-mil gaya wo shakhs
Haalanki shehar bhar se raqabat usey bhi thi

Woh mujh se badh ke zabt ka aadii tha jee gaya
Warna har ek saans qayaamat usey bhi thi …


#maahyraja

June 23, 2016

bura na lage



Tumhare sheher ka mausam bada suhaana lage,
Main ik shaam chura loon agar bura na lage,

Tumhare bas main agar ho to bhool jao humen,
Tumhen bhulaane main shayed mujhe zamaana lage,

Hamare pyar se jalne lagi hai ik duniya,
Dua karo kisi dushman ki baduaa na lage,

Na jane kya hai us ki be-baak ankhon main,
Woh mu chupaa ke jaye bhi to bewafa na lage,

Jo doobna hai to itne sakoon se doobo,
Ke aas paas ki lehron ko bhi pata na lage,

Ho jis ada se mere sath bewafayi kar,
Ke tere baad mujhe koi bewafa na lage,

Woh phool jo mere daaman se ho geya mansoob,
Khuda kare usay bazaar ki hawa na lage,

Tum aankh muund ke pee jao zindagi QAISER,
K ek ghoont main shayed yeh bd-maza na lage..

June 22, 2016

dagha na de (Best)



Mere hum-nafass mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de,
Main hoon dard-e-ishq se jaan ba-lab mujhe zindagi ki dua na de,

Main gham-e-jahan se nidhaal hoon ke saraapa huzn-o-malaal hoon,
Jo likhe hain mere naseeb main, woh alam kisi ko khuda na de,

Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastaan meri daastan,
Main khayal o veham se door hoon, Mujhe aj koi sadaa na de,

Mere ghar se door hain raahaten, mujhe dhoondti hain museebten,
Mujhe khauf yeh ke mera pata koi gardashon ko bataa na de,

Mujhe chorr de mere haal pr, tera kya bharosa ae chaaragar,
Yeh teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard aur barrhaa na de,

Mera azam itna buland hai ke paraaye sholon ka ddar nahin,
Mujhe khauf aatish-e-gul se hai kahin yeh chaman ko jalaa na de,

Dar-e-yaar pe barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hujoom hai,
Abhi neend aani hai husn ko, koi shor kar ke jagaa na de,

Mere daagh-e-dil se hai roshni, yehi roshni meri zindagi,
Mujhe dar hai ae mere chaaragar, yeh chiraagh tu hi bhujaa na de,

Woh uthe hain le ke khum-o-subuu, aray ae shakeel kahan hai tu,
Tera jaam lene ko bazm main, koi aur hath barrha na de..

Tadpaya Na Hota



Pa Hi Jaate Kinara Jo Uljhaya Na Hota
Humko Aor Khud Ko Tadpaya Na Hota

Mila Kaya Tuje Yeh Tu Aur Tera Rabb Hi Jaane
Insaan Ki Hasti Ko Najro Se Giraya Na Hota

Karu Kis Per Bharosa Tere Jaane Ke Baad
Kash Mujko Kabhi TujhPe Payaar Aya Na Hota

June 21, 2016

benam sa ye dard



benaam saa ye dard Thahar kyooN nahiiN jaataa
jo beet gayaa hai wo guzar kyooN nahiiN jaataa

sab kuchh to hai kyaa DhooNDhatii rahatii haiN nigaaheN
kyaa baat hai maiN waqt pe ghar kyooN nahiiN jaataa

wo ek hii cheharaa to nahiiN saare jahaaN meN
jo door hai wo dil se utar kyooN nahiiN jaataa

maiN apanii hii ulajhii huii raahoN kaa tamaashaa
jaate haiN jidhar sab maiN udhar kyooN nahiiN jaataa

wo naam jo barasoN se na cheharaa na badan hai
wo Khwaab agar hai to bikhar kyooN nahiiN jaataa

ik sazaa aur



ik sazaa aur aseeroN ko sunaa dii jaaye
yaanii ab jurm-e-aseerii kii sazaa dii jaaye

us kii Khwaahish hai ke ab na royeN na haNsen
behisii waqt kii aawaaz banaa dii jaaye

dasht-e-naa_deedaa kii tahaqeeq zaroorii hai magar
pahale jo aag lagii hai wo bujhaa dii jaaye

sirf jalana hi nahin hamko bhadkaana bhi to hai
ishq kii aag ko laazim hai hawaa dii jaaye

sirf sooraj kaa nikalanaa hai subah to phir
ek shab aur mere shab se milaa dii jaaye

aur ik taazaa sitam us ne kiyaa hai iijaad
us ko is baar zaraa khul ke duaa dii jaaye

June 20, 2016

Kisi Patthar Numa Dil



Kisi Patthar Numa Dil Pe Bhi Dastak Ho Hi Jati Hai,
Ki Hasrat Jaag Jane Par Karamaat Ho Hi Jati Hai.

Kisi Anjaan Chehre Se Kisi Pur-Lutf Lamhe Mein,
Jo Karna Na Bhi Chaho Toh Mohabbat Ho Hi Jati Hai.

Kisi Khamosh Chehre Se Musalsal Ashk Behne Par,
Chhupana Bhi Agar Chaho Wazahat Ho Hi Jati Hai.

Kisi Ke Door Jane Par Umeedein Toot Jane Se,
Wafa Mein Rogg Milne Ki Shikayat Ho Hi Jati Hai.

Ye Tum Ne Bhi Suna Hoga Zamana Aise Kehta Hai,
Ki Jab Bhi Ishq Hota Hai Baghawat Ho Hi Jati Hai.

Na khushi rahi



Na khushi rahi na hi ghum raha,
mere jism mein main dafan raha.

Koi mil gaya toh ye shaq hua,
woh mila bhi tha ye bharam raha.

Na woh justju na woh guftgu,
na hi soch mein koi dum raha.

Usey ishq hai meri zaat se,
mujhe umar bhar ye bharam raha.

Mujhe cheekhne ko keha gaya,
mera lehja phir bhi naram raha.

June 15, 2016

simat aane wala



Dost ban kar bhi nahin saath nibhaane wala,
wahi andaaz hai zaalim ka zamane wala.

Ab usey log samajhte hain giraftaar mera,
sakht naadim hai mujhe daam mein laane wala.

Subah-dam chhod gaya nikhat-e gul ki soorat,
raat ko ghuncha-e dil mein simat aane wala.

Kya kahein kitne maraasim the humare uss se,
woh jo ek shakhs hai munh pher ke jaane wala.

Tere hote hue aa jaati thi sari duniya,
aaj tanha hun toh koi nahin aane wala.

Muntazir kis ka hun tooti hui dehleej pe main,
kaun aayega yahan, kaun hai aane wala.

Kya khabar thi jo meri jaan mein ghulaa hai itna,
hai wahi mujh ko sar-e daar bhi laane wala.

Maine dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte,
hai koi khwaab ki tabeer batane wala?

Tum takalluf ko bhi ikhlaas samjhte ho ‘faraz
dost hota nahin har haath milaane wala.

June 14, 2016

Khushbu jaise log



Khushbu jaise log mile afsaane mein,
ek purana khat khola anjaane mein.

Shaam ke saaye baalishton se naape hain,
chaand ne kitni der laga di aane mein.

Raat guzrte shaayad thoda waqt lage,
dhoop undelo thodi si paimaane mein.

Jaane kis ka zikar hai iss afsaane mein,
dard maze leta hai jo dohraane mein.

Dil par dastak dene kaun aa nikla hai,
kis ki aahat sunta hun veerane mein.

Hum iss mod se uth kar agle mod chale,
un ko shayad umar lagegi aane mein.

June 13, 2016

safaai na de



Khuda hum ko aisi khudaai na de,
ki apne siwa kuchh dikhaai na de.

Khatawaar samjhegi duniya tujhe,
ab itni bhi zyada safaai na de.

Hanso aaj itna ki iss shor mein
sada siskiyon ki sunaai na de.

Ghulaami ko barkat samajhne lagen,
aseeron ko aisi rihaai na de.

Khuda aise ehsaas ka naam hai,
rahe saamne aur dikhaai na de.

raat soye bhi



Mujhe bhulaaye kabhi yaad kar ke roye bhi,
woh apne aap ko bikhraaye aur piroye bhi.

Bahut gubaar bhara tha dilon mein dono ke,
magar woh ek hi bistar pe raat soye bhi.

Bahut dinon se nahaaye nahin hain aangan mein,
kabhi toh raah ki baarish humein bhigoye bhi.

Ye tum se kis ne keha raat se main darta hun,
zaroor aaye mere baazuon mein soye bhi.

Wo nojawan to jawaani ki neend mein gum tha,
bahut pukaara, jhinjhoda, lipat ke roye bhi.

Yaqeen jaaniye ehsaas tak na hoga humein,
nasson mein suiyaan koi agar chubhoye bhi.

June 10, 2016

chand ko takna



Akele chand ko takna toh mujh ko yaad kar lena,
Kisi bhi baat pe hansna toh mujh ko yaad kar lena

Bahut se kaam aise hain jinhe karna zarori hai,
Zaroori kaam ko karna toh mujh ko yaad kar lena

Mohabbat woh haqeqat hai jise badla na jayega,
Kitaab-e ishq ko padhna toh mujh ko yaad kar lena

Mere pyar ki khushboo tumhe kaaghaz se aayegi,
Ksi ko shair jo likhna toh mujh ko yaad kar lena …

noor aa jata hai



Chehre pe khushi chha jati hai aankhon mein saroor aa jata hai,
jab tum mujhe apna kehte ho apne pe gharoor aa jata hai.

Tum husn ki khud ek duniya ho shayad ye tumhen maloom nahin,
mehfil mein tumhare aane se har cheez pe noor aa jata hai.

Jab tum se muhabbat ki hum ne tab ja ke kahin ye raaz khula,
marne ka saleeqa aate hi jeene ka shaoor aa jata hai....

June 9, 2016

Mohabbat Ke Sanche




Mohabbat Ke Sanche Mein Dhalta Raha
Ishare Pe Mein Dil Ke Chalta Raha


Badi Kaam Aayi Lagan Ishq Mein
Main Gir Gir Ke Khud Hi Sambhalta Raha


Nigahen Barasti Rahi Raat Bhar
Magar Zakhm-E-Dil Tha Ke Jalta Raha

Whi Ishq Ab Dushman-E-Jaan Hai
Mera Khoon Peekar Jo Palta Raha

Jise Dar Se Duniyan Ke Dafna Diya
Wo Arman Phir Bhi Machalta Raha

Na Milpai Taabeer Lekin Ye Dil
Hnsee’n Khaab Se Hi Behelta Raha

B-Zaahir To Me Ji Gya Ishq Mein
Magar Umr Bhar Dam Nikalta Raha

Wo Sayyad Raqeebon Se Milte Rahe
Main Hasrat Se Haathon Ko Malta Raha

Dasht-e ghurbat hai



Dasht-e ghurbat hai alaalat bhi hai tanhaai bhi,
aur un sab ne fuzoon baadiya-paimaai bhi.

Khwaab-e raahat hai kahaan neend bhi aati nahin ab,
bas uchat jaane ko aayi jo kabhi aayi bhi.

Yaad hai mujh ko woh be-fikri o aaghaaz-e shabaab,
shukhan-aaraai bhi thi anjuman-aaraai bhi.

Nigaah-e-shauq-o-tamanna ki woh dilkash thi kamand,
jis se ho jaate the raam aahoo-e-aaraai bhi.

Hum sanam-khana jahan karte the apna qaayam,
phir khade hote the waan hoor ke shaidaai bhi.

Ab na woh umar na woh log na woh lail-o-nahaar,
bujh gayi taba kabhi josh pe gar aai bhi.

Ab toh shubhe bhi mujhe dev nazar aate hain,
uss zamaane mein pari-zaad thi ruswaai bhi.

Kaam ki baat jo kehni ho woh keh lo ‘akbar
dum mein chhin jaayegi ye taaqat-e-goyaai bhi.

hayaat se



Khairaat sirf itni mili hai hayaat se,
paani ki boond jaise ataa ho furaat se.

Shabnam issi junoon mein azal se hai seena-koob,
khurshid kis maqaam pe milta hai raat se.

Nagaah ishq waqt se aage nikal gaya,
andaaza kar rahi hai khirad waaqeyaat se.

Soo-e-adab na thahre toh dein koi mashwara,
hum mutmain nahin hain teri kaayenaat se.

Aasaan-pasandiyon se ijaazat talab karo,
rasta bhara hua hai ‘adam mushkilaat se.

June 4, 2016

Aalam hi aur tha



Aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha,
jo deep tha nigaah ki parchhaaiyon mein tha.

Woh be-panaah khauf jo tanhaiyon mein tha,
dil ki tamaam anjuman-aaraaiyon mein tha.

Ek lamha-e fusun ne jalaaya tha jo diya,
phir umar bhar khayaal ki raanaaiyon mein tha.

Ek khwaab-guun si dhoop thi zakhmon ki aanch mein,
ek saaebaan sa dard ki purwaaiyon mein tha.

Dil ko bhi ek jaraahat-e dil ne ataa kiya,
ye hausla ki apne tamaashaaiyon mein tha.

kaTta kahan taweel tha raaton ka silsila,
sooraj meri nigaah ki sachchaaiyon mein tha.

Apni gali mein kyon na kisi ko woh mil saka,
jo etimaad baadiya-paimaaiyon mein tha.

Is ahd-e-khud-sipaas ka puchho ho maajra,
masroof aap apni paziraaiyon mein tha.

Us ke huzoor shukr bhi aasaan nahin ada,
woh jo qareeb-e jaan meri tanhaaiyon mein tha.

zara aur..



Ho jaayegi jab tum se shanasaai zara aur,
badh jaayegi shayad meri tanhaai zara aur.

Kyon khul gaye logon pe meri zaat ke asraar,
aey kaash ki hoti meri gehraai zara aur.

Phir haath pe zakhmon ke nishaan gin na sakoge,
ye uljhi hui dor jo suljhaai zara aur.

Tardeed toh kar sakta tha phailegi magar baat,
iss taur bhi hogi teri ruswaai zara aur.

Kyon tark-e-taalluq bhi kiya laut bhi aaya?
achchha tha ki hota jo woh harjaai zara aur.

Hai deep teri yaad ka raushan abhi dil mein,
ye khauf hai lekin jo hawa aayi zara aur.

Ladna wahin dushman se jahan gher sako tum,
jeetoge tabhi hogi jo paspaai zara aur.

Badh jaayenge kuchh aur lahoo bechne waale,
ho jaaye agar shehar mein mehngaai zara aur.

Ek doobti dhadkan ki sadaa log na sun lein,
kuchh der ko bajne do ye shehnaai zara aur...

June 3, 2016

roya karenge



Mil kar juda hue toh na soya karenge hum,
ek doosre ki yaad mein roya karenge hum.

Aansoo chalak chalak ke sataayenge raat bhar,
moti palak palak mein piroyaa karenge hum.

Jab dooriyon ki aag dilon ko jalaayegi
jismon ko chaandni mein bhigoya karenge hum.

Been kar har ek bazm ka mauzu-e-guftugoo,
sheron mein tere ghum ko samoya karenge hum.

Mazbooriyon ke zehar se kar lenge khudkushi,
ye buzdili ka jurm bhi goya karenge hum.

Dil jal raha hai zard shajar dekh dekh kar,
ab chaahton ke beej na boya karenge hum.

Gar de gaya daghaa humen toofaan bhi ‘qateel
saahil pe kashtiyon ko duboya karenge hum.....

aankh milaati hogi



Sochta hoon ke usay neend bhi ati hogi,
Ya meri tarah faqat ashq bahaati hogi,
Woh meri shakal mera naam bhulaane wali,
Apni tasveer se kya aankh milaati hogi,

Iss zameen pr bhi hai sailaab mere ashkon se,
Mere maatam ki sadaa arshh hilaati hogi,

Shaam hote hi woh chokhat pr jalaa kar shamen,
Apni palkon pe kayi khawb sulaati hogi,

Us ne silvaa bhi liye hon ge siyaah rang ke libaas,
Ab moharram ki tarah eid manaati hogi,

Mere tareek zamano se nikalne wali,
Roshni tujh ko meri yaad dilaati hogi,

Dil ki masoom ragen khud hi sulagti hon gi,
Jun hi tasveer ka kona woh jalati hogi,

Roop de kar mujhe us me kisi shehzade ka,
Apne bachon ko kahani woh sunati hogi..

#maahyraja

June 2, 2016

aisa nahin hota



Jo ho ek baar woh har baar ho aisa nahin hota,
humesha ek hi se pyaar ho aisa nahin hota.

Har ek kashti ka apna tajraba hota hai duniya mein,
safar mein roz hi manjdhaar ho aisa nahin hota.

Kahaani mein toh kirdaaron ko jo chaahe bana dijiye,
haqeeqat mein kahaani-kaar ho aisa nahin hota.

Kahin toh koi hoga jis ko apni bhi zaroorat ho,
har ek baazi mein dil ki haar ho aisa nahin hota.

Sikha deti hain chalna thokaren bhi raahgiron ko,
koi rasta sada dushwaar ho aisa nahin hota....