June 15, 2016

simat aane wala



Dost ban kar bhi nahin saath nibhaane wala,
wahi andaaz hai zaalim ka zamane wala.

Ab usey log samajhte hain giraftaar mera,
sakht naadim hai mujhe daam mein laane wala.

Subah-dam chhod gaya nikhat-e gul ki soorat,
raat ko ghuncha-e dil mein simat aane wala.

Kya kahein kitne maraasim the humare uss se,
woh jo ek shakhs hai munh pher ke jaane wala.

Tere hote hue aa jaati thi sari duniya,
aaj tanha hun toh koi nahin aane wala.

Muntazir kis ka hun tooti hui dehleej pe main,
kaun aayega yahan, kaun hai aane wala.

Kya khabar thi jo meri jaan mein ghulaa hai itna,
hai wahi mujh ko sar-e daar bhi laane wala.

Maine dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte,
hai koi khwaab ki tabeer batane wala?

Tum takalluf ko bhi ikhlaas samjhte ho ‘faraz
dost hota nahin har haath milaane wala.

No comments:

Post a Comment