June 28, 2016

adat usey bhi thi



Zikr-e shab-e firaaq se wehashat usey bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usey bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka
Rastaa badal ke chalane ki aadat usey bhi thi

Uss raat der tak woh raha mahv-e guftagu
Masroof main bhi kam tha faraagat usey bhi thi

Sunta tha woh bhi sab se puraani kahaaniyan
Taaza rafaaqaton ki zarurat usey bhi thi

Mujhse bichhad ke shehr mein ghul-mil gaya wo shakhs
Haalanki shehar bhar se raqabat usey bhi thi

Woh mujh se badh ke zabt ka aadii tha jee gaya
Warna har ek saans qayaamat usey bhi thi …


#maahyraja

No comments:

Post a Comment