January 29, 2017

qayamton k darmiyaa



Gulon si guftguu karen qayaamton ke darmiyaan,
Hum aese log ab milen hikaayaton ke darmiyaan,

Lahuu-lahaan ungliyaan hain aur chup kharri hun main,
Gul o samaan ki bepanaah chaahton ke darmiyaan,

Hatheliyon ki ott hi chiraagh le chalun abhi,
Abhi sehar ka zikr hai riwaayaton ke darmiyaan,

Jo dil mei thi nigaah si nigaah mei kiran si thi,
Woh daastaan ulajh gayi wazaahton ke darmiyaan,

Sahiifa-e-hayaat mei jahan jahan likhi gayii,
Likhi gayii hadees-e-jaan jaraahton ke darmiyaan,

Koi nagar koi galii shajjar ki chaaon hi sahi,
Yeh zindagi na katt sake musaafaton ke darmiyaan,

Ab uss ke haal-o-hadh ka rang mujh se puuchna abass,
Nigaah jhappak jhappak gayi iraadaton ke darmiyaan,

Sabaa ka hath thaam kar “adaa” na chal sako gi tum,
Tamaam umr khawb khaawb sa'aton ke darmiyaan..

No comments:

Post a Comment