August 12, 2018

haal aa jaaye

Jo uss ke saamne mera ye haal aa jaaye,
to dukh se aur bhi uss par jamaal aa jaaye.

Mera khayal hai ghunghru pehan ke naachega,
agar khayaal ko tera khayaal aa jaaye.

Har ek shaam naye khwaab uss par garhenge,
humare haath agar teri shaal aa jaaye.

Inhi dino woh mere saath chaai peeta tha,
kahin se kaash mera pichhla saal aa jaye.
Mein apne ghum ke khazaane kahan chhupaunga,
agar kahin se koi aur maal aa jaye.

Har ek baar naye dhang se sajaayen tujhe,
humhare haath jo phoolon ki daal lag jaye.

Ye doobta hua sooraj thehar na jaye ‘wasi
agar woh saamne waqat-e zawaal aa jaye.

No comments:

Post a Comment