August 3, 2018

Kamaal Yeh Hai

Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai,
Hawaa ki zadd main diya jalana, jalaa ke rakhna kamaal yeh hai,

Zaraa si larzish pe tod dete hain sab ta'alluq zamaane wale,
So aese weson se bhi ta'alluq, bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ko dena yeh mashwra ke, woh dukh bichadne ka bhool jaye,
Aur aese lamhe main apne aansuu chupa ke rakhna kamaal yeh hai,

Khayal apna, mizaj apna, pasand apni, kamaal kya hai,
Jo yaar chahe woh haal apna bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ki raah se khuda ki khatir, utha ke kante, hatta ke pathar,
Phir us ke aage nigaah apni jhuka ke rakhna kamaal yeh hai,

Woh jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi ladkhadaye, shikast khaye,
Labon pe apne woh muskurahat, sajaa ke rakhna kamaal yeh hai,

Hazaar taaqat ho, sau daleelen hon, phir bhi lehje main aajzi se,
Adabb ki lazzat, dua ki khushbu, basaa ke rakhna kamaal yeh hai..

No comments:

Post a Comment