August 21, 2018

kinara nadi ka tha

gumsum si rehguzar thi , kinaara nadi ka tha
pani mein chand, chand mein chehra kisi ka tha

ab zindagi sambhal ke leta hai tera naam
yeh dil ke jis ko shoq kabi khudkushi ka tha

kuch abar b they banjh zameen se daray huwe
kuch zaayeqa hawaa mein meri tishnagi ka tha

kehne ko dhoondte the sabhi apne khad o khaal
warna meri ghazal mein to sab kuch usi ka tha

woh ehtiyaat e jaan thi ke be rabti e khayal
saaye pe bhi gumaan mujhe aadmi ka tha

mushkil kahan the tarak e mohabbat k marhalay
aye dil magar sawaal teri zindagi kaa tha

woh jis ki dosti hi mataa e khaloos thi
Mohsin woh shakhs b mera dushman kabi ka tha

No comments:

Post a Comment