August 4, 2018

Dukh apna agar

Dukh apna agar hum ko batana nahin aata,
Tum ko bhi to andaaza lagaana nahin ataa,

Pohncha hai bzurgu ke bayanon se jo hum tak,
Kya baat hui kyun woh zamaana nahin aaata,

Main bhi usse khone ka hunar seekh na paya,
Us ko bhi mujhe chorh ke jaana nahin aaata,

Iss chhote zamane ke bade kese bano ge,
Logon ko jab aapas main ladana nahin aata,

Dhoonde hai to palkon pe chamakne ke bahane,
Aansuu ko meri aankh main aana nahin aaata,

Tareekh ki aankhon main dhuaan ho gaye khud hi,
Tum ko to koi ghar bhi jalaana nahin aaaata..

No comments:

Post a Comment