August 1, 2018

kuch sharab aaye

aaye kuch abr kuch sharab aaye
iss ke baad aaye jo azaab aaye

baam-e-minaa se mahtaab utre
dast-e-saaqi main Aftaab aaye

har rag-e-ḳhoon main phir chragan ho
saamne phir vo be-naqaab aaye

umr ke har warq pe dil kī nazar
teri mehr-o-wafaa ke baab aaye

kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum bhi yaad be-hisaab aaye

na gayee tere gham ki sardaari
dil main youn roz inqalaab aaye

jal uthe bazm-e-ghair ke dar-o-baam 
jab bhi hum ḳhanumaan-e-ḳharab aaye 

is tarah apni ḳhamoshi goonji
goya har simat se jawaab aaye

'faiz' thi raah sar-ba-sar manzil
ham jahan pahunche kamyab aaye

No comments:

Post a Comment