November 17, 2017

Baarish hui to




Baarish hui to phoolon ke tan chaak ho gaye
mausam ke hath bheeg ke shaffak ho gaye

baadal ko kya khabar ke barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khaak ho gaye

jugnu ko din ke waqt pakadne ki zid karen
bachche hamare Ehad ke chalaak ho gaye

lehra rahi hai, barf ki chadar hata ke, ghaas
suraj ki sheh pe tinke bhi bebaak ho gaye

suraj dimaag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq ke pechaak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lehje hawaa-e-sham ke nam'nak ho gaye

Sahil pe jitne aab-guzida the sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye

No comments:

Post a Comment