December 31, 2016

Ashiq thay sheher main



Ashiq thay sheher main jo puraane sharaab ke,
Hain un ke dil main vaswasay ab ehtisaab ke,

Woh jo tumhare hath se aa kar nikal geya,
Hum bhi qaatil hain ussi khana-kharab ke,

Phoolon ki saij par zara araam kya kiya,
Us gul–badan pe naqssh uth aaye gulaab ke,

Soye to dil main ek jahan jaagne laga,
Jaage to apni aankh main jaale they khawb ke,

Bas tishnagi ki aankh se dekha karo unhe,
Dariya ravaan-davaan hain chamakte saraab ke,

Kis tarah jamaa kijiye ab apne aap ko,
Kaghaz bikhar rahe hain puraani kitaab ke..

No comments:

Post a Comment