January 13, 2021

Sar se paa tak

Sar se paa tak woh gulabon ka shajar lagta hai,
Ba-wuzu ho ke bhi chhute huye Darr lagta hai,

Main tere sath sitaron se guzar sakta hoon,
Kitna asaan mohabbat ka safar lagta hai,

Mujh main rehta hai koi dushman-e-jaani mera,
Khud se tanhai main milte huye Darr lagta hai,

But bhi rakhe hain namazen bhi adaa hoti hain,
Dil mera dil nahin Allah ka ghar lagta hai,

Zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zameen,
Paaon phailaaun to deewar main sar lagta hai..

No comments:

Post a Comment