November 23, 2016

Dil main kisi ke raah




Dil main kisi ke raah kiye ja raha hoon main,
Kitna haseen gunaah kiye ja raha hoon main,

Duniya-e-dil tabah kiye ja raha hoon main,
Sarf-e-nigaah-o-aah kiye ja raha hoon main,

Fard-e-amal siyah kiye ja raha hoon main,
Rehmat ko be-panaah kiye ja raha hoon main,

Aisi bhi ik nigaah kiye ja raha hoon main,
Zarron ko mehr-o-maah kiye ja raha hon,

Mujhse lage hain ishq ki azmat ko chaar-chaand,
Khud husn ko gawaah kiye ja raha hoon main,

Daftar hai ek maani-e-be-lafzz-o-saut ka,
Saada si jo nigaah kiye ja raha hoon main,

Uthti nahin hai ankh magar us ke rubaru,
Nadeeda ik nigaah kiye ja raha hoon main,

Gulshan-parast hoon mujhe gul hi nahin aziz,
Kaanton se bhi nibaah kiye ja raha hoon main,

Yuun zindagi guzaar raha hoon tere baghair,
Jaise koi gunaah kiye ja raha hoon main,

Mujh se adaa hua hai ‘jigar’ justuju ka haq,
Har zarray ko gawaah kiye ja raha hoon main..

No comments:

Post a Comment