November 16, 2016

adaa seekh gaye hain



Honton pe mohabbat ke fasaane nahin aate,
Sahil pe samandar ke khazaane nahin aate,

Palken bhi chamak uthti hain sone main hamari,
Ankhon ko abhi khawb chupaane nahin aate,

Dil ujrri hui aik saraaye ki tarah hai,
Ab log yahan raat jagaane nahin aate,

Yaaro naye mausam ne yeh ehsaan kiye hain,
Ab yaad mujhe dard puraane nahin aate,

Urrne do parindon ko abhi shokh hawaa main,
Phir lautt ke bachpan ke zamaane nahin aate,

Is sheher ke baadal teri zulfon ki tarah hain,
Yeh aag lagaate hain bujhaane nahin aate,

Ehbaab bhi ghairon ki adaa seekh gaye hain,
Aate hain magar dil ko dukhaane nahin aate..

No comments:

Post a Comment