November 9, 2016

zaraa Thahar jaao



qareeb maut khadi hai, zaraa Thahar jaao
qazaa se aankh ladi hai, zaraa Thahar jaao

thakii thakii sii fazaayen, bujhe bujhe taare
badi udaas ghadi hai, zaraa Thahar jaao

nahiiN ummeed ki ham aaj kii sahar dekhen
ye raat ham pe kadi hai, zaraa Thahar jaao

abhii na jaao ki taaron kaa dil dhadakataa hai
tamaam raat padi hai, zaraa Thahar jaao

dam-e-firaaq main jii bhar ke tum ko dekh to loon
ye faisale kii ghadi hai, zaraa Thahar jaao

No comments:

Post a Comment