May 10, 2016

dil na ban jaaye

Pareshaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaaye,
jo mushkil ab hai yaa rab phir wahi mushkil na ban jaaye.

Na kar dein mujh ko majboor-e-nawa firdaus mein hooren,
mera soz-e-daroon phir garmi-e-mehfil na ban jaaye.

Kabhi chhodi hui manzil bhi yaad aati hai raahi ko,
khatak si hai jo seene mein ghum-e-manzil na ban jaaye.

Banaaya ishq ne dariya-e-naa-paida-karaan mujh ko,
ye meri khud-nigah-daari mera saahil na ban jaaye.

Kahin iss aalam-e-be-rang-o-boo mein bhi talab meri,
wahi afsaana-e-dumbaala-e-mehmil na ban jaaye.

Urooj-e-aadam-e-khaaki se anjum sehme jaate hain,
ki ye toota hua taara mah-e-kaamil na ban jaaye.

#Allama_Iqbal

No comments:

Post a Comment