May 15, 2016

hairat rehti hai

Aainon mein aks na hon toh hairat rehti hai,
jaise khaali aankhon mein bhi wehshat rehti hai.

Har dum duniya ke hungaame ghere rakhte the,
jab se tere dhyaan lage hain fursat rehti hai.

Karni hai toh khul ke karo inkaar-e-wafa ki baat,
baat adhoori reh jaaye toh hasrat rehti hai.

Shehar-e sukhan mein aisa kuchh kar izzat ban jaaye,
sab kuchh mitti ho jaata hai izzat rehti hai.

Bante bante dheh jaati hai dil ki har taameer,
khwaahish ke behroop mein shayad qismat rehti hai.

Saaye larazte rehte hain shehron ki galyion mein,
rehte the insaan jahan ab dehshat rehti hai.

Mausam koi khushboo le kar aate jaate hain,
kya kaya hum ko raat gaye tak wehshat rehti hai.

Dhyaan mein mela sa lagta hai beeti yaadon ka,
aksar uss ke ghum se dil ki sohbat rehti hai.

Phoolon ki takhti par jaise rangon ki tehreer,
lauh-e-sukhan par aise ‘amjad’ shohrat rehti hai...

No comments:

Post a Comment