May 17, 2016

aankhen bheeg jaati

Samundar mein utarta hun toh aankhen bheeg jaati hain,
teri aankhon ko padhta hun toh aankhen bheeg jaati hai.

Tumhara naam likhne ki ijaazat chhin gayi jab se,
koi bhi lafz likhta hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Teri yaadon ki khushbu khidkiyon mein raqs karti hai,
tere ghum mein sulagta hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Na jaane ho gaya hun iss qadar hasaas main kab se,
kisi se baat karta hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Main sara din bahut masroof rehta hun magar jyon hi,
qadam chaukhat pe rakhta hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Har ek muflis ke maathe par alam ki daastaanen hain,
koi chehra bhi padhta hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Bade logon ke oonche badnuma aur sard-mehlon ko,
gareeb aankhon se taktaa hun toh aankhen bheeg jaati hain.

Tere kooche se ab mera taalluq waajibi sa hai,
magar jab bhi guzarta hun toh aankhen bheeg jaati hain. 


Hazaaron mausamon ki hukmaraani hai mere dil par,
wasi’ main jab bhi hansta hun toh aankhen bheeg jaati hain. 


#Wasi

No comments:

Post a Comment