May 2, 2016

Jal Jaate Hain

garmii-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hain
ham charaagon kii tarah shaam se jal jaate hain

jab bhii aata hai mera naam tere naam ke saath
jaane kyu log mere naam se jal jaate hain

Khud-numaai to nahi shevaa-e-arbaab-e-wafaa
jin ko jalanaa ho wo aaraaam se jal jaate hain

bach nikalate hain agar aatish-e-sayyaad se ham
sholaa-e-aatish-e-gul'faam se jal jaate hain

shamaa jis aag main jalati hai numaayesh ke liye
ham usii aag main gumnaam se jal jaate hain
#Qateel_Shifaai

No comments:

Post a Comment