May 12, 2016

kaha karo

Yun hi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sacchi kitaab hai, usey chupke chupke padha karo.

Koi haath bhi na milaayega jo gale miloge tapaak se,
ye naye mizaaj ka shehar hai zara faasle se mila karo.

Abhi raah mein kayi mod hain, koi aayega koi jaayega
tumhen jis ne dil se bhula diya, usey bhoolne ki dua karo.

Mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaaniyan,
jo kaha nahin woh suna karo, jo suna nahin woh kaha karo.

Kabhi husn-e pardanashin bhi ho zara aashiqana libaas mein,
jo main ban sanwar ke kahin chalun, mere saath tum bhi chala karo.

Ye khizan ki zard si shaal mein, jo udaas pedd ke paas hai
ye tumhaare ghar ki bahaar hai, isey aansuon se hara karo.

No comments:

Post a Comment