May 30, 2016

toofaan se kaho



Kam kam kaho sambhal ke kaho shaan se kaho,
roodaad-e-shouq zabt ke unwaan se kaho.

Iss mein kuchh apne pyaar ki izzat ka hai sawaal,
aa jaaye raah par dil-e-naadaan se kaho.

Tark-e wafa jahan mein koi jurm toh nahin,
kya tum wafa shuaar ho? imaan se kaho.

Uss dar pe ehl-e-dil ko nahin poochhta koi,
tum ek raees-e-shehar ho! darbaan se kaho.

Kyon le rahe ho hazrat-e-naaseh ka imtehaan,
jo dil ki baat hai kisi insaan se kaho.

Hum ne bana liya hai naya phir se aashiyaan,
jaao ye baat phir kisi toofaan se kaho.

Kis munh se ab ‘qateel pe dharte ho tohmaten,
ye sab hikaayaten kisi anjaan se kaho.

No comments:

Post a Comment