May 17, 2016

A Tribute to MOTHERS

Usey tanha sisakta chhod jab aaya mera bhai,
main beti hun, main apni Maa ko apne saath le aayi.

Woh boodhi ho gayi toh ab usey ek bojh lagti hai,
jawaani apne bacchon ke liye, thi jis ne jhulsaayi.

Hai bas apni hi biwi aur bacchon se usey matlab,
ussi ko bhool baitha hai, jo duniya mein usey laayi.

Badi gaadi, bada bangla, bada ohda, sabhi kuchh hai
magar maa – baap maangein, toh nahin jebon mein ek paayi.

Woh kutta paal sakta hai, magar maa bojh lagti hai
usey kutte ne kya kuchh bhi wafadaari na sikhlaayi ?

Khulega jab khuda ke bank mein khaata tera ek din,
tere sar par bada qarza chadha hoga mere bhai.

Jo mannat maangte the, bas humein beta ho beta ho..
unhein beti ki qeemat ab budhaape mein samajh aayi. 


Usey tanha sisakta chhod jab aaya mera bhai
main beti hun, main apni maa ko apne saath le aayi ..

No comments:

Post a Comment