May 19, 2016

khaar nahin hun



Duniya mein hun, duniya ka talabgaar nahin hun
bazaar se guzra hun, kharidaar nahin hun.

Zinda hun magar zeest ki lazzat nahi baaqi
har-chand ki hun hosh mein, hoshiyar nahin hun.

Iss khana-e hasti se guzar jaaunga be-laus
saaya hun faqat naqsh-ba-deewar nahin hun.

Afasurda hun ibaarat se dawaa ki nahin haajat
ghum ka mujhe ye zauf hai beemaar nahin hun.

Woh gul hun khizan ne jise barbaad kiya hai
uljhun kisi daaman se main woh khaar nahin hun.

Ya rabb mujhe mahfooz rakh uss buut ke sitam se
main uss ki inaayat ka talabgaar nahin hun.

Go daava-e taqwaa nahin dargaah-e khuda mein
buut jis se hon khush aisa gunahgaar nahin hun.

Afsurdagi-o zauf ki kuchh had nahin ‘akbar
kaafir ke muqaabil mein bhi deen-daar nahin hun. !!


#Akbar_Allahabadi

No comments:

Post a Comment