December 12, 2020

Tu ne kuch bhi na kaha

Tu ne kuch bhi na kaha ho jese,
Mere hi dil ki sadaa ho jese,

Yuun teri yaad se jee ghabraya,
Tu mujhe bhool geya ho jese,

Is tarah tujh se kiye hain shikwe,
Mujh ko apne se gila ho jese,

Tere honton ki haffi se larzish,
Ik haseen sher hua ho jese..

November 30, 2020

khali ho geya

Sher ka soona chaman kuch aur khali ho geya,
Haye kese shakhss se indor khali ho geya,

Sarhadon ke is taraf bhi us ki rahat thi bohat,
Aesa lagta hai mera lahore khali ho geya,

Kesi kesi ronaqen thi us ke ik ik sher main,
Ik zamana gum hua, ik daur khali ho geya,

Poochte hain ab ghazal-abad ke deewar-o-dar,
Yeh bhara ghar kis tarah fil-for khali ho geya.

July 29, 2020

Faqt Teri Ataa Se

Humne tujhe jaana hai faqat teri ataa se

Suraj ke ujaale se, fazaon se, khalaa se
Chaand aur sitaron ki chamak aur ziyaa se
Jungal ki khamoshi se, pahadon ki anaa se
Purhaol samandar se, pur asraar ghataa se
Bijli ke chamakne se, kadakne ki sadaa se
Mitti ke khazanon se, anajon se, ghizaa se
Barsat se, toofan se, paani se, hawaa se

Humne tujhe jaana hai faqat teri ataa se

Gulshan ki baharon se, to kaliyon ki hayaa se
Maasoom si roti hui shabnam ki adaa se
Lehrati hui baade sahar, baade sabaa se
Har rang k har shaan ke phoolon ki qabaa se
Chidiyon k chahekne se to bulbul ki nawaa se
Moti ki nazakat se to heere ki ziyaa se
Har shay se jhalakte hue fun aur kalaa se.

Humne tujhe jaana hai faqat teri ataa se

Duniya ke hawadis se, jafaon se, wafaa se
Ranjo ghamo aalaam se, dardon se dawaa se
Khushiyon se, tabassum se, mareezon ki shifaa se
Bachchon ki sharart se, to maaon ki duaa se
Neki se, ibaadaat se, laghzish se, khataa se
Khud apne hi seene ke dhadakne ki sadaa se.

Humne tujhe jaana hai faqat teri ataa se

Iblees ke fitnon se, to Aadam ki khataa se
Ausaafe Baraheem se, Yusuf ki hayaa se
Aur hazrate Ayyub ki tasleemo razaa se
Eisa ki masihayi se, Moosa ke asaa se
Namrood ke, Firaon ke anjame fanaa se
Kaabe ke taqaddus se, to Marwa wa Safaa se
Taoraat se, Injeel se, Quran ki sadaa se
Yaseen se, Taaha se, Muzammil se Nabaa se
Ek noor jo nikla tha kabhi ghaare Hiraa se.

Humne tujhe jaana hai faqat teri ataa se.


Kalaam: ATEEQ JAZIB

July 20, 2020

Mere Ashaar Sunana

Mere ashaar sunana na sunane dena,
Jab main duniya se chala jaon to jane dena,

Sath in ke hai bohat khaak uRrayi maine,
In hawaon ko meri khaak uRrane dena,

Mat batana ke bikhar jayen to kya hota hai,
Nayi naslon ko naye khawb sajane dena,

Rahoon khamosh to khamosh hi rakhna mujh ko,
Aur agar shor machaun to shor machane dena,

Aur jaan lena ke naya hath bulata hai tumhe,
Agar koi hath chuRraye to chuRrane dena,

Ab to barish main bhi school khula karte hain,
Wahan mat bhejna bachon ko nahane dena,

Haan wohi baat jo maloom hai sab logon ko,
Main wohi baat chupaun ga chupane dena,

Waqt duniya ko sunaye ga kahani meri,
Kahe deta hoon mera naam na aane dena,

MEre jeene pe hansen log koi baat nahin,
Haan meri maut ka matam na manane dena..

March 25, 2020

Kahaan Guzri Hai

Garche sau baar hijar se jaan guzri hai,
Phir bhi jo dil pe guzari hai, kahan guzri hai,

Ap thehre hain to thehra hai nizam-e-aalam,
Ap guzre hain to ik mauj-e-rawan guzri hai,

Hosh main aye to batlaye tera deewana,
Din guzaara hai kahan, raat kahan guzri hai,

Aese lamhe bhi guzare hain teri furqat main,
Jab teri yaad bhi dil pe giraan guzri hai,

Hashar ke baad bhi deewane tere poochte hain,
Woh qayamat jo guzarni thi kahan guzri hai,

Zindagi Saif ke liye qaafila armaanon ka,
Maut ki raat se benaam-o-nishan guzri hai..

March 19, 2020

Insha ji utho ab

Insha ji utho ab koooch karo is sheher main jee ko lagana kya,
Wehshi ko sukoon se kya matlab jogi ka nagar main thikaana kya,

Is dil ke dareeda daaman ko dekho to sahi socho to sahi,
Jis jholli main sau chhaid huye us jholli ka phailaana kya,

Shabb-beeti chaand bhi doob chala zanjeer parri darwaaze main,
Kyun dair gaye ghar aaye ho sajni se karo ge bahaana kya,

Phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yehi ek gharri,
Jo dil main hai labb par aanay do sharmaana kya ghabraana kya,

Us roz jo un ko dekha hai ab khawb ka aalam lagta hai,
Us roz jo un se baat hui woh baat bhi thi afsaana kya,

Us hussn ke sache moti ko hum dekh saken par chhuu na saken,
Jisse dekh saken par chhuu na saken woh daulat kya woh khazaana kya,

Jab sheher ke log na rasta dain kyun ban main na ja bisraam kare,
Deewaanon ki si na baat kare to aur kare deewana kya..

March 7, 2020

Dil Bujha Bujha Hai

Ab dil bujha bujha hai mujhe maar dijiye,
Jeene main kya rakha hai mujhe maar dijiye,

Dil ke maraz ka ab nahin duniya main kuch ilaaj,
Yeh ishq-e-la-davaa hai mujhe maar dijiye,

Main be-gunaah hoon to phir yehi hai meri saza,
Yeh faisla hua hai mujhe maar dijiye,

Darta hoon aayine ko lagane se hath main,
Kehta yeh aayina hai mujhe maar dijiye,

Main hoon wafa-shiar yahan jee ke kya karoon,
Yeh daur-e-bewafa hai mujhe maar dijiye,

Tanhayion ki qaid se ghabra ke aik shakhs,
Awaz de raha hai mujhe maar dijiye,

Ek baat josh josh main sach keh gaya hoon main,
Tum ko bura laga hai maar dijiye mujhe,

Tanhayi meri us se bhi dekhi nahin gayi,
Us ne bhi yeh kaha hai maar dijiye mujhe,

Rashk-e-chaman bana hai yeh arpit mera wajood,
Khushbu ko chhu liya hai mujhe maar dijiye..