June 27, 2024

Bada Hone se Darta Hai



yahaan har shakhs har pal haadsa hone se darta hai
khilauna hai jo mitti ka fana hone se darta hai

mere dil ke kisi kone mein ik maasoom sa baccha
badon ki dekh kar duniya bada hone se darta hai

na bas mein zindagi us ke na qaabu maut par us ka
magar insaan phir bhi kab khuda hone se darta hai

ajab ye zindagi ki qaid hai duniya ka har insaan
rihaai maangtaa hai aur rihaa hone se darta hai