April 27, 2016

Yaad Nahi...

Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi;
Kaun Rehta Tha Kahaan Yaad Nahi;
Jalwa-e-Husn-e-Azal The Woh Dayaar;
Jin Ke Ab Naam-o-Nishaan Yaad Nahi;
Koi Ujaala Sa Bhalaa Sa Ghar Tha;
Kis Ko Dekha Tha Wahaan Yaad Nahi;
Yaad Hai Zeena-e-Pechaan Us Ka;
Dar-o-Deewar-e-Makaan Yaad Nahi;
Yaad Hai Zamzama-e-Saaz-e-Bahaar;
Shor-e-Awaaz-e-Khizaan Yaad Nahi!
#maahyraja

April 26, 2016

Jism-o-Jaan Wale

Usi Se Aaye Hain Aashob Aaasman Wale;
Jise Ghubaar Samajhate The Kaaravan Wale;

Main Apni Dhun Mein Yahan Aandhiyan Uthata Hun;
Magar Kahan Wo Maze Khaak-e-Aashiyan Wale;

Mujhe Diya Na Kabhi Mere Dushmano Ka Pata;
Mujhe Hawa Se Ladhaate Rahe Jahaan Wale;

Mere Saraab-e-Tamanna Pe Rashk Tha Jin Ko;
Bane Hain Aaj Wahi Bahaar-e-Be-Karaan Wale;

Main Nala Hun Mujhe Apne Labon Se Door Na Rakh;
Mujhi Se Zinda Hai Tu, Mere Jism-o-Jaan Wale;

Ye Musht-e-Khaak Zafar Mera Pairahan Hi Tu Hai;
Mujhe Zameen Se Daraayen Na Kehakashan Wale!

#maahyraja

April 22, 2016

Raah Dikhlaoge

Kab Ta Dil Kee Khair Manayein Kab Tak Raah Dikhlaoge;
Kab Tak Chain Kee Mohlat Doge Kab Tak Yaad Naa Aaoge;

Beeta Deed Umeed Ka Mausam Khak Udti Hai Aankhon Mein;
Kab Bhejoge Dard Ka Baadal Kab Barkha Barsaoge;

Ahd-E-Wafa Ya Tark-E-Mohabbat Jo Chaho So Aap Karo;
Apne Bas Kee Baat Hi Kya Hai Hum Se Kya Manwaoge;

Kis Ne Vasl Ka Suraj Dekha Kis Par Hijr Kee Raat Dhali;
Gesuon Wale Kaun The Kya The Un Ko Kya Jatlaoge;

#MAAHYRAJA

April 21, 2016

Seene Se Laga Lo

Apni Pyari Aankhon Mein Chupa Lo Mujh Ko;
Mohabbat Tum Se Hai, Chura Lo Mujh Ko;

Dhup Ho Ya Sehra Tera Sath Chalenge Hum;
Yaqeen Na Ho To Aazma Lo Mujh Ko;

Tere Har Dukh Ko Seh Lenge Hans Ke Hum;
Apne Wazood Kee Chadar Bana Lo Mujh Ko;

Zindagi Bhi Tere Naam Kar Di Hai Humne;
Bas Chand Lamhe Seene Se Laga Lo Mujh Ko!

DEKHTE JAAO

Maal-e-Soz-e-Gham hai! Nihaani dekhte jaao,
Bhadak uthi hai Shamm-e-Zindagani dekhte jao,
Chale bhi aao wo hai Qabr-e-Fani dekhte jao,
Tum apne Marne wale ki Nishani dekhte jao,
Abhi kya hai kisi din khoob Rulayegi ye khamoshi,
Zuban-e-Haal ki Jadd-o-Bayani dekhte jaao,
Gharur-e-Husn ke Sadqe koi jata hai duniya se,
kisi ki Khaak mein Milti Jawani dekhte jaao...

April 20, 2016

Hum hain Dosto

Tum bhi khafaa ho log bhi bereham hain dosto,
ab ho chala yaqin ke buray hum hain dosto,
kis ko hamare haal se nisbat hai kya karen,
aankhen to dushmanu ki bhi purnam hain dosto,
apne siva hamaare na hone ka gham kisay,
apni talaash mein to hum hi hum hain dosto,
kuch aaj sham hi se hai dil bhi bujha bujha,
kuch shehar ke chirag bhi maddham hain dosto,
is Shehar-e-Aarazu se bhi baahar nikal chalo,
ab dil ki raunaqen bhi koi dam hain dosto,
sab kuch sahi ‘Faraz’ per itna zarur hai,
duniya mein aise log bahut kamm hain dosto.

#MaahyRaja