October 21, 2017

Aansuoun se likha hua




Koi phool dhoop ki pattiyun mein Haray ribbon se baandha hua,
Woh ghazal ka lehja naya-naya Na kaha huaa, na suna huaa,

Jise le gayi abhi hawa Woh warak tha dil ki kitaab ka,
Kahin aansuon se mita hua Kahin aansuon se lika hua,

Kyee meel rait ko kaat kar Koyi mauj phool khila gayi
Koyi ped pyas se mar raha kisi Nadi ke paas khada hua

Mujhe saheliyun ne saja-saja ke Bahut haseen bana diya
Mera dil jo dulhan ka hath ho Mehandiyon se racha hua

Wohi shehar hain wohi raaste Wohi ghar hai aur wohi lawn hai
Magar is dareeche se poochhna Woh darakht anaar ka kya hua

Wohi khat ke jispe jagah jagah Do mehakte hothon ke chaand the
Kisi bhooli bisri see taak par Teh-e-gard hoga dabaa hua.

No comments:

Post a Comment